Monday, August 29, 2011

'Radhe Shakti Maa' ki Leelaye - Part 17


 



   
Manmohan Gupta baat karte karte thoda aur pasar gaye. Thankan ke karan unki jhapki lag gayi lagti thi. 

Ek ladka Coffee ka cup de gaya.

Tabhi waiting hall mein ek vyakti pravishth hua, jiske haath mein bada sa traveling bag tha. Bag par lage sticker chugli kar rahe the ki wah kisi flight se aaya tha. Usne ek side mein bag ko rakha. Undh se rahe Manmohan Gupta ke pav chune ka upkram karne ke baad, meri bagal mein baithate hue unhone coffee dekar laut rahe ko ishare se bulaya.  

“beta…” aguntak sajjan ne bade thake swar mein kaha, “ek cup chai mujhe bhi milegi kya?”

“Chai nahi coffee hai…” maine unki baat ka uttar dia, “wah bhi bina shakkar ki … yahi le lo”

“Are…” unhone apnatv se mera haath piche thela, “Aap piyo… Beta.. Mujhe bhi coffee la do.. Aur suno, unki coffee ki bachi hui shakkar meri coffee mein daal dena, Main tej shakkar pita hoon bhai”

Ladka gate se bahar nikal gaya. Aguntak ne jeb se rumal kar chehra pocha.

“Kahi bahar se…”Maine yunhi baat shuru ki, “Sidhe sahi chale aa rahe ho?”

“haan” wah sofe ki pith par sir tikate hue thake swar mein bola, “Dubai se aa raha hoon. Ek to flight late upaar se Mumbai ka traffic … tauba ! Tauba!”

Maine sahanbhuti bhare bhav se sir hilaya, Niche hall mein koi naya bhajan gayak pure josh ke saath apna karekram prastut kar raha tha. Uske gnae ki dheemi dheemi aawaz acchi lag rahi thi.

“Mera naam Himaat bhai hai” wah sajjan meri taraf dekhte hue bole, “aapka parichay?”

“Mera naam bhagat hai…” main coffee ka ghut bharne ke baad tasalli ke saath sir hilakar bola, “Devi Maa ke darshno ke liye aaya hoon”

“Main bhi ‘Devi Maa’ ke darshan ke liye sidha Dubai se chala aa raha hoon..” Himmat bhai ne meri aankhon mein jhanka, “Devi Maa ki apar krupa hui, jo aaj fir se khada ho gaya hoon Bhagat ji, warna ek baar toh mein sadak par hi aa gaya tha.”

Ladka coffee de gaya. Himmat Bhai ne krutagyna bhav se ladke ko dhanyawad dia aur fir coffee ka ek bada sa ‘ghunt’ bhara.

“Mera Palghar mein steel ke bartan banane ka karkhana hai…” Himmat bhai swayam hi bolne lage, “Bahut bada business tha mera. Main export ka bhi dhanda karta hoon. Dubai.. Berlin .. Sharjah  mein mere steel ke bartan bahu export hote the. Mere ek bachpan ka padosi aur saath padha eek dost ‘Navin Arora’, jo mera bahut karibi tha.. aksaar mujhse dhande ke saath rakhne ke liye request kia karta tha. Maine dosti ka lihaj karte hue Dubai mein apna ek office kholkar, use waha ka incharge bana dia. Wah aur uska parivar toh jaise mere paav dhokaar pne ko raji the. Dubai mein pehle saal ‘Navin Arora’ ne kafi mehnat ki aur pehle se dugne order bhijwaye. Maine production badhane shuru ki. Main yaha raat din busy ho gaya aur ‘Navin Arora’ waha par. Main lagataar maal bhejta jar aha tha. Udhar ‘Navin Arora’ khub mehnat ka raha tha..”

 Himaat Bhai ne ek ghut mein puri coffee khatm ki aur cup rakh dia.

“Main production ke liye udhar mein Raw material uthata raha, maal bhejta raha”, Himmat bhai ka swar ekdum kadwa hone laga, “Lekin mein bawkoof ki aulad, pure teen saal tak is baat se laparwah raha ki waha se payment ki koi charcha tak nahi ki. Aur usne bhi nahi ki. Meri goodwill ke karan Raw Material udhari par dene wale dealerone jab payment ke tagaje shuru kiye toh maine Navin Arora ko payment bhejne ko kaha.”

Himmat bhai kuch kshan khali cup ko ghurte rahe, ekaek meri taraf dekhne ke baad wah gambhi swar mein bole, “Dubai  se Navin Arora ne haan bahi aaj bhejta hoon, kal bhejta hoon se kuch ndin nikale. Aur phir ekaek usne phone uthana band kar dia. 

Main awak muh bhaye uski taraf tak raha tha.

Navin Arora ne mera phone lena band kar dia. ..” Himaat Bhai ek ek shabd chabate hue bole, “Balki mere se har prakar ka samparak hi band kar dia. Maine do mahine tak bahut koshish kia. Udhar lenedaron ke tagajo ne mera jina haram kar dia. Factory mein labor tankhwah maang rahe the. Bijli ka bill itna b adh gaya tha ki aaj connection kata ki kal kata. Maltab ye ‘Bhagat ji’ main paise paise ka mohtaj ho gaya. Aur udhar Navin Arora ne saal mein mujhe 33 crore ka  chuna laga dia. Kitne ka??”

“33 crore ….” Mere muh se bol nahi fut rahe the.

“33 crore “ Himmat bhai ne do-teen baar sir hilaya, “ Usne apne pariwar ko Dubai mein bula lila. Apna alag se office khol lia. Aur main sadak par aa gaya.”

Uski aankhen bhar aayi.

 “Mera Bungalow girwi, meri factory girwi.  Gadi office sab bik gayi. Pariwar mein halat yaha thi ki hum roti ko mohtaj ho gaye. ‘Bhagat Ji’ main paagalon jaisi sthiti mein pohoch gaya tha. N nahane ki sud na khane ka hosh. Kabhi kabar shokia ekadh peg lagane wala Himmat Bhai ab bewada Himaat bhai ke naam se mashhur ho gaya. Mere sabhi yaar dost – sagewale mujhse baat tak karne se katrane lage. Log mujhe dekhte hi durr bhagete ki udhar na maang le. Akela baitha apne aap se baat karta tha. Log samjhne lage ‘Himmat bhai ka dimag satak gaya hai. Yah halat ho gayi thi meri aur mere pariwar ki. Meri gharwali jo bina gadi ke chalti nahi thi… naukar chakron ki line lagti thi ghar mein… magar ab meri gharwali tiffin banakar logo ke gharon mein pahuchati thi aur pariwar ka gujara chala rahi thi.”

Main sahanbhuti bhare bhav se use tak raha tha, “Tabhi kisine mera uddhar karwaya.” Himaat Bhai ka swar komal hone laga, “ Mujhe idhar-udhar bhatakne se bachane ke liye ewah ‘Devi Maa’ ke darshan ke liye le aaya. Sach pooch toh mein time-pass bhav se yahan chala aaya. Line mein laga. Routine mein darshan kiye Bhandara liya aur wapis chala. Magar mere mann ke kisi kone mein se ek awaz aayi ki Himaat Bhai .. teri durgati dur hogi toh yahi hongi. Bhagat ji… Dusre din Sunday tha . Mein subah subah ‘ Shri Radhe Maa’ bhawan ke samne footpath par baith gaya. Aur mann hi mann prarthana karne laga. Mujhe nahi malum  main kya prathana kar raha tha. Magar kar raha tha. Ab mera routine ban gaya tha. Main yunhi tehelte hue aata,  ‘Radhe Maa’ ji ke bahar lage hoarding ko pranam karta aur kafi der tak footpath par hi baitha rehta”



Himaat Bhai ki aap beeti sunte sunte main drawit ho utha tha.

‘Phir kya hua?” maine vyagra swar mein poocha.

“Chamatkar “Himaat Bhai ne haath zatka, “ usi footpath par mera ek pura vyapari mil gaya. Ek waqt tha jab wah mujhse thoda thoda maal udahr lia karta tha. Usne mujhe pehchana, mujhe gale se lipta lia. Malum pada ki wah aaj bahut bada businessmen ban gaya tha. Usne meri kahani suni, huasala dia. Mujhe bina interest ke rakam de kar phir se factory shuru karne ko himmat di.  Bhagat ji, ‘Pujya Shri Radhe Shakti Maa’ ki anukampa se meri gadi fir se patari par aa gayi. Mera vyapar fir sambhala, Meri daru-varu sab chut gayi. Main niyamit roop se yaha ‘Devi Maa; ke darshan ko ane laga. Mera Bungalow jo girwai pada tha, use chudaya. Factory jo girwai padi thi, use chudaya. Maine Dubai mein fir se office khola. Mera business dheere dheere se usi position mein aa gaya jaise aajse saat saal pehle tha. Main Dubai se flight pakad kar pehle yahan aaya hoon. Pehle ‘Devi Maa’ ki daya drishti paunga, phir bhandara lekar ghar jaunga.”


Maine sahaj swar mein poocha, “ Aur…. Us Navin Arora … tumhare partner … uska kya hua?”
Himaat Bhai ne chat ki taraf dekhte hue kaha, “Devi Maa use sadbudhi de”

(To be continue….)

 For more details about 'Devi Maa' click on  - http://shriradhemaa.blogspot.com/

Note – Priya ‘Devi Maa’ ke bhakto ‘Maa ki leelaye hum nirantar shrunkhala badh prasarit kar rahe hai. Ismein humne ‘Devi Maa’ ke sanidya mein aane wale bhakto ke anubhav ko kalambadha kia hai. ‘Maa ki Leelaye’ aapko kaisi lag rahi hai, Iske bare mein apni rai, apni samiksha, apna sujhav, hame nimn  email par bhej sakte hai..
Aap agar apne anubhav, ‘Devi Maa’ ke apne saath hue chamatkar ko sabke saath baatna chahte hai to hum aapke naam  aur pate ke saath ise pesh karenge. Aap agar chahenge to naam pata jahir nahi karenge aapnki bahumulya pratikriya ke pratiksha mein…
Sanjeev Gupta
Email – sanjeev@globaladvertisers.in



Tuesday, August 23, 2011

'Radhe Shakti Maa' ki Leelaye - Part 16




Tabhi seedhiya chadhte hue ‘Manmohan Gupta’ dikhai diye. Safed kurta payjama pehne, 
tanik bhari bharkam sharir aur sir par safed chakachak Gandhi topi.

Mujhe dekhkar unke chehre par hairani ke bhav umare, “Are! Tum abhi tak idhar hi baithe 
ho? Kamar mein dard hone lag jayega, kya Samjhe? Chalo mere saath”


Main unke piche piche seedhiya chadhate hue first floor – waiting hall mein pravishth hua.
Ek Bade se Cinema Hall jitney unche aur bhayva sajawat se sajjit waiting hall mein lagbhag bees aadmi baithne layak aramdayak sofa lagaye gaye the. Samne ek Cinema hall jaisi badi white screen lagi thi.. Jiske aage ek bada sa LCD TV set bhi tha. Ek taraf ‘Param Shradhey Shri Radhe Shakti Maa’ ki bhavya photo susajjit thi. Chat par vishal golakar scenery thi jismein nile rang mein taro jaisi kuch chamak aasman mein ratri ka bhramh paida kar rahi thi.


“Baitho…?” Manmohan Gupta ek sofa mein lagbhag pasar se gaye, “Baitho Bhai.”

Main tanik sankuchte hue unse thoda fasla banate hue haule se baith gay. Ek ladka fauran pani lekar hazir hua. Maine turant pani ka glass lia. Main kafi der se iski awashyakta mehsus kar raha tha.

“Kya piyoge?” Manmohan Gupta ne alsaye swar mein poocha, “Chai? Coffee?”

“Coffee” maine pani peekar khali glass ladke ki taraf badhaya, “Bina Shakkar ki”

Unhone ladke ki taraf dekha. Ladke ne samjh jane wali mudra mein sir hilaya, aur bai taraf sthit darwaje se bahar nikal gaya.

Manmohan Gupta ne meri taraf dekha aur haule se muskuraye, “Kavitaon mein ruchi hai tumhari?”

“haan”, maine sir hilaya.

“Maine bahot si kavitaye likhi hai…” who tanik gambhir swar mein bole.

“ane kavi sammelomein mein shirakat kar chukka hoon. Mere kavitaon ke sangrah bhi prakashit ho chuke hai”

Maine prashansa aur hairani bhare nishchit bhav se unki taraf taka.

“Ab meri n ai kavita ke kuch ansh sonata hoon! Sunoge?”

“sure” main fauran bola, “Kyon nahi?”

Manmohan Gupta ne kuch kshan chat ki taraf taka aur phir vishith andaz mein bole, “Maa jo nahi to kuch bhi nahi, bas Maa se ghar hota hai”

‘Wah !” Maine do –teen baar dhodhi ko chati ki taraf jhukaya, “Maa se ghar hota hai”

“Sach Mano beta!” Manmohan Gupta ka swar bhari ho utha, “Jab jab darshan wala shaniwaar aata hai, hamara pure pariwar mein jaise utsaah, umang aur harsh ka samandar lehrane lagta hai. ‘Devi Maa’ ke charan jab se hamre ghar mein pade hai, hum to dhanya ho gaye hai. Hamara pura pariwar apne aapko bhagyashali samajhta hai. ‘Devi Maaji’ ki anant krupa h um par din raat barasti rehti hai. Har pal har ghadi jaise tyohaar ka sa mahol bana rehta hai Rojana dur daraj se anek Maa ke darshan ke pujari aate hi rehte hai. Ghar aaye atithiyon ki seva mein ghar ke baukar chaakar se lekar sabhi sadasya bhid se jate hai. Baahar se anewali sangat ke aalawa bhi yaaya ke bahit se pariwar ‘Devi Maa’ ke vishesh darshano ko ate rehte hai, har waqt mela sa laga rehta hai. Bahut aaccha lagata hai.”

Maine sir hilaya.

“Kai baar….” Manmohan Gupta samne ghurte hue bole, “Devi Maa ji bahar chale jate hai. Abhi kuch din pehle do mahine ke liye Punjab gaye the, Usse pehle London – Switzerland adi sthono par apne bhakton ko aashirwad dene gaye the. Jab ‘Devi Maa’ yaha nahi hote, toh yun lagta hai jaise saara sansaar suna suna hai. Halaki ghar mein pariwar ke sabhi sadasya hote hai. Naukar, Sevadaar, Chowkidaar, Watchmen, Rasoiye,… wais eke waise hi pure ke pure… Magar…”

Unhone ekdum khaye swar mein kaha, “Magar .. lagta hai. ghar sunsaan hai. Koi raunak nahi. Koi chehel pehal nahi . sabhi log ek machine ki taraf apni apni duty puri kar rahe hote hai.. Sach pooch to dil lagta hi nahi. Ek rukhi rukhi baichaini jaise har waqt ghere rehti hai. Koi dhanda sujhta hi nahi. Kuch karne ko hi nahi. Na khane mein mann lagta hai.. n kahi jane par… Aur toh aur Sona bhi dhang se nahi hota. Samjh sakoge mere feeling ko?”
Main kya bolta.

“Isliye…” Manmohan Gupta ne sir ko tanik nachate hue kaha, “Meri nai kavita ka shirshak hai… Maa se ghar banta hai”

“Bahot Sundar |” Maine taali bajane ka upkram kia, ‘Ab Samajh mein aata hai bhai sahib … Jab hruday mein koi uthal –puthal hoti hai toh nahi kavita ka srujan hota hai.. Kya baat kahi hai.. Maa se ghar banta hai”

“Maa jo nahi to kuch bhi nahi… "

Unhone haath andaaz se lehraya,.. “Maa jo nahi ….”

“Maa jo nahi toh kuch bhi nahi
Suna suna sab kuch lagata,
Ek khalilpan sa har waqt hi
Udas maan se ufanta hai…
Maa se ghar banta hai..”


(To Be continue…)

Note – Priya ‘Devi Maa’ ke bhakto ‘Maa ki leelaye hum nirantar shrunkhala badh prasarit kar rahe hai. Ismein humne ‘Devi Maa’ ke sanidya mein aane wale bhakto ke anubhav ko kalambadha kia hai. ‘Maa ki Leelaye’ aapko kaisi lag rahi hai, Iske bare mein apni rai, apni samiksha, apna sujhav, hame nimn  email par bhej sakte hai..
Aap agar apne anubhav, ‘Devi Maa’ ke apne saath hue chamatkar ko sabke saath baatna chahte hai to hum aapke naam  aur pate ke saath ise pesh karenge. Aap agar chahenge to naam pata jahir nahi karenge aapnki bahumulya pratikriya ke pratiksha mein…
Sanjeev Gupta
Email – sanjeev@globaladvertisers.in






Saturday, August 20, 2011

'Radhe Shakti Maa' ki Leelaye - Part 15


Uski umar lagbag pachpan saal hogi.  Kad toda thegna, chehra gol, chote chote baal.  Usne halke asmani colour ke half baaju ki shirt aur pant pehni the. “Devi Maa” ke darshano ke liye sidhiyon  ke kataar ke beech wah khada farsh ko ghur raha tha.

Mere dyan uski taraf akarshit isleye hua kyuki wah apne aap se batain kar raha tha. Kabi wah jhun -jhunlakar gardan hilane lagta tha kabhi ekdum muskurane lagta. Kabi gusse mein daath khich raha tha,  kabi gambhir mudra mein kuch badbadane lagta.

Lagataar apne taraf taktaki lagaye dekta pakar usne jhepte se huye dono haath jodkar dherese kaha, “Jai Mata Di.”

“Jai Mata Di”, Saheb.” Main hasa, “Aaj kuch khaas utapatak chal rahi hai apke bhitar he bhitar. Kyun?”

“woh….yun he….” wah jhep mitane ka prayas karte hue jabran muskuraya, “aur tum sunao. Baith kyun gaye, thak gaye ho? Abhi se?  Jawan ho pyare. Utho. Himmat karo.”

“Are nahi bhai”, Maine apne paas padi khali jagah ko thapthapaya, “Aap bhi  baitho. Abhi darshan shuru nahi hua hai shayad. Line jyon ke tyon wahi khadi hai.”

Wah “Thanks” bolne vale style mein hoton ko hilakar mere bagal mein aahista se baith gaya.

“Kyun baatein kar raha the apne aap se?” maine sahaj swar mein pucha, “Pehle apne naam bataye”.

“Madhukar. ……Madhukar Nayar. Main ek bank mein karmachari tha, …hoon”

“Tha”, maine uske baat dauhrai, “aur hoon... Uska kya matlab hua.”

“ Matlab toh ‘Devi Maa’ jane.” Wah bhare gale se bole,” liken manana padega. Pujya Radhe Shakti Maa ka naam hai bada chamatkari.”

“Zara khul kar boleye, Nayar sahab.”

Maine utsukta se poocha, “Apne kya chamatkar dekha?”
 
“Mere dost”  wah ekaek gambir ho utha, “Maine pure 33 saal bank mein naukri ki hai. Kitne?.... 33 year. Mamuli clerk ke  padavi par laga tha. Apne mehnat se, lagan se, imandari se kaam karte karte Assistant Branch Manager ke seat par pahucha. Log mere imandari ke misale dete. Mere mehnat aur karyakshamata  par pure staff ko naaz tha. Aur fir….”
Ek gehari saans lene ke baad Madhukar Nayar bole, “Mere achi khasi zindagi ko grahan lag gaya. Kisi karmachari ne bank mein 37 lacs ka gafla kiya aur  ilzam mere sir par aah gaya. Kitne Ka??. 37 lacs ka….”

Main gambir mudra mein lagatar dyan se uski baatein sun raha tha.

“Pehle sabhi karmachari se puchthach hui. Phir enquiry chalu hui. Mujhe suspend kar deya gaya. 

“Yah kab ki baat hai.” Mene sahanmurthi swar mein poocha. 

“Lagbhag saat varsh aur paanch mahine ho gaye mujhe suspend hue”. Madhukar Nayar ne meri aankhon mein jhaka, “Mujh par baimani ka iljam laga. Log mujhe ajib nigaoh se dekne lage. Mera ruthba meri izzat ki dhajjiya ud gayi. Shahar mein kahi ana jana tak mushkil ho gaya. Yaar dosto ne pith dekha di. Rishtedar sangwale mere baatein banane lage. Matlab yeh hai mitra mere, main jamane bhar mein tamasha ban gaya. Mere halat vikshipto ke tarah ho gayi. Khana pina haram. Upar se mere upar case ho gaya. Hafte mahine court kachehari  ke chakkar. Wakil ki fees. Sab kuch bandadaar ho gaya.”

Main uske haath ko thapthapakar dhadas badhaya.

“Main thak gaya tha. Main tut gaya tha. Mera vishwas, mera dhairya bhi jawab dene laga tha.” Madhukar Nayar nai bhare gale se kaha, “phir maine ekbar yaha Shree Radhe Maa Bhavan Maa mein ho rahi  chowki mein aa gaya. Jab waqta logo ne Shree Radhe Shakti Maa ka gungan barvan kiya toh mein be darshano ko chala gaya. Maine Devi Maa ke darbar mein arji lagayi. Phir nirantar saath chowki bhare.”

“Phir”, maine vygra swar mein poocha.

“Phir saathvi chowki ke baadh….?

Madhukar Nayar ke aawaj mein josh aa gaya, Ekaek jaise ‘Devi Maa’ ne chamatkar kiya. Bank mein keg aye jalsaji ke asli gunahgar pakad mein aa gaye. We teen jan the. Ek clerk, ek cashier aur ek grahak. Teeno ko shinakht ho gaye. Unhone gunha kabul kar liya. Abhi parso … parso main bank karmachari tha, liken kal mujhe phir se apne service ke bahali ka order mil gaya. Mujhe apne naukri par phir bula liya gaya hai. Bank ne likhit roop se mujhse maafi mangi hai. Is dauran mujhe Assistant se Branch Manager bhi bana diya gaya hai. Mere bhai, isleye mene kaha main bank karmachari tha, hoon. Yani somvar se…… Aaj Devi Maa ke darshan karunga. Aaishirwad lunga. Kal tanhkar sounga aur phir somvar se Madhukar Nayar Branch Manager  ke seat sambhalunga. Main toh isse sirf ‘Devi Maa’ ka chamatkar manta hoon. Apka kya kehna hai?”

Maine muthi  bandh kar hawa mein lehrahi, “ Hundred percent Devi Maa ka chamatkar.”
Madhukar Nayar nai santhush si sir hilaya.

    (To Be Continue...)

Note – Priya ‘Devi Maa’ ke bhakto ‘Maa ki leelaye hum nirantar shrunkhala badh prasarit kar rahe hai. Ismein humne ‘Devi Maa’ ke sanidya mein aane wale bhakto ke anubhav ko kalambadha kia hai. ‘Maa ki Leelaye’ aapko kaisi lag rahi hai, Iske bare mein apni rai, apni samiksha, apna sujhav, hame nimn  email par bhej sakte hai..
Aap agar apne anubhav, ‘Devi Maa’ ke apne saath hue chamatkar ko sabke saath baatna chahte hai to hum aapke naam  aur pate ke saath ise pesh karenge. Aap agar chahenge to naam pata jahir nahi karenge aapnki bahumulya pratikriya ke pratiksha mein…
Sanjeev Gupta
Email – sanjeev@globaladvertisers.in


Wednesday, August 17, 2011

'Radhe Shakti Maa' ki Leelaye - Part 14


Aap kabhi Param Shradhey Shri Radhe Shakti Maa ke ‘Shri Radhe Maa’ bhavan gaye ho to aapko bata doon, main is waqt sidhiyonke dwara upari manjilon ki taraf jane wale raste mein koi 8-10 sidhiya chadhne ke baad, left side mein sthit vishal window ki tanik ubhari floor sthit vishal hall mein acchi taraf zanka ja sakta hai aur pehli manjil ki taraf jane wali lafbhag 7-8 sidhiyon par khade Mata ki pujarion ko bhi dekha ja sakta hai.

Mere paas baithe bujurg sevadar ne uthte hue mujhe kaha, “line mein lag jao, paanch mala sthit gufa tak pahuchne mein tumhe pura ek ghanta lag jayega. Isse jyada bhi lag sakta hai!”

“Koi baat nahi prabhu|”, meine befikri se haath hilaya, “Ab jab aa hi gaye hai to ‘Devi Maa’ ka ashirwad lekar hi jayenge. Ek ghanta baad hi sahi… Do ghanta baad bhi chalega”

Jaise hi sevadar utha ek anya bujurg jinki umar sattar se upar hi hogi, aahista se mere bagal mein baithe gaye. Unke haath mein ek chocolate ka dibba tha. Mujhe dibbe ki taraf  taakte dekh kar unhone muskurate hue kaha, “Devi Maa ke liye hai... Unhe chocolates bahot pasand hai.”

“good” meine tanik sarak kar unhe aram se baithne ka ishara kia.

“main jab  bhi ata hoon…” wah atmavibhor swar mein bole, “Devi Maa ki liye Chocolate hi lata hoon. Maine jab jab bhi ‘Devi Maa’ ke darshan kiye, mujhe who ek choti si kanjak ke roop mein dikhai di. Mein jaise hi Gufa mein pravesh karta hoon, mujhe aisa lagta hai.. jaise woh meri hi pratiksha kar rahi ho… Ekdum baccho jaisi muskurahat unke adhero par khelne lagte hai.. Baccho jaisi hi utawali mudra mein who haath badhakar mujhese chocolate mangti hai… “ Unka gala bhar aaya

Ek kshan rukne ke baad wah pulakit swar mein bole, “Jaise hi ‘Devi Maa’ chocolate leti hai. Mere mann mein ek asim aanand bhar uthata hai.”

Maine unki aakhon mein chalak uthne ko aatur pani dekha.

“mera naam Satyaprakash hai… Satyaprakash Garg…” wah apne aap mein khoye se dheere dheere bol rahe the… “Devi Maa ki kripa se dia sab kuch hai .. Main to pandrah roj ka besabri se interjar karta hoon.. ki  kab ‘Devi Maa’ ke darshano ka din aaye.. Tumne ‘Devi Maa’ se kabhi kuch manga hai?”

Maine inkar se sir hilaya.

“Mangna bhi mat”, wah gambhir mudra banakar bole, “‘Devi Maa’ antaryami hai.. Accha batao tumne ‘Devi Maa’ ke kis roop mein darshan kiye hai ?”

Main kuch bolu usse pehle hi wah swath bolne lage, “pehle to yah jaan lo ki aakhir ‘Devi Maa’ kya hai? Koi Saint ? Koi Avatar? Koi Rishi gyani?”

Maine anischit bhav se sir hilaya, “Aakhir ‘Devi Maa’ hai kya?” wah ek-ek shabd par jor dete hue bole, “Suno beta, ‘Devi Maa’ ke bare mein apni koi bhi rai nischit karne se phele, unke bare mein acchi tarah janana zaroori hai.. Desh –Videsh  mein unke lakho anuyayi hai.. Ab yahi dekh lo – hazaro ki sankhaya mein hazir loko ko gaur se dekho… Inmein T. V. artist hai.. lawyer hai.. Doctor hai.. bade bade – Businessmen hai.. Chote chote haath thela lagane wale bhakt hai.. Sadhu samaj ke log, sarkari tantr ke log, bade-buddhe, bacche jawan.. n jane kaha kaha se aa rahe hai.. Inko kisi ne nimantran bheja hai kya? Ya inko force kia hai ki, yaha tumne aana hi hai? Nahi ! Nahi! Kuch toh hai.. .ki in sabke dillon mein  ‘Devi Maa’ ke darshno ki itni lalsa hai, ki b hari barish mein bhi logo ka hujum darshano ke liye apni bari ka interjar kar raha hai. Suno mere bacche ! Yaha sahukari nahi chalegi. Yaha pad ya aahoda nahi chalega. Yaha rutba dikhane ki jaroorat nahi.”

Wah ek kshan ke liye ruke, jibh firakar apne hoto ko tanik gila karne ke baad wah bole, “ Yaha agar aana hai. to deen ban kar aao, sawali banker aaho.. Jhukna sikh kar aao, vishwas ki jyot mann mein jagakar aao. Asha ki dor tham kar aao. Kuch pane ki iccha liye aao. Mann ki ashudhi aur ahankar ko ghar par chodkar aaho. Tab tumhe malum hoga ki ‘Devi Maa’ kis baat par rinjhati shakti hai. Yaad Rakhna, Yaha bhulkar bahi kintu ke bhav lekar mat aana, time kharab karoge. Agar koi apne apko dhurandar samjhe aur soche ki main ‘Devi Maa’ ki pariksha loon.. toh ye uski bhul hogi.. ‘Devi Maa’ parikha dete nahi.. Pariksha leti hai.."

(To Be Continue…….)

Note – Priya ‘Devi Maa’ ke bhakto ‘Maa ki leelaye hum nirantar shrunkhala badh prasarit kar rahe hai. Ismein humne ‘Devi Maa’ ke sanidya mein aane wale bhakto ke anubhav ko kalambadha kia hai. ‘Maa ki Leelaye’ aapko kaisi lag rahi hai, Iske bare mein apni rai, apni samiksha, apna sujhav, hame nimn  email par bhej sakte hai..
Aap agar apne anubhav, ‘Devi Maa’ ke apne saath hue chamatkar ko sabke saath baatna chahte hai to hum aapke naam  aur pate ke saath ise pesh karenge. Aap agar chahenge to naam pata jahir nahi karenge aapnki bahumulya pratikriya ke pratiksha mein…
Sanjeev Gupta
Email – sanjeev@globaladvertisers.in


Friday, August 12, 2011

'Radhe Shakti Maa' ki Leelaye - Part 13



Main abhi ‘Choti Maa’ aur Talli babaji yani ki Gaurav Kumar ke bare me soch hi raha tha ki darshan karne wali sangat updar ki aur badhani shuru ho gayi aur weh dono mahilaye mod mudne ke baad dristi se onzal ho gayi.

Tabhi dark grey color ka safari suit pehne, sir par laal rumal bandhe, lagbhag 60-62 varshiy ek sevadar meri bagal me aakar uakadu baith gaya. Usne dono haathon se apni pindliya dabane ka upkram karte hue meri taraf ek fiki muskan ke saath dekha.

“Lagta hai, thak gaye ho, Uncle” maine haath aage badhaye, “ Mein paav daba du?”

“Are nahi yaa! Usne meri kalaiya thamte hue kaha, “main to bus yunhi tumhe baith dekh yaha aa gaya tha ! Darshan ke liye updar kyon nahi ja rahe ho? Mein tumhe kafi der se yahi baitha dekh raha hoon”

“Woh kya hai Uncle!” Meine thodi khujlate hue kaha, “Thodi bheed kam ho jaye to khule darshan karna chahta hoon| Saath mein mata ki chowki ka aanand bhi le raha hoon. Aap kab se seva kar rahe hai?”
“Yaad nahi…….”wah sochane lage, “Shayad paach saal se | Chah bhi ho gaye honge”

“Uncle!” maine unke nikat sarakte hue tanik dheeme swar me poocha, “Meri kuch personal samasya hai| Do Maa ki bhakt yaha aapas me choti Maa ke bare mein charcha kar rahi thi| Aap thoda vistar se bata sakte hai ‘Choti Maa’ ke bare mein?

“Dekho beta!” wah aatmiya swar mein bola, “Neeche lage kisi bhi hoarding par aapko Talli baba yani Gaurav Kumar ka mobile number mil jayega, Tum Gaurav kumar se mulakat ka samay maang lo. ‘Choti Maa’, ‘Param Shradhey Pujya Shri Radhe Maa’ ka hi ek swaroop hai. Aapko yaha ya to suabh 6 baje tak ya phir sham ko 6-7 baje, job hi time aapko mile, Ana hai. ‘Choti Maa’ ka aasan ek alag kamre mein lagata hai. Waha sivay ‘Choti Maa’ ke dusara koi bhi nahi hota. Aap job hi poochna chaye, ya apni koi taklif samsya ‘Devi Maa’ tak pahuchna chahe, wah baath aap ‘Choti Maa’ se kahiye. Khul kar khare. Tumhare dwara kahi gayi baat ya tumhara parichay agar aap chahe to ekdum gopneey rahega. Yani ki aap ki taklif ko ‘Choti Maa’ sunegi. Gaur se sunegi. Aur tum yakin karo, kafi hadd tak to ‘Choti Maa’ hi tumhari samasya ka niwaran kar degi. Uske baad bhi tumhare baat ‘Devi Maa’ tak pahuchegi”

“Yah ‘Choti Maa’ ke wachan kab kab hote hai?” maine jigyasa bhare swar mein poocha.


“Yah to sangat par nirbhal hai….” Wah kandhe uchaka kar bola, “Agar sangat ki sankhya adhik rehti hai to hafte me do baar, nahi to ek baar to nishchit hai hi.”

“‘Choti Maa’kuch pravachan ya satsang karti hai?” Maine tanik garden ko tircha kia.

“‘Choti Maa’ prateyak  aaye hue bhakt ki baat sunati hai” Wah thode tarantum bhare swar me bola, “Dekho bacche! Aaj jisse dekho, wah andar hi ander kisi na kisi baat se pareshan hai. Kisiki pareshani badi hai to kisi ki pareshani choti. Beta, chehre par mat jana. Har khila hua chamakta hua chehra dikhne me to yun lagaega ki yaar is aadmi jaisa sukhi aur khushhaal shayad koi nahi hai. Magar ander ke kisi kone mein kahi na kahi ek tees, ek gum, ek nirasha use nirantar kachoti rehti hai. Beta, Ek baat aur Zindagi me ek baat apne dimag mein keel ki tarah gaadlo. Apne dukh, apni taklif, kabhi bhi apne lagene wale se, logo ko mat batana. Apne rishtedaron, sagewalon ko to hargiz nahi batana. Suno, ye duniya aisi hai beta…Tumhara koi kitna koi bhi najdiki kyon na ho. 70% logo ko aapki taklif se kuch lena dena nahi hota. Baki bache 30% aapki taklif sunkar updar se sahanbhuti jatayenge  magar bheetar hi bheetar pulakit honge ki thik hua iske saath aisa hi hona chahiye tha”

Main mantrmugdha uska chehra tak raha tha.

“Apni baat ‘Choti Maa’se kaho” wah purjor shabdo mein bola, “‘Choti Maa’ na keval aapki taklif ko gaur se bhi sunegi balki uske niwaran ka rasta bhi batayengi aur phir jab aapki baat ‘Choti Maa’ tak pohunch gayi, samjho ‘Devi Maa’ tak pohoch gayi”

“phir uske baad……….” Maine uski aakhon mein zanka.

“Ektara bole…..” wah jor se hasa, “ Phir uske baad ‘Devi Maa’ jane bhai. Aur jab ‘Devi Maa’ par vishwas hai.. Bharosa hai……… toh baki kya reh gaya… ?... Mauja hi Mauja…”

Wah tali bajane laga…

(To be continue)