Wednesday, August 17, 2011

'Radhe Shakti Maa' ki Leelaye - Part 14


Aap kabhi Param Shradhey Shri Radhe Shakti Maa ke ‘Shri Radhe Maa’ bhavan gaye ho to aapko bata doon, main is waqt sidhiyonke dwara upari manjilon ki taraf jane wale raste mein koi 8-10 sidhiya chadhne ke baad, left side mein sthit vishal window ki tanik ubhari floor sthit vishal hall mein acchi taraf zanka ja sakta hai aur pehli manjil ki taraf jane wali lafbhag 7-8 sidhiyon par khade Mata ki pujarion ko bhi dekha ja sakta hai.

Mere paas baithe bujurg sevadar ne uthte hue mujhe kaha, “line mein lag jao, paanch mala sthit gufa tak pahuchne mein tumhe pura ek ghanta lag jayega. Isse jyada bhi lag sakta hai!”

“Koi baat nahi prabhu|”, meine befikri se haath hilaya, “Ab jab aa hi gaye hai to ‘Devi Maa’ ka ashirwad lekar hi jayenge. Ek ghanta baad hi sahi… Do ghanta baad bhi chalega”

Jaise hi sevadar utha ek anya bujurg jinki umar sattar se upar hi hogi, aahista se mere bagal mein baithe gaye. Unke haath mein ek chocolate ka dibba tha. Mujhe dibbe ki taraf  taakte dekh kar unhone muskurate hue kaha, “Devi Maa ke liye hai... Unhe chocolates bahot pasand hai.”

“good” meine tanik sarak kar unhe aram se baithne ka ishara kia.

“main jab  bhi ata hoon…” wah atmavibhor swar mein bole, “Devi Maa ki liye Chocolate hi lata hoon. Maine jab jab bhi ‘Devi Maa’ ke darshan kiye, mujhe who ek choti si kanjak ke roop mein dikhai di. Mein jaise hi Gufa mein pravesh karta hoon, mujhe aisa lagta hai.. jaise woh meri hi pratiksha kar rahi ho… Ekdum baccho jaisi muskurahat unke adhero par khelne lagte hai.. Baccho jaisi hi utawali mudra mein who haath badhakar mujhese chocolate mangti hai… “ Unka gala bhar aaya

Ek kshan rukne ke baad wah pulakit swar mein bole, “Jaise hi ‘Devi Maa’ chocolate leti hai. Mere mann mein ek asim aanand bhar uthata hai.”

Maine unki aakhon mein chalak uthne ko aatur pani dekha.

“mera naam Satyaprakash hai… Satyaprakash Garg…” wah apne aap mein khoye se dheere dheere bol rahe the… “Devi Maa ki kripa se dia sab kuch hai .. Main to pandrah roj ka besabri se interjar karta hoon.. ki  kab ‘Devi Maa’ ke darshano ka din aaye.. Tumne ‘Devi Maa’ se kabhi kuch manga hai?”

Maine inkar se sir hilaya.

“Mangna bhi mat”, wah gambhir mudra banakar bole, “‘Devi Maa’ antaryami hai.. Accha batao tumne ‘Devi Maa’ ke kis roop mein darshan kiye hai ?”

Main kuch bolu usse pehle hi wah swath bolne lage, “pehle to yah jaan lo ki aakhir ‘Devi Maa’ kya hai? Koi Saint ? Koi Avatar? Koi Rishi gyani?”

Maine anischit bhav se sir hilaya, “Aakhir ‘Devi Maa’ hai kya?” wah ek-ek shabd par jor dete hue bole, “Suno beta, ‘Devi Maa’ ke bare mein apni koi bhi rai nischit karne se phele, unke bare mein acchi tarah janana zaroori hai.. Desh –Videsh  mein unke lakho anuyayi hai.. Ab yahi dekh lo – hazaro ki sankhaya mein hazir loko ko gaur se dekho… Inmein T. V. artist hai.. lawyer hai.. Doctor hai.. bade bade – Businessmen hai.. Chote chote haath thela lagane wale bhakt hai.. Sadhu samaj ke log, sarkari tantr ke log, bade-buddhe, bacche jawan.. n jane kaha kaha se aa rahe hai.. Inko kisi ne nimantran bheja hai kya? Ya inko force kia hai ki, yaha tumne aana hi hai? Nahi ! Nahi! Kuch toh hai.. .ki in sabke dillon mein  ‘Devi Maa’ ke darshno ki itni lalsa hai, ki b hari barish mein bhi logo ka hujum darshano ke liye apni bari ka interjar kar raha hai. Suno mere bacche ! Yaha sahukari nahi chalegi. Yaha pad ya aahoda nahi chalega. Yaha rutba dikhane ki jaroorat nahi.”

Wah ek kshan ke liye ruke, jibh firakar apne hoto ko tanik gila karne ke baad wah bole, “ Yaha agar aana hai. to deen ban kar aao, sawali banker aaho.. Jhukna sikh kar aao, vishwas ki jyot mann mein jagakar aao. Asha ki dor tham kar aao. Kuch pane ki iccha liye aao. Mann ki ashudhi aur ahankar ko ghar par chodkar aaho. Tab tumhe malum hoga ki ‘Devi Maa’ kis baat par rinjhati shakti hai. Yaad Rakhna, Yaha bhulkar bahi kintu ke bhav lekar mat aana, time kharab karoge. Agar koi apne apko dhurandar samjhe aur soche ki main ‘Devi Maa’ ki pariksha loon.. toh ye uski bhul hogi.. ‘Devi Maa’ parikha dete nahi.. Pariksha leti hai.."

(To Be Continue…….)

Note – Priya ‘Devi Maa’ ke bhakto ‘Maa ki leelaye hum nirantar shrunkhala badh prasarit kar rahe hai. Ismein humne ‘Devi Maa’ ke sanidya mein aane wale bhakto ke anubhav ko kalambadha kia hai. ‘Maa ki Leelaye’ aapko kaisi lag rahi hai, Iske bare mein apni rai, apni samiksha, apna sujhav, hame nimn  email par bhej sakte hai..
Aap agar apne anubhav, ‘Devi Maa’ ke apne saath hue chamatkar ko sabke saath baatna chahte hai to hum aapke naam  aur pate ke saath ise pesh karenge. Aap agar chahenge to naam pata jahir nahi karenge aapnki bahumulya pratikriya ke pratiksha mein…
Sanjeev Gupta
Email – sanjeev@globaladvertisers.in


No comments:

Post a Comment