Jai Mata Di,
Sarva-pratham karunamayi Shri Radhe Maa ji ke pavan charno mein mera aur mere samasth pariwar ka koti koti naman, parampkari satsangat ji apni zindagi ke sabse mahatvapurn chamatkaron mein se ek anubhav jo main aapke samaksha rakhne wala hoon, usse pehle Shrimad Bhagwat Geeta ji ke saar mein se aakhri do saar aapke dhyan mein laana chahunga jo ki is prakar hai :
- Tum apne aapko bhagwan ko arpit karo. Yahi sabse uttam sahara hai. Jo iske sahare ko jaanta hai wah bhay, chinta, shok se sarvada mukta hai
- Jo kuch bhi tu karta hai, usse bhagwan ko arpit karta chal. Aisa karne se sada jivan –mukt ka aanand anubhav karega.
Mera naam Purshotam Kohli hai aur mein Mumbai ka niwasi hoon, Meri umar 70 saal hai, aarya samaji sanskaron aur watawaran mein parvarish ke karan bhakti ki aur jhukav bhachpan se hi raha hai aur prabhu krupa itni hui ki mujhe dharmpatni bhi bhakti mein ruchi rakhne wali hi mili, is bhaktipurn watawaran aur shradha bhakti ka parinaam bhi ye hua ke hamare bachho mein bhi bhakti ka rujhav bhachpan se hi hai. Kuch garah saal pehle ki ghatna hai, hamare pariwar ke bahut hi karibi mitra jo ki thik hamare samne wale flat mein rehte the, unhone kisi bank se ek bhari rakaam ka karz lene ki sochi aur guarantor ki taur par mere bête ko rakhne ki baat ki, kyunki hamare unke itne ghanishth sambandh the, maine apne bête ko sweekruti de di, kuch din baad wah mitr apne gaon chala gaya aur kafi din tak nahi lauta, karib do ya teen mahine beete, toh bank walon ne pareshan ho kar mere bête ko Bank bulakar kaha ki aapne mitr ka kuch pata nahi hai toh ab ye saari kishte aur Bank ka karz aapko hi chukana padega, hamne ye prastav rakha ki uska jo flat hai, Bank us flat ko bech kar apna paisa wasool le, par honi ki karni dekhiye, ji flat ki keemat udhaharan ke liye ek rupaya ho, us flat ke liye 20 paise ki quotation aa rahi thi.
Saathiyon us mitr ke intazaar aur bank ki is karwahi mein kareeb 6 saal beet gaye aur aakhirkaar bank ne hamare flat ko japat karne ka notice bhej dia, tab tak ham Mamtamai Shri Radhe Maa ji sharan mein aa chuke the, barhaal is case ki sunwai ke liye is umar mein kareeb 40 kilomete ka safar tay karke court jana padta tha, kafi pareshaniyon ka samna karna pada, jisse hamre pariwar mein bahut hadd tak asthirtath si aa gayi thi, kyun bank itne saalon ka byaaj jo ki kai lakhon mein jata tha, uska jinmedaar hame bana raha tha, kehte hai nah garibi mein aata geela, thik waisa haal ho gaya tha.
Mein retired ho chukka tha, meri patni school mein teacher aur mere bachoon ka bhi kaam kaaj itna jhoro mein mein nahi tha ki ki hum is bhagtan ka bhojh utha pate, mujhe yaad hai ki krupalu Shri Radhe Maaji ki sharan mein aaye hue thoda hi waqt gujara tha aur us din 22 November ki raat thi, jab Maa ki chowki ho rahi thi aur tatpachyat Radhe Devi Maaji ke darshan hone the, wahan beech chowki mein pata nahi mere mann ke bhave ruke nahi aur meri aankhon se maano ek sailab sa beh utha aur mein bachon ki tarah fut fut kar rone laga aur mann se sirf yahi ardaas nikali ki ‘Hai Mamtamai Shri Radhe Maa ji, apne is bache ka kalian karo, is gehri vipada se mujhe aur mere pariwar ko bahar nikalo”.
Saathiyon ye satya hai ki meri Devi Maa ji apne bhakton ki antarman dwara hui karun pukar awashay sunti hai , jaise hi darshan khule aur maine darshan kiye toh mujhe Devi Maa jine apne paas bulakar apni Mamtamai nazaron se nihara, aashirwad dia aur jane ka ishara bhi kia, mujhe yakin toh tha hi ki Karunamai Shri Radhe Maa ji hi mujhe is kashth se nikalegi jo ki ab aur drudh ho gaya, iske teen din baad 25 November ko kuch aisa hua jo ki shayad mere aur mere pariwar ke liye namumkin hi tha.
Dophar ko bank se ek vyakti haath mein kuch papers ko docket liye hamare ghar aakar bola ki, “Kohli Sahab ye aapke japat kiye hue papers hai aur aap is case se bahar ho gaye hai, kyun ki aapke mitra ke ghar ki keemat jo ki ab tak ekdum kam aa rahi thi, ab uske mulya se upar ka daam bank ko milne ke karan aap is case se barahi ho gaye hai!” Namn, sthabdh aur bheege hui aankhonse hum Maa ke swaroop ko dekh kar lakh lakh dhanyawad karne lage tatha apne charano mein yun lagaye rakhne ki binati karte rahe ! Radhe Devi Maa ji ka main kin shabdon mein dhanyawad karun mujhe sujhata nahi! Is prem, krupa aur param ashirwad ke liye mera samatha pariwar Karunamai Shri Radhe Maa ji ka sada sada keliye krutagyna rahega!
Main aap sabse ye nivedan karna chahta hoon ki, Sacchi bhakti lagan aur vishwas se hi meri Krupalu Shri Radhe Maa ji ke sharan mein aayiye. Yakinan aapka bhi udhaar aur kalyan hoga jaise hamare pariwar ka hua hai, wida lene se pehle mein aap sab ko ek baar fir Shrimad Bhagwat Geeta ji ke saaro mein se mukhya antim do saar ka smaran kara doon, jo ki kuch is prakar hai :
- Tum apne aapko bhagwan ko arpit karo. Yahi sabse uttam sahara hai. Jo iske sahare ko jaanta hai wah bhay, chinta, shok se sarvada mukta hai
- Jo kuch bhi tu karta hai, usse bhagwan ko arpit karta chal. Aisa karne se sada jivan –mukt ka aanand anubhav karega.
Yadi aap bhi apne saath hue chamatkar dusre bhakton ko batane ke ichuk ho toh krupaya apni kathaye ya unka varnan sanjeev@globaladvertisers.in par bhej dijiye, hum purn prayatn karenge ki jald se jald aapne anubhav prakashit ho, aur agar aap Karunamai Shri Radhe Maa ji ke barmein aur kuch jaankari ya gyan lena chaayen toh aap Talli Babaji se +91 9820969020 par sampark kar sakte hai
Jai Mata Di!!