Part 9
Borivali west me station se sirf paach ke paidal raste par chamunda circle se thoda aage sthit sodawala lane meine ‘Shri Radhe Maa Bhavan’ ke ground floor sthit hall mein ‘Mata ki Chowki’ ka aayojan bhavya aur dharmik bhavana se paripurn chal raha tha.
Meine gane bajane wale kalakaron ke nikat baitha talinata ke saath bhakti sangeet mein dooba tha, magar meri nigahe apni bai taraf sthit us galiyaare ki taraf thi jaha se paachwli manzil ko jane ki seedhiya thi.
Galiyare ke nikat aadha darjan bhar sevadar darshno ke liye jane wale aur darshno se laut kar aane wali sangat ko vyavasthit dhang se sambhal rahe the.
Un sevadaro ke bich khade ek sajjan ki taraf mera dhyan aakarshit hua. Cream color ka safari suit chehre par aatmavishwas ki chamak magar shradha aur samarpan ki dastak bhi spasth nazar aa rahi thi. We dono haatho se dheeme dheeme tali baja rahe the. Bhajan gayak ke saath saath kuch gunguna rahe the, magar beech beech mein sevaro ko kuch nirdesh bhi deiye ja rahe the. Unki mushtaidei aur kartavyanishthata ke karan hall mein kafi anushasan bana hua tha.
Safar suit pehne vyakti ne manch par maujud ek kalakar ko halka sa ishara kia. Wah fauran unke paas pahucha. Safar suit wale ne kalakar ke kaan mein kuch kaha. Samjh jane ke bhave se sir hilate hue kalakar wapis manch ke nikat pahucha. Bhajan gayak Sardool Sikander ke kaan mein kuch fusfusate hue kalakar ne ek anya bhajan gayak ki taraf ishara kia.
Mein eka ek aapne sthan se utha.
Vyavasthit dhang se baithi sangat ke beech jagah banate hue mein us safari suit walie vyakti ke nikat pahucha. Unke chehre par prashnatmak bhav pragat hue.
“Jai Mata Di”. Meine haath jodkar atyant vinamr swar mein poocha, “Aapka naam jaan sakta hoon?”
“Shiv Chacha” wah dheeme se muskutaye “log mujhe ‘Shiv Chacha’ ke naam se pehchante hai. Bahut se log ‘Jagat Chacha’ bhi kehte hai. Waise mera naam ‘Jagmohan Gupta’ hai. Gupta pariwar ka sadasya hoon. ‘Devi Maa’ ka sevak hoon”.
“Shiv Chachaji” meine thoda zuk kar dheere se kaha, “Mein aapko lagbhag teen ghante se yun hi khada dekh raha hoon”
“Devi Maa ke seva mein….” Shiv chacha samarpan bhav se bole, “….saari umar khada reh sakta h oon. Ek paav par bhi”
Meine prashansatmak nigaho se unki taraf dekha, “……….’Shiv Chacha’ mein thodi jankar hasil karna chahta tha…”
“aayiye…” ekdum vinamr bhav se we bole, “Kya janana chahte hai?”
Lagbhag das barah sidhiya chadhne ke baad ek taraf bani ek window ke umare sthan par thoda ukad hokar hum paas paas baith gaye.
“Mein Janata hoon, aap ‘Devi Maa’ ke bare me kuch janana chahte hai” Shiv Chacha ne meri taraf dekha.
“Mein aapke bare mein janana chahta hoon” Meine apni ungli unki tarah do teen baar lehrai.
“Mera naam ‘Jagmohan Gupta’ hai” wah gambhir swar mein bole, “Gupta family ka sadasya hoon. Hum log atyant bhagyashali hai bhaiya. Jo pujya ‘Radhe Shakti Maa’ hamare ghar mein virajmaan hai. Dekhiye janab’ Hamari khandani dhanda hai… business, income izzat- shohrat ki koi kami pehle bhi nahi thi. Lekin ‘Devi Maa; ke charan jab se hamare ghar pe pade hai, hamare to jaise bhagya khul gaye hai.
Shiv Chacha ek kshan ke liye ruke. Kharwar ka r tanik gala saaf karne ke baad punh bolana shuru kia, “Aaj se sadhe char saal pehle meine ‘Devi Maa’ ke leela ka jo anubhav kia, who aapko bata hoon. Kuch dino tak meri tabiyaat thodi naram rehte rehte achanak mere pet mein bhitar hi bhitar bleeding shuru ho gayi. Fauran doctor ki taraf bhage. Emergency treatment shuru ho gayi. Bahut prayatno ke baad bhi bleeding rook nahi rahi thi. Tabiyaat nirantar down hoti ja rahi thi. Hum logo ne ek kshan ke liye bhula dia tha hi bade se bade doctor to hamare ghar mein maujud hai. ‘Devi Maa’ ne hame kuch samay pehle bata dia tha ki satar rahe. Pariwar ke sadasyo ne ‘Devi Maa’ ke charno mein binate ki. Fauran prarthana sweekar hui. ‘Devi Maa’ ke aashirwad se mere bhitar ki samasth bimari nikal gayi. Ekdum se mein swasth hone laga. Meri atma aur sharir ke tamam rog nadarad ho gaye. Mein kuch hi dino mein ekdum swasth ho gaya. Swasth hi nahi ho gaya .. umar ke lihaj se pehle se bhi jyada tarotaja aur tandurast feel karne laga hoon. ‘Devi Maa’ ki dristhi matr se pratek rog ka nidaan ho jata hai. Yah mera vishwas bhi hai aur dawa bi. Bole ‘Radhe Shakti Maa’ ki…..”
“Jai…!” meine dono haath aasmaan ki taraf taan diye…!
Part 10
Shiv Chacha ne haule se muskurakar mujhe aashwasth rahne ka sanket dia. Mera kandha thapthapa kar wah fauran neeche galiyaare ke paas apne vishith sthan par ja khade hue.. mustaid mudra mein. .. Apni duty ko jis tanmayata aur lagan se nibha rahe the, meine mann hi maan me unhe salute kia.
Mein jis window ki thodi umari hui jagah par ukdu hokar baitha tha, waha se pure hall ka jayaja bhi lia ja sakta tha aur pehli manzil ki taraf ja rahi seedhiyo par khare shradhaluon ko nikat se dekh sakta tha.
Line aage na sarakti dekh ek adhed se sajjan jinka sharir thoda bhari tha.. shayad thak se gaye the,,, wohi mere nikat farsh par baith gaye…
“Aap line mein hai kya?” unhone vyagra swar mein poocha..
“No…” meine inkaar me sir hilaya… “ mein kuch aaram ke saath, kuch jaankari lene ke baad.. thodi bheed kam hone ke baad darshan karana chahta hoon”
“phir to teen bajaenge bacchu!” unhone sir hilaya, “Sangat ne abhi to aana shuru kia hai.. aur wah tum jaankari ke bare me keh rahe the… Kya jaankari chahte ho puttar..?? mein yaha varsho se aa raha hoon … Niyameet rup se aa raha hoon! Bina naga aa raha hoon!”
“Mein socha raha tha…” mein vicharpurvak swar mein bola, “Itna bhavya aayojan, itna intejaam, itni vyawastha har pandrah din ke baad karna koi mamuli baat to nahi hai… Bahut saara kharcha hota hoga in sab par…”
“Thik ja rahe ho ho..!” usne sehmati mein sir hilaya, “Abhi to pehli mazil bhi nahi pahuche ho…”
“Bhagat !” meine uski baat puri ki, “Bhagat naam hai mera..! Darshano ke liye pehli baar aaya hoon!”
“Bhagat ji !” wah sajjan utsaah bhare swar mein bole, “AApne Road se lekar yaha tak khade sevadaro ki sankhya ka anumaan lagaya hai?”
“Yahi koi….” Meine sir khujalaya, “bees – pacchis"
“Sau ke karib hai… !” usne bhave maathe par le jate hue kaha, “Ladies aur gents sevadaar upar darbaar mein ‘Devi Maa’ ki gufa se lekar haar mazil par do-teen sevadaar ! Aap kya samajhte hai.. inko kitni tankhva milti hai?”
Meine prashnatmak nigaho se uski taraf dekha.
“Ye sevadar hai!” wah ek ek shabd par zor dete hue bole, “Apni marzi se apne kaam dhande chodkar yaha matr seva ke liye aate hai … Inko paagar nahi milti .. Lekin inko jo milta hai.. wah duniya bhar ki sabhi pagaron se kahi jyada hai… ‘Bhagat ji’…sabhi ko darshan karwane ke baad jab ye ‘Devi Maa’ ke sanmukh hote hai… aur pujya ‘Radhe Shakti Ma’ ki dayamay drishti in sevadaro par padti hai to usne adhik param aanand kahi nahi hai… Kisi cheez mein nahi hai.. uske baad ubji bhandara milta hai… Bhandare se yaad aaya.. apko malum hai teesari manzil par daai taraf sthit terrace parvishal bhandare ka intejaam rehta hai..”
Meine inkaar se sir hilaya.
“gino.. “ unhone aapna dahina haath aage karte hue anguthe se ungliyo ke paur doona shuru kia… “paach –cheh prakar ka salad aur aachaar, teen-chaar prakar ki sabjhi, daal, kadhi, bundi ka rayata, kabhi pav-bhaji to kabhi puri, besan ki tandoori roti, gehu ki roti, chawal, pulav, pizza, bhelpuri, dosa, sevayo ki kheer, ice-cream, faluda, teen chaar mithaiya, fruit salad, gulab jamun, jalebi – Rabadi, halwa –chana….”
“bas bhaisahab” mere ooh mein to sach much pani aane laga, “Aap to kisi bhavya shaadi mein parose jane wale manu ka varnan kar rahe ho…”
“Yah sab teesare mala par sthit bhandare mein milta hai… Mere bacche!” Wah shraddha purvak swar mein bole, “Aur sab ‘Devi Maa’ ki krupa se hota hai, aap kya samjhte hai? Gupta pariwar iske liye koi chanda lete hai? ‘Devi Maa’ ki aapar daya se ye sab Gupta pariwar aayojit karta hai.. aur wah bhi ni-swarth”
Meine Hairani se sir hilaya.
“Bhagat Ji!” wah dono haath uthakar chat ki taraf dekhne laga, “aap nahi jante ‘Devi Maa’ ki leela kya hai. ‘Devi Maa’ kabhi updesh ya pravachan nahi deti. Malum hai? Woh kabhi demand bhi nahi karti.. woh kisi ko kuch karne na karne ke liye rokati –tokati nahi. ‘Devi Maa’ ki gufa mein jaise hi koi maa ka sevak pravesh karta hai, Maa uski taraf niharti hai, unki tamam shankaon ka fauran bhav deti hai hai.. Jab tak aap ‘Devi Maa’ ke sanmukh pahuchate hai.. aapki samasyaon ka nidaan ho chukka hota hai”
“Bolo Pujya Radhe Shakti Maa ki….” Seedhiyon ke upar mod par khade sevadaar ne use uthne ka ishara kia.
“Jai..” wah sajjan tatparta se uthe. Katar aage sarki.. Mod mudate hi wah sajjan meri drishti se oojhal ho gaye.
Mein bhitar hi bhitar ek aasim shanty aur apne aap ko halka mehsus karne laga tha…
(To be continue..)
No comments:
Post a Comment