Monday, August 1, 2011

'Radhe Shakti Maa' ki Leelaye - Part 2





“Mera Naam Arjun Sachdeva hai……….”, mere aage khade vyakti thodi garden ghuma kar bola, “ Mein Ludhiana ka rehne wala hoon. Hamara cyclelo ke parts banana ka karkhana hai. Yah hamara pushtaini business hai. ‘Devi Maa’ ka dia sab kuch hai. Sach pooch to koi kani nahi thi…''
Line dheere dheere aage sarak rahi thi. Usne tanik rukne ke baad bolna shuru kia, “Shaandar bungalow, badasa Karkhana (Factory), dheero workers, ghar mein naukar chakar! Ekdum khushhall pariwar. Mere Mata-Pita aur ….meri Dadi. Abhi tak Zinda hai. Uski umar bataun toh aapko hairani hogi. 92 Saal. Abhi bhi zinda hai. ”

Meine hairani bhari halki muskurahat ke saath uski taraf dekha.

“Ghar ke dhan-daulat, Motor – gadi , sukh aaram ki koi kami nahi….” Arjun Sachdeva gambhir swar mein bola, “ bas.. ek hi kami khatakti thi… Meri Shaadi ko 11 saal ho gaye the magar aulad nahi thi. Pehle 2-3 saal to hassi-khushi gujar gaye. Uske baad hamare ghar mein, Rishtedaron mein khusar – fusar shuru ho gayi. Mere Dadi ko har ghadi ek hi rat rehti… Pota Chahiye. Pote ko god mein khilana hai .. Meri saanso ka kya bharosa.. Arjun puttar .. pota chahiye”

Usne jeb se rumal nikal kar apne sir par vishisth tarike se bandha.

“Fir kya hua?” meine utkantha bhare swar mein poocha.

“Fir ek saal nikal gaya. Mein aur meri patni Madhuri ne anek Doctoro, vaidyo se rai – mashwara kia. Dawao se leker duaon ka daur shuri ho gaya. Jisne jo bola wahi karte. Peero ko, dargahon par Mannate mangi. Mandiro mein Nariyal Chadhaye. Dhaage bandhe. Yaha se waha, pata nahi kaha kaha ke dhakke khaye. Ab toh hum dono bhi nirash hone lage. Ghar mein ajeeb si chinta ne aakar dera daal lia. Dadi ki, ‘pota chahiye’ rat bhi ab dheemi padne lagi. Uske Chehre par Nirasha aur Udasi ki Surkhiya aur bhi gehri ho uthi”

“Bhagat ji….” Ek sevadar ne prarthana bhare swar mein toka, “thoda tej chaliye, aur haan apna sir dhak lijiye”

Meine aage picche dekha.  Sabhi ke saro par rumal bandhe the.

“Lekin…” meine apni jebe tatolte hue kaha, “ Mere paas to sar dhakne ko rumal nahi hai….”

“Thoda aage chaliye”, sevadar ne mera kandha thapthapaya, “Aage ek jagah rumal rakhe hai. Wahase lekar sar pe baandh lena”

“jab hum ek dum nirasha ke samundar mein gote laga rahe the”, Arjun Sachdeva ne aage kaha, “ Tabhi kisi ne hame sujhav dia ki aap ek baar pujya Shri Radhe Shakti Maa ki Sharan mein jakar to dekhiye. Usne hame yahaka address dia. Pehle to meine laparwahi se taal dia. Magar meri Patni Madhuri ne kaha, ek baar aane mein kya harz hai. Hum dono yaha aaye. Pehli baar jab hamne Shri Radhe Shakti Maa ke darshan kiye toh hum dono ke dilo mein asha ki kiran jaise fut padi. Hum nirantar aate rahe. ‘Devi Maa’ ki Charno mein matha tikate rahe. Firyad karate rahe! Aur phir jaise chamatkar ho gaya. ‘Devi Maa’ ne hamare behte aasuon par taras khaya.  Jaise hamare soye bhagya jag uthe. ‘Devi Maa’ ki krupa jaise Amrut ban kar hum par barasne lagi.”

“Fir Kya hua?”, meine utawale swar mein poocha.

“Fir.. wohi hua, jo ‘Devi Maa’ ki krupa se hota hai.” Arjun Sachdeva Chahakte swar mein bola, “Dadi ko pota mil gaya”


(To be Continued… )


No comments:

Post a Comment