Thursday, October 20, 2011

'Shri Radhe Maa' ki Leelaye - Part 24


  


Param Shradhey Pujya 'Shri Radhe Shakti Maa' ko haazir naazir maan kar, jo kahunga – sach ke siva kuch nahi kahunga – Saral Kavi

Delhi se lagbhag dedh ghante ke rail raste dwara Sonipat pahuncha ja sakta hai. Ek thik thak aabaadi wala kasba, jo desh ki rajdhani se sata hone ke kaaran dheere dheere unnati pragati par agrasar hai.

‘Jay Raheja’. Umar lagbhag 35 saal,  gora chitta hasmukh naujawan. 

Aaj se dus saal pehle.

Jayse taise B. A. ki padhai complete hui. Pita footpath par kele ka thaila lagakar parivar ka gujara chala rahe the. Paanch bhai – behno mein ‘Jay Raheja’ teesare number par tha. Badi do baheno ki shaadi ho chuki thi. Ek chota bhai aur ek behen abhi padhai kar rahe the.

B. A. paas karne ke baad bhi lagbhag 3 saal se ‘Jay Raheja’ ko koi acchi naukri nahi mil rahi thi. Agar koi naukri mili bhi , toh usmein mehnat bahot jyada aur aamdani naa ke barabaar. ‘Jay Raheja’ pareshan tha, toh uske pita usse jyada pareshan. Is Vishay par ki ‘Jay’ kuch kamata nahi, ghar mein klesh rehne laga. Maa bechari kya kare, pati ka  paksha le ya bĂȘte ke, isi ghutan mein bimar rehne lagi. Roj-roh ki ghich ghich se ‘Jay Raheja’ mein hin bhavana baithne lagi.




‘Jay Raheja’ din bhar naukri ki talaash mein bhatak kar, ek shyam bhooka, pyaasa ghar mein ghusa toh pita se takraar ho gayi. Jab kuch kamata hi nahi, toh phir khana kaha se aaye. Pita ne khub daat dilayi. ‘Jay Raheja’shubdh bhav se ghar se nikala.

Pados mein Mata ka Jagran ho raha tha. Ek taraf bhandara chal raha tha. Sach yah hai ki, ‘Jay Raheja’ sirf pet bharne ke liye bhandara mein ghus gaya. Bhuk shaant hui, toh kuch samay bhajan sun lene ki iccha se wah jagran pandal mein pohoch raha.

Mata ke darbaar mein ‘Jay Raheja’ne pehli baar, ‘Pujya Shri Radhe Shakti Maa’ ke divya darshan kiye. Jagran mein ek waqta ne  ‘Pujya Shri Radhe Shakti Maa’ ki mahima ka barwan karte hue, darshan matr se sabhi ka kalian hone ki baat kahi.

‘Jay Raheja’ ne mann hi mann hi prarthana ki, ‘He Devi Maa, bhuk, bekari aur muflisi se kab chutkara milega.?”

‘Jay Raheja’ ke bagal mein baithe ek vyakti ne poocha, wah kya kam dhanda karta hai? ‘Jay Raheja’ ne bataya. Us vyakti ne kaha ki agar ‘Jay Raheja’ kal subah Delhi se uska thoda saaman laakar de toh usse wah thodi rakkam de sakta hai.  ‘Jay Raheja’ fauran raji ho gaya.

‘Jay Raheja’ ke anusaar us aadmi ka electronics ka karobaar tha. ‘Jay Raheja’, uske liye Delhi se electronics parts ki delivery  lane laga. ‘Jay Raheja’ ko acchi income toh hui hi, is dauran wah electronics saaman ke baremein jaankar bhi ho gaya. Kuch electronics partswalon acchi pehchan bhi ho gayi. Kuch rakkam udhari se uthakar aur kuch saaman udhar par lekar ‘Jay Raheja’ ne apni ek electronics ki choti si dukkan khol di. Dhanda chal nikala.

Lagbhag paach saal mein hi ‘Jay Raheja’ sonipat mein ek shaandar electronics saaman ke showroom ka malik ban gaya.

‘Jay Raheja’ din-raat kaam mein itna busy ho gaya tha ki usse khane ki bhi fursaat nhi milti thi. Magar wah ‘Pujya Shri Radhe Shakti Maa’ ke  darbaar mein jane ki fursat nikal hi leta. Wah, ‘Devi Maa’ ji ka shishya ban gaya tha. Jahan bhi, jis sheher mein bhi, kis ke bhi ghar mein ‘Devi Maa’ ki chowki ho, wah, purn Shradha se wahan pahunchta hai.

Is Gurupoornima par ‘Jay Raheja’ Sonipat se Mumbai aaya. Apne ati busy schedule ke bavjud wah ek saptah yahan raha aur use Pujya Shri Radhe Maa bhavan mein seva ki agya bhi hui.

‘Jay Raheja’ ka manana hai ki, ek jagran mein kewal door se hi ‘Devi Maa’ ji darshan kiye aur sirf ek prarthana matr se hi uske sabhi dukh door ho gaye. Wah prati kshan ‘Radhe Shakti Maa’ ji ka gungaan karte nahi thakta.

‘Jay Raheja’ ki tarah sabhi bhakton ki manokamna purn ho.

Jai Shri Radhe Shakti Maa.

(To be continued…)

Friday, October 14, 2011

'Shri Radhe Maa' ki Leelaye - Part 23




  Param Shradhey Pujya 'Shri Radhe Shakti Maa' ko haazir naazir maan kar, jo kahunga – sach ke siva kuch nahi kahunga – Saral Kavi
 
 
Sikhon ke pavitra Shri Guru Granth Sahib mein kaha hai – “Kalyug mein kirtan pardhana.” Gauswami Shri Tulsidas ji mahakavya Shri RamCharit Manas mein likhte hai, “Kalyug keval naam adhra.” Sabhi prachin grantho, rishi-muniyon tatha mahapurusho ne bhajan satsang ko maanav jivan mein kalyaan ka sarvshreshth sadhan mana hai. Yahi karan hai ki Mamtamai Pujya ‘Shri Radhe Shakti Maa’ ko bhajan-kirtan-satsang atipriya lagte hai. Bhajan sangeet mein magn ‘Pujya Shri Radhe Shakti Maa’  ko anek baar dekha gaya hai, ki we bhajan gaa rahe gayak se mike lekar swayam gane lagti hai.




‘Shri Radhe Maa’ bhavan ke paachve mala par sthit pawan gufa mein jo sangat ‘Devi Maa’ ke darshan hetu jati hai, unhe malum hai  ki Pujya ‘Devi Maa’ ki gufa mein nirantar bhajan prasarit hote rehte hai, jisko lay mein magn hokar ‘Shri Radhe Shakti Maa’ kayi baar dhyan mudra mein nayan band kar bhajan bhakti mein leen ho jaati hai. Toh kayi baar bhav-vibhor hokar nrutya mudra dharan kar apne bhakton ko adbhud leelaye dikhlati hai. Inhi bhajan prasaaran ke dauraan bhaktjano ko pujya ‘Devi Maa’ ki vibhinn chaviyon ke darshan hote hai.

Jaisa ki sabko malum hai, ‘Shri Radhe Shakti Maa’ bhavan mein har pandrah din baad Mata ki Chowki ka ayojan hota hai. Mata ki chowki mein hajaro ki sankhya mein sangat upasthit hoti hai. Yahan Hindustan hi nahi vishwabhar mein prasidh bhajan gayak apni bhakti sangeet ki kala se Pujya Devi Maa’ ki vandana kar chuke hai aur nirantar kar rahe hai. Pratyek bhajan gayak ‘Devi Maa’ ki haajri lagane ko lalayeet rehta hai. Jis din use yahan bhajan gane ka suawasar prapt hota hai. Wah apne aap ko bhagyashali manta hai. Yahan yah ulekh karna bhi chahunga ki ek karyakram mein lakhon ki parishramik prapti wale bhajan gayak yahan matr seva bhav se apni prastuti dete hai.

Pujya ‘Shri Radhe Shakti Maa’ ki seva mein kiye jane wale jagran aur Mata ki Chowki mein aane wale bhaktjan pratyek pandrah din baad dohra laabh uthate hai. Lagbhag ratri ke aath baje ‘Devi Maa’ ki divya darshan aarambh ho jate hai. Pratyek Mata ki Chowki mein anek kalakar upsthith rehte hai. Bahut baar aisa bhi dekha gaya hai ki, kalakaron ki sankhya adhik h oti hai aur samay seema seemit. Yahan ayojak vichitra paristhiti hote hai. Ek ek bhajan gayak jo do–adhai ghante nirantar gane ki kshamata rakhta hai use kewal matra do ya teen bhajan gane ko milte hai. Lekin bhajan gayak isse bhi apni khush-kismati manta hai ki chalo ‘Pujya Shri Radhe Shakti Maa’ ke charno mein apni aastha ke fool chadhane ka avsaar toh mila.



Lagbhag saat baje sayan se hi ‘Shri Radhe Maa’ bhavan ke ground floor sthit hall mein sangato ka pravesh shuru ho jata hai. Jaise hi bhajan kirtan aarambh hote hai, thasa-thas bhare hall mein  Mata ke bhakt bhakti bhav mein dub jate hai. Taaliya bajaate, masti mein jhoomte gayak ke sang-sang gate hue weh bhaktjan lambe samay tak bhakti sangeet ka anand lete hai. Jaise hi ‘Pujya Shri Radhe Shakti Maa’ ke darshano ka silsila aarambh hota hai, hall mein upasthit log sidhiyon ki taraf agrasar hote hai. Jabki hall mein bahar khadi sangat shighrata se hall mein pravesh kar, bhakti sangeet ras mein dub jati hai. Yah silsila der raat tak chalu rehta hai. Sangat ko ek se badhkar ek pratibhavan gayak ka hunaar dekhne sunane ko milta hai, jabki gayak kalakaar ko shrotayon ki kami mehsus nahi hoti. Bahut se kalakar apni aap beeti mein ‘Devi Maa’ dwara un par kiye upkaron ka varnan kar apne bhajno ke madhyam se krugyanata darshate hai. Bhajan gayako ke saath saath saaj bajane wale kalakar isliye bhi prashansa ke patr hai ki ek karyakram mein lagbhag aadha darjaan bhar gayak apna karyakram prastut karte hai, parantu ye vadya kalakaar ki nipunta ke liye bhati sabha mein unka gungaan bhi karte hai.

Aaj ke lekh ke ant mein pujya ‘Shri Devi Radhe Shakti Maa’ ke darshan ke liye aane wali sangat se nivedan karna chahunga ki Chowki mein baithkar sidhe paachwe mala par jane ki jaldbaji nahi kare. Sangat ke liye aayojeet kiye jane wale is karyakram mein bhakti sangeet ka purn aanand le. Magn hokar bhajan sune, bhakti raas mein gehre dub jaye aur phir aaram ke saath Pujya ‘Devi Maa’ ke darshan karne ke liye paachvi manjil par sthit gufa mein pahunche. Aapko ek adbhut aanad ki anubhuti hogi.


Jai ‘Shri Radhe Shakti Maa’

Note - 
Dear all, thanks for your overwhelming response, we will be sharing your experience with all the devotees of 'Shri Radhe Maa' very soon. 

If you also wish to share your experience with all the devotees of 'Devi Maa' you can email us on sanjeev@globaladvertisers.in, we will get it published.


Note – Priya ‘Devi Maa’ ke bhakto ‘Maa ki leelaye hum nirantar shrunkhala badh prasarit kar rahe hai. Ismein humne ‘Devi Maa’ ke sanidya mein aane wale bhakto ke anubhav ko kalambadha kia hai. ‘Maa ki Leelaye’ aapko kaisi lag rahi hai, Iske bare mein apni rai, apni samiksha, apna sujhav, hame nimn  email par bhej sakte hai..
Aap agar apne anubhav, ‘Devi Maa’ ke apne saath hue chamatkar ko sabke saath baatna chahte hai to hum aapke naam  aur pate ke saath ise pesh karenge. Aap agar chahenge to naam pata jahir nahi karenge aapnki bahumulya pratikriya ke pratiksha mein…
Sanjeev Gupta
Email – sanjeev@globaladvertisers.in




Thursday, October 6, 2011

'Shri Radhe Maa' ki Leelaye - Part 22






  Param Shradhey Pujya 'Shri Radhe Shakti Maa' ko haazir naazir maan kar, jo kahunga – sach ke siva kuch nahi kahunga – Saral Kavi


Pratyek pandrah din ke baad hajaro Maa ke bhakton ko pujya ‘Shri Radhe Shakti Maa; ke mamtamai durlabh darshan prapt karne ka saubhagya prapt hona, dukhi, gamjada aur samsyagrast bhakton ko apni samasyae ‘Devi Maa’ tak pahuchane ka avsar pradan karna aur un sabki samasyaon ka niwaran hone ki shubh khrup prapt ka agar shrey kisi ko  milta hai toh wah hai ‘Sanjeev Gupta’

M. M. Mithaiwale Shri Manmohan Gupta, Mumbai mein hi nahi sampurn bharat  ke agarwal samaj mein samajsevi, daani aur rashtra bhakt ke roop mein jane jate hai. Unhi Shri Manmohan Gupta ke honhaar pratibhashali avam bahumukhi vyaktiv ke malik hai ‘Sanjeev Gupta’.

Yuva aur udyami ‘Sanjeev Gupta’ aaj se lagbhag 9 varsha purv ‘Pujya Mamtamai Shri Radhe Maa’ k eek karekram meinm matra darshan bhav se gaye the ‘Pujya Devi Maa’ ke divya darshano ne unke bheetar ek aluakik prakash bhar dia.



“Hamara bahut bada business hai. Badhia maan-sanmaan aur samajik pratishtha hamare pujya pitashree ne athak mehnat aur prayasose prapt ki. Sukh suvidha ki koi kami nahi. Koi kathinayi nahi. Koi duvidha nahi. Sab kuch accha hi accha” …. Sanjeev Gupta ne apni baat kahi, “lekin in sabke bavjud, n jane kya Jivan mein kuch khali sa lag raha tha. Ek aisi agyat kami jo samajh mein nahi aa rahi thi. Isse kaisa pura kia ja sakta hai. Kuch nirasta, kuch udasinta aur kuch riktata ka vatavaran sadaiv bana rehta tha.

Isi anbhigyan khushi ki talash ‘Sanjeev Gupta’ ko ‘Mamtamai Shri Radhe Maa’ ke sanidhya mein le gayi.
Pehle karyakram mein, ‘Shri Radhe Maa’ ke mamtamai darshan ne Sanjeev Gupta ko ehsaas karaya ki who agyat kami jo unhe nirantar mehsus hua karti thi, uska samadhan mil gaya hai.

Sanjeev Gupta mamtamai pujya ‘Shri Radhe Maa’ ke pratyek karyakram mein bhag lene lage. Malad west sthit ever-shine nagar se lekar Vashi, Virar aur Mumbai ke anek sthano par ‘Shri Devi Maa’ ke bhakti karyakram aur darshan aayojit hote rehte the. Sanjeev Gupta pratyek karyakram mein purn nishtha aur samarpan bhav se ‘Devi Maa’ ke Sevak banker shamil hote. ‘Mamtamai Shri Radhe Maa’ ne apne is anyanya bhakt ke bhakti aur lagan ko pehchana. Nirantar seva ka fal prapt hone laga. Sanjeev Gupta ke bhitar ki riktata bharni shuru ho gayi. Ek anand ki tarang unke bhitar pravahit hone lagi.



Sanjubhaiya ke nirantar aagrah karne par, unki bhakti aur nishtha ko dekhkar, ‘Pujya Shri Radhe Shakti Maa’ ne unki binti sweekar ki aur unhone apna aasan ‘Shri Radhe Maa Bhavan’ – borivali mein tay kia.
Gupta pariwar toh jaise dhanya ho utha. Pure ka pura pariwar ‘Pujya Devi Maa’ ki krupa se nihaal ho gaya. MM House ab ‘Shri Radhe Shakti Maa’ ka pawan dham ban gaya. Desh – videsh mein faile ‘Devi Maa’ ke asankhya bhakton ko ‘Shri Radhe Maa’ bhavan ka pata mila toh unka aana shuru ho gaya.

Sanjubhaiya ne ‘Mamtamai Shri Radhe Maa’ ke darshnarthiyon ke liye rehne, thehrne aur bhojan, Jalpaan ki vyavastha ki. Jaise jaise sangaton ki sankhya badhti ja rahi thi, vyavstha mein kuch badlaav karna aavshak tha. Bahut vichar vimarsh ke baad tay hua ki mahine mein ek chowki ‘Mamtamai Shri Radhe Maa’ ke darshno ke liye rakhi jaye. Lekin saangato ko yah maah ki avadhi bahut jyada lambi lagi. Atah pratyek dusre shaniwar yani pandrah dino ke baad darshano ka durlabh avsaar prapt hone laga.

Sanju bhaiya ke tan-man mein ‘Mamtamai Shri Radhe Maa’ ki krupa leher nirantar prawah kar rahi hai. Sanju bhaiya ka manana hai ki jab se ‘Shri Radhe Maa’ ke charan kamal unke niwas mein pade hai, unke jivan ka jaisa pratyek udesh sarthak ho raha hai. Sanju bhaiya ki advertising company – Global Advertisers- jo din dugni – raat chougni pragati kar rahi hai, yah sab pujya ‘Devi Maa’ ka ashirwaad hai.

Sanjubhaiya manana hai ki unke pariwar, unke karobaar, aur yash maan-sanmaan mein nirantar pragati ka shrot Pujya Shri Radhe Shakti Maa’, ki asim anukampa aur daya drushti hai. Sanjeev Gupta Apni aap beeti batane ke baad in panktiyon ko gungunate hai, “Meri jholi choti pad gayi re, itna diya mujhe Mata!”


Note - 
Dear all, thanks for your overwhelming response, we will be sharing your experience with all the devotees of 'Shri Radhe Maa' very soon. 

If you also wish to share your experience with all the devotees of 'Devi Maa' you can email us on sanjeev@globaladvertisers.in, we will get it published.


Note – Priya ‘Devi Maa’ ke bhakto ‘Maa ki leelaye hum nirantar shrunkhala badh prasarit kar rahe hai. Ismein humne ‘Devi Maa’ ke sanidya mein aane wale bhakto ke anubhav ko kalambadha kia hai. ‘Maa ki Leelaye’ aapko kaisi lag rahi hai, Iske bare mein apni rai, apni samiksha, apna sujhav, hame nimn  email par bhej sakte hai..
Aap agar apne anubhav, ‘Devi Maa’ ke apne saath hue chamatkar ko sabke saath baatna chahte hai to hum aapke naam  aur pate ke saath ise pesh karenge. Aap agar chahenge to naam pata jahir nahi karenge aapnki bahumulya pratikriya ke pratiksha mein…
Sanjeev Gupta
Email – sanjeev@globaladvertisers.in