‘Shri Radhe Maa Bhavan’ ke first floor sthit vishal waiting hall mein Shri. Manmohan Guptaji ke sang aaya tha. Unhone ladke ko mere liye coffee lane ka ishara kia aur swayam pasar kar halki zapki lene lage. Tabhi Dubai se himaat bhai Airport se sidhe yahan chale aaye the. Coffee pine ke dauran unhone apni aap-beeti sunai. Apne bachpan ke langotia yaar aur business partner ke daga karne ke bavjud kaise we ‘Devi Maa’ ki kriup se apne mukam par pahunche. Wakai prernadayak prasang tha.
“Chalo…..” Himmat bhai ne tapaak se haat milate hue kaha, “Main ‘Devi Maa’ ki hajari lagane jaa raha hoon. Uske baad bhandara lunga. Bahut bhook lagi hai. Tum chal rahe ho?”
“Aap chalo Himmat Bhai….” Maine andaai lene ka upkram kia.. “Main thoda theharkar…”
Himmat bhai ne darwaje ke paas pahunch kar abhiwadan karte hue haath hilaya. Tabhi ek mahila ne waiting hall mein pravesh kia. Himmat Bhai ne tanik picche hatkar unhe rasta dia aur fir swayam darwaje se bahar nikal gaye .
Abhi abhi hall mein pravishth hui mahile ki goad mein lagbhag teen-sadhe teen saal ki bacchi thi, jo shayad sone ke liye kasgasaa rahi thi aur wah mahila usse haule haule se thapthapa rahi thi.
Shri. Manmohan Gupta ekaek uthe. Hateli ke pichale bhaag se muh pocha aur fir khed bhari muskaan ke saath meri taraf dekha. Maine unhe so jane ka ishara kia. Unhone inkaar mein sir hilate hue niche chal rahi ‘Mata ki Chowki’ mein jane ki iccha jatlaate hue ek haath paajame ki jeb mein dhoosa aur darwaje se nikal gaye.
Aaguntak mahila ne sofa mein bacchi ke litaya aur swayam paas baith gayi. Usse thapthapte hue meri taraf dekh kar boli, “Jai Mata Di”
“Jai Mata Di....”, meine bacchi par ek nigah dali, “Bahut pyari bacchi hai”
“Devi Maa ne di hai” wah purvavrat thapthapate hue shraddha bhare swar mein boli, “ Hamne iska naam bhi ‘Radhika’ rakha hai. Woh kya hai na, darasal iska sone ka time ho gaya hai. Bacchi hahi na .. Nind toh aayegi hi” Meine sir hilaya.
“Aapne darshan kiye…” usne bhave hilakar poocha. “Maine abhi darshan ke liye hi ja rahi thi. woh kya kya hai na, isi bacchi ki aashirward dilwana tha. Bhai sahib ! badi mannat karke, bahut maang-maang kar maine ‘Devi Maa’ se kanya li hai. Meri sasural wale toh bahut chillate the ki kya saara din bitiya –bitiya ki rat lagaye rehti ho. Par mein apni jidd par adi rahi. Yah meri pehli santan hai. woh kya hai na, har koi pehli santan ke roop mein beta hi mangta hai. Maine hamesha se yahi iccha rakhi ki mere yahan beti hi ho. Kyon bhai sahib? Betiyon mein kya burai hai?”
“Betiya hi nah hogi….” main apna gyan badharne laga, “Toh Maa kahase hogi, Bahen kahase hogi,. Biwi kaha se hogi. Mami kahase hogi. Beti toh shrushti ka aadhar hai”
“Woh kya hai na…” mahila ka swar utsaah se bhar gaya, “Log beta beta kar ke apne beton ko sar chadha lete hai aur phir wahi bĂȘte apne Maa-baap ki durgati karte dekhe gaye hai. Kanyaye toh bechari sada apne sasural mein bhi Maa-baap ki khair mangati rehti hai. Ab ‘Devi Maa’ ko hi dekh lo. Woh bhi toh kisi ki beti hai hi na. Kaise lakhon logoka kalyaan kar rahi hai. Na kuch chadhawa maangti hai .. Na kuch aur maangti hai. Bus hamesha deti hi rehti hai.”
Maine sehmati mein si hilaya.
"Woh kya hai na bhai sahib ?” Mahila ka swar thoda dheema kia. “Har kisi ko muh maanga toh milta nahi hai na. Mukadaar bhi toh aakhir koi cheez hai. Apni mukadaar mein likha hai Scooter aur aap Honda-city ke liye shikayat kare ki, ‘Devi Maa’ scooter kyon dia, Honda- city kyon nahi di? Yah koi baat hui? Zara yah bhi toh socho kuch logo ke paas toh scooter kya cycle tak bhi nahi hai. Phir? ‘Devi Maa’ se shikayat kyon? Dekho bhai sahib, woh kya hai na. ek school mein kisi class mein 80 bachhe hai. Un 80 bacchon mein se ek baccha first class la raha hai. 95% la raha hai. Aur usi class mein ek baccha fail ho gaya hai. Toh kya kahoge? Teacher ne kuch gadbad kia? Agar teacher ne gadbad kia hai toh ek baccha first class kyon aaya? Woh kya hai na Bhai-Sahab, kabhiliyat bhi toh kuch hoti hai. Teacher ke padhane mein meen mekh mat nikalo, apni mehnat, apni lagan ko bhi dekho. ‘Devi Maa’ kya de rahi hai aur usko itna de rahi hai, mere ko kum kyon de rahi hai-yah mat dekho. Yah dekho ki ‘Shri Radhe Shakti Maa’ ke darbaar se kuch mil toh raha hai . Khali toh nahi ja raha na. Kyon? Mein thik keh rahi hoon na?”
Maine sehmati se sir hilaya.
Tabhi ekaek bacchi uthkar baith gayi.
Mahila ne ishare se bacchi ko so jane ko poocha. Bacchi ne inkaar mein daaye baaye sir hilaya.
“Darshan ke liye chale?” Mahila ne snehil bhaav mein poocha.
Bachi ne dono bahe uthakar Maa ki taraf dekha.
Mahila ne bacchi ko god mein uthaya, meri taraf dekhkar atyant dheeme swar mein “Jai Mata Di’ kaha aur tej kadmo se chalti hui darwaje se bahar nikal gayi….
(To be continue...)
by Saral Kavi
Note – Priya ‘Devi Maa’ ke bhakto ‘Maa ki leelaye hum nirantar shrunkhala badh prasarit kar rahe hai. Ismein humne ‘Devi Maa’ ke sanidya mein aane wale bhakto ke anubhav ko kalambadha kia hai. ‘Maa ki Leelaye’ aapko kaisi lag rahi hai, Iske bare mein apni rai, apni samiksha, apna sujhav, hame nimn email par bhej sakte hai..
Aap agar apne anubhav, ‘Devi Maa’ ke apne saath hue chamatkar ko sabke saath baatna chahte hai to hum aapke naam aur pate ke saath ise pesh karenge. Aap agar chahenge to naam pata jahir nahi karenge aapnki bahumulya pratikriya ke pratiksha mein…
Sanjeev Gupta
Email – sanjeev@globaladvertisers.in
No comments:
Post a Comment