Friday, August 5, 2011

'Radhe Shakti Maa' ki Leelaye - Part 11




Param Shradhey Pujya Shri Radhe Shakti Maa ko haazir naazir maan kar, jo kahunga – sach ke siva kuch nahi kahunga – Saral Kavi

Gayak Sardool Sikander ne jordaar jaikara lagwaya, “Jaikara meri gudia jaisi pyari ‘Radhe Maaji’ da….”
“Bol saanche darbaar ki jai!” hall me maujud sangat ne chat hila dene wale buland swar mein uttar dia.
Sardool Sikander ne apna gayan samapt kar baithe ke liye niche taka. Manch sanchalak ne mike lekar kuch kehna chaha, tabhi shiv chacha manch sanchalak ke nikat pahunche. Manch Sanchalak ne unka ishara samjha aur mike unhe thama dia.

Hall me sannata sa cha gaya. Shiv Chacha ke haav-bhav pradishit kar rahe the ki wah koi mahatv purn suchana dene wale the.

Meine apna sir window ke grill se sata lia aur Shiv Chacha ki baat sunane ko sachet ho gaya.
“Jaikara Shri ‘Radhe Shakti Maa ji’ da!” Shiv Chacha ne sade magar dheeme se swar mein jaikara lagwaya.
“Bol Saanche darbaar ki jai!” apne dono haath uthakar sevadaro ke sang sang sangat ne jaikara pura kia.
“Priya Mata ke pujariyo!” Shiv Chacha gambhir swar me bole, “Pujya Devi Radhe Shakti Maa ke darshano ke liye hamne har pandrah din baad yani ek shaniwar chodkar agale shaniwar , yaani mahine mein do din nishchit kiye the. Yah silsila pichle kai saalose chala aa raha hai. Maa Radhe Shakti Maa ki Upasana pooja archane karne walon ki sankhya nirantar badhti ja rahi hai!”

Hall mein taliya gunj uthi.

“Har pandrah dino baad yahan lagne wale bhakto ke mele me aaj mein harsh ke saath charcha karna chahta hoon. Pichle anek darshno wale din hamne paya hai ki nirantar badhti ja rahi sangat ke karan hum log vyapak vyawastha karne me thodi asuvidha mehsoos kar rahe hai. Asuvidha se mera kya matlab hai, mein spashth karna chahta hoon”

Shiv Chacha ek kshan ke liye ruke.

Thoda khaas kar gala saaf kia aur fir baat aage badhai, “ Hamare tamam sevadar, Gupta pariwar ke sadasya, gayak mandali, aur saajinde, watchmen, aur darshan ke liye nishchit shaniwaar ki subah se hi taiyari mein jut  jate hai. Door daraj jaise ki Delhi, Punjab, Hariyana, Maharashtra, Gujraat, ya anya pranto se aane wali sangat subah se hi yahan pahuchani shuru ho jati hai. Shaam dhalte hi Mumbai tatha aas paas ke bhakto ke tole yahan hall mein ekatrit hone shuru ho jate hai. Pichale kai mahino se ‘Devi Maa’ ke darshanoka silsila der raat tak chalta rehta hai. Kai baar to bhor tak ho jati hai.”

Sangat ne kartal dhwani se anumodan kia.

“Jai Mata di” Shiv Chachane haat uthakar shaant rehne ka ishara kia. Hall mein phir halka sa sannata cha gaya.

‘Ab…” Shiv Chacha ne tanik unche swar mein kaha, “ Hum ne nirnay liya hai..ki sangat ko pandrah din ki bajay saat din ke baad yani ki pratyek shaniwar ko Pujya Shri Radhe Shakti Maa ke darshano ka laabh prapt hoga”

Upasthit sangat ne harsh ke saath jo taaliya bajane shuru ki … wo kai der tak nirantar bajati rahi.
“Lekin….” Shiv Chacha ne phir shanty banaye rakhne ke liye haath hilate hue kaha, “Ab darshano ke liye vyavastha mein thoda parivartan kia gaya hai. Aap logoko haal mein pravesh karne se pehle pratyak darshanarthi ko ek card dia gaya hai.”

Anek bhakto ne apna card hawa mein lehraya.

“Bilkul thik!” Shiv Chacha ne ek ungali upar ki, “Ab meri baat gaur se suniye. Ye card alag alag rang ke hai. Laal, neela, aur peela, Mata ke bhakto! Hamne vyavastha ye ki hai ki ab prateyek shaniwar ko ek rang ke card wale bhagat hi darshno ka laabh prapt kar payenge.”

Hall mein tanik nirashajanak “Hoooooo…..” ki aawaj sunai di.
 
“Dekhiye! Yah vyavastha aap logo ki suvidha ke liye hi hai!” Shiv Chacha tanik jor dekar bole, “Maslan hum is shaniwar ko yah ghoshna karenge ki aanewale Shaniwaar ko kis color ke card ki baari hai! Maan lijiye Neele rang wale card walo ki ghoshna hui to please …. Us din neele rang wale card wale hi darshnao ke liye aaye. Laal ya peele rang ke card walon ko hall me ravesh karne ki anumati nahi milegi. Uske agale shaniwaar ko neela aur teesare shaniwaar ko peele rang ke card walo ko durlabh darshan milenge. Yah kram haar shaniwar ko chalega.”

 Hall mein upasthit sangat mein se kuch logo ne nirashatmak bhav se haath lehraaye.

“Mein aapki bhavana ko samazata hoon!” Shiv Chacha tanik khed bhare swar mein bole, “Mein janata hoon aap sabhi har shaniwaar ko darshan ke liye lalachit hai. Sajjano aur deviyo! Mein pehle hi nivedan kar chuka hoon ki yah saari vyavastha aap sabhi shradhaluon ki suvidha ke liye hai. Aap tanik hamare sevadaro ki taraf bhi dhyan deejiye. Ye sabhi sevadaar aur sevadariyan nishkam bhav se dophar se hi vyavastha mein jut jate hai. Der raat tak, saari sangat ko darshan karwane ke baad in sabko ‘Maa Shri Radhe Shakti Maa’ ke darshan nasib hote hai, tab tak thakan se chur in sevadaro ki haalat dekhkar kisiko bhi taras aayega. Ye sevadar hi kyon, yaha ki vyavastha sambhalne wale sabhi karyakartaon sang me Gupta pariwar ke sadasyon ka bhi yahi haal hota hai. Isliye  aap sabhi ‘Devi Maa’ ke bhakto se meri haath jodkar biniti hai, Please! Please!! Aap is hum sabki labhkari  vyavastha ko kamyaab banana me hamara sahyog kare. Hum log shehar bhar me lage hoardings dwara sabhi ko suchit karenge ki is shaniwaar kis rang ke card wale ka number hai. Iske alawa bhi aap ‘Gaurav Kumarji ya Sanjeev Gupta se mobile par jaankari prapt kar sakte hai. Aap logo ko yah jaankar bhi harsh hoga ki ‘Pujya Shri Radhe Maa’ ke live Darshan aap ghar baithe bhi prapt kar sakte hai. Lakho ‘Pujya Shri Radhe Maa’ ke anyanya bhakt www.globaladvertisers.in website par log in karke yah laabh prapt kar rahe hai. 

Jin Logo ko card nahi mila wah Gaurav Kumar ji ya phir hamare anya sevadaron se card prapt kar sakte hai. 

Aayiye ! hum phir Mata ke bhajno ka aanand le! Jaikara Meri Anandmai ‘Pujya Shri Radhe Shakti Maa’ ka”

“Bol Saanche darbaar ki Jai…..!” sangat ne utsahpuravak Jaikara lagaya.


(To be continue.....)

No comments:

Post a Comment