Wednesday, August 10, 2011

'Radhe Shakti Maa' ki Leelaye - Part 12


‘Bahut acche!” mere kano mein ek mahila swar gunja.

Maine hadbadakar sir ghumaya.

Taaliya bajaane ka upkram kar rahi ek darshanarthi mahila mere piche khadi ‘Shiv Chacha’ ke vichar sun kar apni pratikriya vyakt kar rahi thi.

Mere ekaek ghumne se wah bhi thoda hadbadakar piche sarki. Darshno ke liye updar ja rahi sangato ki katar mein khadi ek anya mahila se wah takrate takrate bachi.

Us mahila ki umar lagbhag 50 ke karib hogi. Halke green color ka Punjabi suit pehne us mahila ke haath me ek thaili thi, jismein ek laal chunari ka thoda sa hissa baahar umra dikhai de raha tha. Thaili me shayad kuch aur bhi uphaar the jo ‘Devi Maa’ ko bhete Karen the.

Line me pehle se khadi mahila ne thoda sarak kar us mahila ko sthan dia jo ‘Shiv Chacha ki baat sehmati me thi.

“Bahut uchit aur jaruri vyavastha hui hai|” thaili wali mahila ne do teen baar daaye baaye sir hilaya, ‘Iski jaroorat bhi thi.”

Dusri mahila jo lagbhag challis varsh kit hi, tanik dubali patli magar acche pariwar ki sadasya lag rahi thi, usne sahaj bhav se poocha, “Aap kaha se aayi hai, Behen?”
“Ghatkopar se ….” Thaili wali mahila boli, “Mera naam Arpita Mulchandani hai. Main har darshano ke din aati hoon”

“Main Bandra se aayi hoon” dubali patli mahila ne apna haath aage badhaya, “ Mera naam Nilima hai.. Nilima Sharma…”

“Nilima…” Arpita ne garmjoshi se haath milaya, “aapko ‘Shiv Chacha’ dwara batayi vyavastha kaisi lagi?”

“Thik hai….” Nilima sapat swar me boli, “Ye log yaha ke vyavasthapak hai.. Jaisa karenge hum darshnartho ko waise hi karna padega na”

“Woh baat nahi hai…. “ Arpita ne sir zatka, “ Dekho! Yah card ke color dwara pratek shaniwar ko darshan laabh prapt karne ki vyawastha ka main to purjor samarthan karti hoon… Poocho kyon? Dekho! Mein ghatkopar se shyam 5-6 baje ke karib chalkar yaha lagbhag aath – saade aath baje pohochati hoon .. Kai baar 9 bhi baj jate hai.. Line mein lagne ke baad mujhe lagbhag 800 ya isse upar ka number milta hia.. Aap manegi? Pichali dafa meine raat ko dedh baje darshan kiye, fir  bhandara lia, Ghatkopar me wapis ghar pahuchte pahuchte mujhe subah ke chaar baj gaye. Is vyavyastha se me darshan jaldi paa jaungi. Line me adhik der khade rehna nahi padega. Jyada gardi nahi hone ke karan ‘Dvei Maa’ ke darshan bhi acchi tarah se honge. Bhai, mere ko toh yah vyavastha ekdum thik lagi.. Kyun bhaiya?”

Mahila ne mere taraf aashwasit nigaho se dekha.

“Mere khayal se….” Maine anumodan bhare swar me kaha, “Is vyavastha ka sabhi ko samarthan karna chahiye”

“Uske chehre par santushti ke bhav pragat hue. Arpita ne hoto hi hoto mein mujhe thank you kaha aur sidhiyo ke updar ki taraf zanka.

“Arpita ji” Nilima ne tanik chintit swar me kaha, “ Meri kuch gharelu pareshaniya hai, jinhe me ‘Devi Maa’ ko apne muh se batana chahti hoon. Magar mushkil ye hai, gufa me pravesh karne ke baad ek to waha sangat kafi badi tadad me hoti hai, upar se sevadaar bhi jyada rukne se mahayi karte hai”

“Aap ek kam kare” Arpita ne bhave sinkodi, “Choti Maa se aapni baat kyun nahi kehte?”
Choti Maa? Maine vicharpurvak nigaho se un dono ki taraf dekha. Choti Maa kaun hai? Maine mann hi mann mein prashna kia. 

“Choti Maa kaun hai?” yahi sawal prateksha roop se Nilima ne tanik vyagra swar mein poocha.

“Choti Maa….. “ Arpita ne haath hilate hue kaha, “Param Shradhey Shri ‘Devi Maa’ ka hi pratiroop samjho”

“woh jo gulabhi dress aur gulabhi chunari mein ‘Devi Maa; ki baju me khadi rehti hai?” Nilima ne tanik vichar purvak swar mein poocha

“Correct! ekdum barobar pehchana” Arpita ne sehmati me sir hilaya, “Choti Maa ko kahi gayi baat samjho ‘Devi Maa’ ko kahi gayi hai! Dekho Beheh| ‘Devi Maa’ matra drishti matra se apni sangat ka kalian karti hai. Magar phir bhi, aapki koi gambhi samsya hai, aap kisi ulzan me hai, kisi chinta me ghire hai, ya mann ka koi bojh aapki zindagi me taklife ghol raha hai.. toh pehle yun kare  ‘Gaurav Kumarji’ se samay le…”

“Yah ‘Gaurav Kumarji’ kon hai?” Nilima ne poocha.

Arpita ne ek haath updar uthakar mandir me ghanti bajane jaisa upkram karte hue tanik muskurakar kaha, “Talli Babaji”

(To be continue)

No comments:

Post a Comment