'Radhe Shakti Maa' ki leelaye - personal experience - Kavi Shri Saral ji - a well know poet and follower of 'Radhe Maa'
Ek Shaniwar !
Us samay ratri ke lagbhag 9.30 baje the. Mein ratri ka bhojan karne ke baad yun hi tehlne ke liye neeche utar aaya aur dheeme dheeme kadmo se chalta hua Sodawala lane ki taraf nikal aaya. Borivali-west mein Chandawarkar Road par sthit Sodawala Lane meri pasandida gali hai. jaha mein aksar tehlne ke liye nikal aaya karta hoon.
Achanak halki boonda bandi hone lagi.
Meine bhigne se bachne ke liye jagah talash karte hue idhar uthar zanka. Tabhi mujhe ek building ke samne kuch logo ka hujum dikhai dia. Meine tanik kadam tej kiye magar mujhe aascharya hua. Waha lagi katar mein koi bhi sajjan barish se bachane ke liye chintit dikhai nahi de raha tha. Katar mein lage bacche, budhe, jawan, bujurg, mahilaye, ladkiya bade aram se dheere dheere aage badh rahe the.
Yeh line kaisi hai? Is waqt in logo ko katar badh hokar kaha wana hai ? Mera Jigyasu mann utsukta se bhar utha. Mein katar ke nikat pahuha. Ek Sajjan ne badi vinamrata se haath jodkar mujhse kaha, "Bhagat Ji, krupya line mein aayiye"
Mein jab tak kuch samjh pata mere piche das-barah sajjan katar mein lag chuke the. Kuch logo ke haathon mein fulon ke guldaste, kahiyonke haath mein nariyal, chunri aur anya puja adi ka saamaan tha. Shayad prashad vaigaira
Meine utsukta se apne aage khade lagbhag chalis varshiya vyati se poocha, "Bhai ! Hum log kaha ja rahe hai?"
Usne hairani se meri taraf Dekhte hue Sawal kia, "Pehli baar aaye ho kya?"
Meine sehmati mein gardan hilayi.
"Aaj Shaniwar hai" wah bhav-vibhor swar meine bola, "Aaj bhag khul jayenge ! 'Devi Maa' ke Darshan honge."
"Devi Maa?", meine utsukta se poocha, "Yahan koi Mandir?"
"Mandir se bhi badhkar......." wah ekdum shraddha bhare swar mein bolo, "Yah 'Radhe Maa' bhavan hai...." wah mantra-mugdh nigahon se bhavan ki paachvi manjil ki taraf niharne laga,"Dekho, bhagat ji......! Jagat Janani Maa Bhagwati ek hai, magar uske karode karode upasak hai. Ab jab sabhi log Maa ko pukarte hai toh Maa ka ek saath sabhi ke paas pahuchna toh sambhav nahi hoga na. Tab sakshat Maa apne swaroop ko kisi doot ki madhyam se sabke paas puchati hai. Aise hi "Maa Bhagwati" ki doot hamari 'Devi Maa' hai. Sabhi unko 'Radhe Shakti Maa' ke naam se pukarte hai.
"Aap kaha se padhare hai bhaiya?" Meine prashna kia.
"Mein.....?", usse meri taraf dekh kar kaha, "Ludhiana, Punjab se ! Aur kyon aaya hoon Sunoge?"
"Sunao!", meine sir hilaya.
Wah gambhir swar mein bola, "Suno...."