Friday, August 12, 2011

'Radhe Shakti Maa' ki Leelaye - Part 13



Main abhi ‘Choti Maa’ aur Talli babaji yani ki Gaurav Kumar ke bare me soch hi raha tha ki darshan karne wali sangat updar ki aur badhani shuru ho gayi aur weh dono mahilaye mod mudne ke baad dristi se onzal ho gayi.

Tabhi dark grey color ka safari suit pehne, sir par laal rumal bandhe, lagbhag 60-62 varshiy ek sevadar meri bagal me aakar uakadu baith gaya. Usne dono haathon se apni pindliya dabane ka upkram karte hue meri taraf ek fiki muskan ke saath dekha.

“Lagta hai, thak gaye ho, Uncle” maine haath aage badhaye, “ Mein paav daba du?”

“Are nahi yaa! Usne meri kalaiya thamte hue kaha, “main to bus yunhi tumhe baith dekh yaha aa gaya tha ! Darshan ke liye updar kyon nahi ja rahe ho? Mein tumhe kafi der se yahi baitha dekh raha hoon”

“Woh kya hai Uncle!” Meine thodi khujlate hue kaha, “Thodi bheed kam ho jaye to khule darshan karna chahta hoon| Saath mein mata ki chowki ka aanand bhi le raha hoon. Aap kab se seva kar rahe hai?”
“Yaad nahi…….”wah sochane lage, “Shayad paach saal se | Chah bhi ho gaye honge”

“Uncle!” maine unke nikat sarakte hue tanik dheeme swar me poocha, “Meri kuch personal samasya hai| Do Maa ki bhakt yaha aapas me choti Maa ke bare mein charcha kar rahi thi| Aap thoda vistar se bata sakte hai ‘Choti Maa’ ke bare mein?

“Dekho beta!” wah aatmiya swar mein bola, “Neeche lage kisi bhi hoarding par aapko Talli baba yani Gaurav Kumar ka mobile number mil jayega, Tum Gaurav kumar se mulakat ka samay maang lo. ‘Choti Maa’, ‘Param Shradhey Pujya Shri Radhe Maa’ ka hi ek swaroop hai. Aapko yaha ya to suabh 6 baje tak ya phir sham ko 6-7 baje, job hi time aapko mile, Ana hai. ‘Choti Maa’ ka aasan ek alag kamre mein lagata hai. Waha sivay ‘Choti Maa’ ke dusara koi bhi nahi hota. Aap job hi poochna chaye, ya apni koi taklif samsya ‘Devi Maa’ tak pahuchna chahe, wah baath aap ‘Choti Maa’ se kahiye. Khul kar khare. Tumhare dwara kahi gayi baat ya tumhara parichay agar aap chahe to ekdum gopneey rahega. Yani ki aap ki taklif ko ‘Choti Maa’ sunegi. Gaur se sunegi. Aur tum yakin karo, kafi hadd tak to ‘Choti Maa’ hi tumhari samasya ka niwaran kar degi. Uske baad bhi tumhare baat ‘Devi Maa’ tak pahuchegi”

“Yah ‘Choti Maa’ ke wachan kab kab hote hai?” maine jigyasa bhare swar mein poocha.


“Yah to sangat par nirbhal hai….” Wah kandhe uchaka kar bola, “Agar sangat ki sankhya adhik rehti hai to hafte me do baar, nahi to ek baar to nishchit hai hi.”

“‘Choti Maa’kuch pravachan ya satsang karti hai?” Maine tanik garden ko tircha kia.

“‘Choti Maa’ prateyak  aaye hue bhakt ki baat sunati hai” Wah thode tarantum bhare swar me bola, “Dekho bacche! Aaj jisse dekho, wah andar hi ander kisi na kisi baat se pareshan hai. Kisiki pareshani badi hai to kisi ki pareshani choti. Beta, chehre par mat jana. Har khila hua chamakta hua chehra dikhne me to yun lagaega ki yaar is aadmi jaisa sukhi aur khushhaal shayad koi nahi hai. Magar ander ke kisi kone mein kahi na kahi ek tees, ek gum, ek nirasha use nirantar kachoti rehti hai. Beta, Ek baat aur Zindagi me ek baat apne dimag mein keel ki tarah gaadlo. Apne dukh, apni taklif, kabhi bhi apne lagene wale se, logo ko mat batana. Apne rishtedaron, sagewalon ko to hargiz nahi batana. Suno, ye duniya aisi hai beta…Tumhara koi kitna koi bhi najdiki kyon na ho. 70% logo ko aapki taklif se kuch lena dena nahi hota. Baki bache 30% aapki taklif sunkar updar se sahanbhuti jatayenge  magar bheetar hi bheetar pulakit honge ki thik hua iske saath aisa hi hona chahiye tha”

Main mantrmugdha uska chehra tak raha tha.

“Apni baat ‘Choti Maa’se kaho” wah purjor shabdo mein bola, “‘Choti Maa’ na keval aapki taklif ko gaur se bhi sunegi balki uske niwaran ka rasta bhi batayengi aur phir jab aapki baat ‘Choti Maa’ tak pohunch gayi, samjho ‘Devi Maa’ tak pohoch gayi”

“phir uske baad……….” Maine uski aakhon mein zanka.

“Ektara bole…..” wah jor se hasa, “ Phir uske baad ‘Devi Maa’ jane bhai. Aur jab ‘Devi Maa’ par vishwas hai.. Bharosa hai……… toh baki kya reh gaya… ?... Mauja hi Mauja…”

Wah tali bajane laga…

(To be continue)

No comments:

Post a Comment