Part 3
Katar me lage shradhaluon me se ek ne buland sware mein jaikara lagaya, “Jaikara meri Sacchi Sarkaar Shri Radhe Shakti Maa ji ka….”
“bol Sanche Darbaar ki Jai…” utar mein puri katar ne dono haath uthakar jaikara pura kia.
Tabhi bunda-bandi ne tej bochhar ke saath barsaat ka roop le lia. Katar jo dheeme dheeme aage sarak rahi thi, ekdum se tej rafter mein aage badhne lagi. Ek gehre neele safari suit pehne sewadaar ne mujhe laal rang ka rumal dia. Rumal par alag alag tarike se ‘Shri Radhe Maa’ ka naam print kia hua tha. Meine rumal ko sar par bandhene ki koshish ki. Mere picche wale sajjan ne madat karte hue rumal ko sahi tarike se baandh dia.
Meine apnea age wale Punjab se aaye Arjun Sachdeva ki kahani ko guar se suna. Us admi ki swar mein jo vishwas, jo astha, jo shraddha, jo purn samarpan ki bhavana zalak rahi thi, mein bina darshan kiye hi ‘Shri Radhe Shakti Maa’ ko apnea as paas mehsus karne laga.
Arjun Sachdeva ne bataya ki shaadi ke lagbhag 11 saal baad use putra ki prapti hui aur yah sab ‘Devi Maa’ ki asim anukampa aur aashirwad se hi sambhav hua. ‘Arjun Sachdeva akela hi ‘Devi Maa’ ka dhanyawad karne aaya tha. Uski Dadi ki tabiyat thodi naram thi, isliye apni patni ko uski seva ke liye chodkar aaya tha.
Mein katar ke saath jaise hi ground floor par sthit bade se hall mein pahuncha, mere samne adbhut nazara tha.
Hall Mata ke bhakto se Khachakhach bhara tha. Anek sevadaar aur sevadaria bade vinamr aur shraddha bhav se bhakton ko anushasnatmak tarike se bitha rahe the.
Samne Bhagwati Maa ki chowki ka karyakram chal raha tha. Sundar Darbaar Saja tha. Saajinde bade kalatmak dhang se apne apne instruments baja rahe the. Mein jaise hi darbaar ke nikat pahuncha meine gaur se bhajan ga rahe kalakaar ki taraf dekha.
Bade hi madhur aur nipun swaron mein bah gar aha tha, “Mere bhole baba, Radhe Maa ka Roop kya Saja dia….”
Ek sajjan ne thoda sarak kar mere liye baithne ki jagah ki. Meine krutagyanta purwak uski taraf muskurakar baithe hue hall mein nazar daudai.
Shradhaluon mein thasathas bahre hall mein sabhi ko bade vyawasthit dhang se baithaya gaya tha. Alag alag jagah se aaye sabhi Shradhalu bhakti bhav se taliya bajate, zoomte hue, bhajan mein leen the.
“Bahut badhiya ga rahe hai bhai!” meine prashansatmak sware mein baje mein baithe vyakti se poocha, “In bhaisahab ka naam kya hai?”
“Aap nahi jante?” us vyakti ne atyant garv bhare swar me kaha, “Ye Punjab se aaye hai. Hindustan hi nahi pure vishwa me inki gayaki ki tariff hoti hai…. Ye Sardool Sikander hai…”
Mein aschyara chakit reh gaya.
Ek Musalman gayak ‘Shri Radhe Shakti Maa’ ka gungaan kar raha tha aur who bhi atyant bhakti Bhav se…Dhanya ho ‘Shri Radhe Shakti Maa'
Part 4
Shri Radhe Maa bhavan ke ground floor sthit bade se hall mein Mata ki chowki ke us karyakram mein shradhaluon ki us bheed mein mujhe alag alag sthano se aaye shradhaluon ke chehre nazar aa rahe the. Meine charo taraf nigah daudane ke baad saath baith sajjan se dheem swar mein poocha, “Devi Radhe Maa kidhar baithe hai?”
“Woh toh panchwe male pe virajmaan hai.” Usne gaur se mre taraf dekha, “ Aapko darshno ke liye number ki parchi (token) mili?”
“Nahi.” Meine inkaar mein sar hilaya, “Mujhe koi parchi-varchi nahi mili hai”
“koi baat nahi”, usne aashwasth bhav se mere haath ko thapthapaya, “Mein la deta hoon.”
“Mein bhi aapke saath chalta hoon”, meine use uthate dekhkar kaha, “Kahase milti hai parchi”
Usne ishare se aane ka sanket dia.
Mein uske piche piche hall mein pravesh karne wale gate tak pahucha. Wah ek sewadaar ke kaan mein kuch kehne ke baad bahar gaya aur turant laut aya.
“Ye lo…” usne ek parchi mere haath mein thamai, “ aapka number hai 825”
“iska kya matlab hua?” meine pehle parchi aur fir uski taraf dekha.
“Abhi samjhata hoon .” wo hall mein ek side mein khade kuch logo ki taraf dekhne laga. Tabhi ek Sewadaar ne ek suchna dene wala poster sa public ki aur dikhaya. Uspar likha tha ‘551 to 600’
“Dekho!” wah Shradhalu bola, Abhi wo log jinka 551 se 600 number tak ki parchi mili wo Shradhalu sidhiyon ke raste chadhte hue paachwe mala tak jayenge. Wahi par ‘Devi Maa’ ke darshan hoge.
Hall mein baithe kuch Shradhalu purush, mahilaye, bacche, naujawan sidhiyon ki taraf bade anushasnatmak bhav se badhe.
“Dekho abhi 600 Shradhluon ko darshan ka bulawa aaya hai.” Mere saath khade sajjan bole, “wo kya hai. Jaise hi pehle 50 darshanarthi darshan karke niche utarenge aage ki parchi wale pachas logo ko upar bhej dia jayega. Abhi kuch samay baad fir pachas shradhaluon ko darsno ke liye bheja jayge. Aapka kya number hai?”
“825” meine parchi me dekh kar kaha.
“Samjho aadha pauna ghanta aur lagega” wo muskuraya, “Tab tak aap bhajno ka anand lo”.
“Aapko naam kya hai bhagat ji?” meine uski taraf dekhte hue dheere se poocha.
“Anil” wah haule se muskuraya, “Mein Phagwara ka rehne wala hoon”
“Phagwara?” meine jigyasu bhav se poocha, “ye kaha hai?”
“Phagwara Punjab me hai” Anil ne bataya, “Ludhiana ka naam suna hai?”
“haan” meine sehmati mein sir hilaya.
“Bas Ludhiana ke paas hi hia” Anil ne sir hilaya, “Mein yaha ‘Devi Maa’ ki seva ke liye aaya hoon. Mujhe badi pratiksha karni padi. Bahut hajari lagani pade. Tab jakar seva ka aadesh hua.”
“Kya seva karte ho?” Meine Sahaj bhav se poocha.
“Jo mil jaye….” Wah aatmavibhor swar mein bola, “Yeha bhavan mein jo bih seva milti hai, mein use apna saubhagya manta hoon.
“Jaise?” Meine prashna kia
“Jaise?....” wo tanik soch kar bola, “ jaise kuch bhi. Abhi jab sabhi Shradhalu darshan karne ke baad chale jayenge to paachwe mala tak sidhiyo ki safai, upar hall mein safai karana, yaha hall ke dari gadde uthana, hall mein ekdum saaf-safai karna vaigera vaigera…”
“Tum to bahot kismatwale ho Anil” Meine mugdha nigaho se use dekha, “Mujhe bhi aisi koi seva mil jayegi kya?”
“Abhi se?” Anil ne hairani ke saath kaha, “ Pata hai? Mein pichle 3 saal se yaha lagataar har dusre –teesre shaniwar ko aa raha hoon. Lagataar aarji lagan eke baad ‘Devi Maa’ ne mujh par yah meherbani ki hai. Mera Phagwara mein bahot bada kapdo ka showroom hai… Mein pichle 16 dino se yahi ‘Devi Maa’ ki seva mein hoon”
“Wapis kab jaoge?” Meine kautuhal se poocha.
Anil Shradhabhav se bola, “Jab Devi Maa ki hukum hoga.”
Part 5
Barish se bhigne se bachene ke prayas mein mein na jane kis dor se bandha Shradhluon ki katar mein lagkar ‘Shri Radhe Shakti Maa’bhavan ke ground floor sthit hall mein pahuch gaya. Is dauran line mein mre aage khde Ludhiana ke Arjun Sachdeva ne bataya ki kis prakar ‘Shri Radhe Shakti Maa’ki daya drusti se unke yaha 11 saal baad ladka hua aur wah ‘Devi Maa’ ke prati krutagyanta prakat karne yaha aaya tha. Uske baad mujhe hall mein Anil naam ka yuvak mila jo Phagwara se aaya tha. Ussi ne mujhe darshno ke liye parchi lakar di. Hall mein aage badhne ka rasta nahi hone ke karan hum pravesh dwar ke nikat deeware se sat kar khade ho gaye.
“Anil!” meine uske kaan ke nikat apna chehra kia, “Tum to ekdum naujawan ho! Is umar mein bhakti-pooja-path? Kya umra hogi tumhari? Yahi koi 25-26 saal ?”
“Correct!” wah muskuraya, “Thik judgment kia aapne. Is mahine 25 pure karke 26 we saal mein pravesh karunga. Isi 15th July ko mera janamdin hai. Aur kitna bhagyashali hoon mein. Malum hai aapko 15th July ko kya hai ?”
“kya hai?” meine tanik bhavo ko upar kia.
“Guru Pornima hai” wah ek ek shabd par jor dete hue bola, “ Us din ‘Shri Radhe Shakti Maa’ apne sabhi shishon ko vishesh darshan deni wali hai. Mein dhanya ho jaunga jab ‘Devi Maa’ ke aashriwad ke saath apna janamdin celebrate karunga.”
Uska chehra khushise damak utha.
“Tumne bataya nahi?” Meine Anil ko toka, “Tum is khane pine khelne ki umr mein ye pooja-path bhakti aur seva mein jute ho… kyon?”
“Mat poocho yaar” wah tanik gambhir hokar sajinda swar mein bola, “Darsal meine Chandigarh University se apni graduation complete ki. Is dauran galat sangat ke karan ulte-siddhe kamo mein pad gaya. Awaragardi, jua-sharab, ladai zagda aur na jane kya kya?.. Ghar se aanap –shanap paise aate the jeb kharch aur padhai ke liye. Buri sohbat ne mujhe ek gair jimedaar aur ziddi ladka bana dia. Rojana ki maar pit aur galat harkto ke karan ghar shikayate pahuchne lagi Parents ne Phagwara wahpir bula lia. Waha mein konsa sudharne wala tha? Buri harkto ke karan mein pure Phagwara mein badnaam ho gaya tha”
Meine sahanbhuti bhari nigahon se uski taraf dekha.
“Phir ek baar Phagwara mein kisi bhakt ke ghar ‘Devi Maa’ ka aagmaan hua.” Wah shunya mein takate hue bola, “Mere Maa-Baap jabardasti se apne saath darshone ke liye le gaye. Isi prakar bhakto ki beed me hum katar badh ‘Devi Maa’ ke samne pahuche. Meri Maa aakhon mein aasue liye bahut der tak maan hi man meine n jaane kya prarthana kar rahi thi. Kaapte hoton se n jane kya budbudate hue wah nirantar haath jo0de ja rahi thi. Hum ‘Devi Maa’ ke sanmukh pahuche. Devi Maa ne pehle mere Pita ki taraf dekha, unke chehre par chaye nirasha ke bhavo ko padha. Phir meriMaa ke jharte aasuon ko nihara. Tab ‘Devi Maa’ ne ek nazar mujh par daali. Mere ander ki atma ko jaise kisi ne zanzorkar rakh dia………. Meine ekdum unke kado me gir gaya. Mere muh se bol nahi fut rahe the. Magar mere chehre par paschyatap aur kshamayachna ke bhav umad aaye the. ‘Devi Maa’ ne apni trishul wala haath tanik uthaya aur ashirwad ki mudra mein muskurai.”
Wah saans lene ke lene ke liye ruka.
“bas…..” Anil gambhir swar me bola, “wah din aur aaj…….?? Usi din se meri sabhi galat harkatoh se pind chut gaya Nasha-patta band. Sharab – cigarette aadi se aisi ghruna ho gayi ki ab to koi mere samne bidi cigarette pita hai to meein use marne maarne par utaru ho jata hoon. Meine galat sohbat wale sabhi dosto ko alvida keh dia. Subah tadake uthkar, naha-dho kar, poja path ke baad ‘Devi Maa’ ki di hui mala ke saath path karne ke baad pitaji se bhi pehle apne kapde ki showroom pe pohochne laga. Meri Maa to jaise nihal ho gayi, mere Pita ka seena garv se ful jata hai, jab koi unke samne meri tarifo ke phool bauchata hai.”
“Wah Anil” meine prashansatmak swar mein kaha, “‘Devi Maa’ne to tumhara kayakalp kar dia!”
Usne haath jodkar chat ki taraf dekha, “‘Devi Maa’ hai hi aise!”
No comments:
Post a Comment