Uski umar lagbag pachpan saal hogi. Kad toda thegna, chehra gol, chote chote baal. Usne halke asmani colour ke half baaju ki shirt aur pant pehni the. “Devi Maa” ke darshano ke liye sidhiyon ke kataar ke beech wah khada farsh ko ghur raha tha.
Mere dyan uski taraf akarshit isleye hua kyuki wah apne aap se batain kar raha tha. Kabi wah jhun -jhunlakar gardan hilane lagta tha kabhi ekdum muskurane lagta. Kabi gusse mein daath khich raha tha, kabi gambhir mudra mein kuch badbadane lagta.
Lagataar apne taraf taktaki lagaye dekta pakar usne jhepte se huye dono haath jodkar dherese kaha, “Jai Mata Di.”
“Jai Mata Di”, Saheb.” Main hasa, “Aaj kuch khaas utapatak chal rahi hai apke bhitar he bhitar. Kyun?”
“woh….yun he….” wah jhep mitane ka prayas karte hue jabran muskuraya, “aur tum sunao. Baith kyun gaye, thak gaye ho? Abhi se? Jawan ho pyare. Utho. Himmat karo.”
“Are nahi bhai”, Maine apne paas padi khali jagah ko thapthapaya, “Aap bhi baitho. Abhi darshan shuru nahi hua hai shayad. Line jyon ke tyon wahi khadi hai.”
Wah “Thanks” bolne vale style mein hoton ko hilakar mere bagal mein aahista se baith gaya.
“Kyun baatein kar raha the apne aap se?” maine sahaj swar mein pucha, “Pehle apne naam bataye”.
“Madhukar. ……Madhukar Nayar. Main ek bank mein karmachari tha, …hoon”
“Tha”, maine uske baat dauhrai, “aur hoon... Uska kya matlab hua.”
“ Matlab toh ‘Devi Maa’ jane.” Wah bhare gale se bole,” liken manana padega. Pujya Radhe Shakti Maa ka naam hai bada chamatkari.”
“Zara khul kar boleye, Nayar sahab.”
Maine utsukta se poocha, “Apne kya chamatkar dekha?”
“Mere dost” wah ekaek gambir ho utha, “Maine pure 33 saal bank mein naukri ki hai. Kitne?.... 33 year. Mamuli clerk ke padavi par laga tha. Apne mehnat se, lagan se, imandari se kaam karte karte Assistant Branch Manager ke seat par pahucha. Log mere imandari ke misale dete. Mere mehnat aur karyakshamata par pure staff ko naaz tha. Aur fir….”
Ek gehari saans lene ke baad Madhukar Nayar bole, “Mere achi khasi zindagi ko grahan lag gaya. Kisi karmachari ne bank mein 37 lacs ka gafla kiya aur ilzam mere sir par aah gaya. Kitne Ka??. 37 lacs ka….”
Main gambir mudra mein lagatar dyan se uski baatein sun raha tha.
“Pehle sabhi karmachari se puchthach hui. Phir enquiry chalu hui. Mujhe suspend kar deya gaya.
“Yah kab ki baat hai.” Mene sahanmurthi swar mein poocha.
“Lagbhag saat varsh aur paanch mahine ho gaye mujhe suspend hue”. Madhukar Nayar ne meri aankhon mein jhaka, “Mujh par baimani ka iljam laga. Log mujhe ajib nigaoh se dekne lage. Mera ruthba meri izzat ki dhajjiya ud gayi. Shahar mein kahi ana jana tak mushkil ho gaya. Yaar dosto ne pith dekha di. Rishtedar sangwale mere baatein banane lage. Matlab yeh hai mitra mere, main jamane bhar mein tamasha ban gaya. Mere halat vikshipto ke tarah ho gayi. Khana pina haram. Upar se mere upar case ho gaya. Hafte mahine court kachehari ke chakkar. Wakil ki fees. Sab kuch bandadaar ho gaya.”
Main uske haath ko thapthapakar dhadas badhaya.
“Main thak gaya tha. Main tut gaya tha. Mera vishwas, mera dhairya bhi jawab dene laga tha.” Madhukar Nayar nai bhare gale se kaha, “phir maine ekbar yaha Shree Radhe Maa Bhavan Maa mein ho rahi chowki mein aa gaya. Jab waqta logo ne Shree Radhe Shakti Maa ka gungan barvan kiya toh mein be darshano ko chala gaya. Maine Devi Maa ke darbar mein arji lagayi. Phir nirantar saath chowki bhare.”
“Phir”, maine vygra swar mein poocha.
“Phir saathvi chowki ke baadh….?
Madhukar Nayar ke aawaj mein josh aa gaya, Ekaek jaise ‘Devi Maa’ ne chamatkar kiya. Bank mein keg aye jalsaji ke asli gunahgar pakad mein aa gaye. We teen jan the. Ek clerk, ek cashier aur ek grahak. Teeno ko shinakht ho gaye. Unhone gunha kabul kar liya. Abhi parso … parso main bank karmachari tha, liken kal mujhe phir se apne service ke bahali ka order mil gaya. Mujhe apne naukri par phir bula liya gaya hai. Bank ne likhit roop se mujhse maafi mangi hai. Is dauran mujhe Assistant se Branch Manager bhi bana diya gaya hai. Mere bhai, isleye mene kaha main bank karmachari tha, hoon. Yani somvar se…… Aaj Devi Maa ke darshan karunga. Aaishirwad lunga. Kal tanhkar sounga aur phir somvar se Madhukar Nayar Branch Manager ke seat sambhalunga. Main toh isse sirf ‘Devi Maa’ ka chamatkar manta hoon. Apka kya kehna hai?”
Maine muthi bandh kar hawa mein lehrahi, “ Hundred percent Devi Maa ka chamatkar.”
Madhukar Nayar nai santhush si sir hilaya.
(To Be Continue...)
Note – Priya ‘Devi Maa’ ke bhakto ‘Maa ki leelaye hum nirantar shrunkhala badh prasarit kar rahe hai. Ismein humne ‘Devi Maa’ ke sanidya mein aane wale bhakto ke anubhav ko kalambadha kia hai. ‘Maa ki Leelaye’ aapko kaisi lag rahi hai, Iske bare mein apni rai, apni samiksha, apna sujhav, hame nimn email par bhej sakte hai..
Aap agar apne anubhav, ‘Devi Maa’ ke apne saath hue chamatkar ko sabke saath baatna chahte hai to hum aapke naam aur pate ke saath ise pesh karenge. Aap agar chahenge to naam pata jahir nahi karenge aapnki bahumulya pratikriya ke pratiksha mein…
Sanjeev Gupta
Email – sanjeev@globaladvertisers.in
No comments:
Post a Comment