Monday, August 29, 2011

'Radhe Shakti Maa' ki Leelaye - Part 17


 



   
Manmohan Gupta baat karte karte thoda aur pasar gaye. Thankan ke karan unki jhapki lag gayi lagti thi. 

Ek ladka Coffee ka cup de gaya.

Tabhi waiting hall mein ek vyakti pravishth hua, jiske haath mein bada sa traveling bag tha. Bag par lage sticker chugli kar rahe the ki wah kisi flight se aaya tha. Usne ek side mein bag ko rakha. Undh se rahe Manmohan Gupta ke pav chune ka upkram karne ke baad, meri bagal mein baithate hue unhone coffee dekar laut rahe ko ishare se bulaya.  

“beta…” aguntak sajjan ne bade thake swar mein kaha, “ek cup chai mujhe bhi milegi kya?”

“Chai nahi coffee hai…” maine unki baat ka uttar dia, “wah bhi bina shakkar ki … yahi le lo”

“Are…” unhone apnatv se mera haath piche thela, “Aap piyo… Beta.. Mujhe bhi coffee la do.. Aur suno, unki coffee ki bachi hui shakkar meri coffee mein daal dena, Main tej shakkar pita hoon bhai”

Ladka gate se bahar nikal gaya. Aguntak ne jeb se rumal kar chehra pocha.

“Kahi bahar se…”Maine yunhi baat shuru ki, “Sidhe sahi chale aa rahe ho?”

“haan” wah sofe ki pith par sir tikate hue thake swar mein bola, “Dubai se aa raha hoon. Ek to flight late upaar se Mumbai ka traffic … tauba ! Tauba!”

Maine sahanbhuti bhare bhav se sir hilaya, Niche hall mein koi naya bhajan gayak pure josh ke saath apna karekram prastut kar raha tha. Uske gnae ki dheemi dheemi aawaz acchi lag rahi thi.

“Mera naam Himaat bhai hai” wah sajjan meri taraf dekhte hue bole, “aapka parichay?”

“Mera naam bhagat hai…” main coffee ka ghut bharne ke baad tasalli ke saath sir hilakar bola, “Devi Maa ke darshno ke liye aaya hoon”

“Main bhi ‘Devi Maa’ ke darshan ke liye sidha Dubai se chala aa raha hoon..” Himmat bhai ne meri aankhon mein jhanka, “Devi Maa ki apar krupa hui, jo aaj fir se khada ho gaya hoon Bhagat ji, warna ek baar toh mein sadak par hi aa gaya tha.”

Ladka coffee de gaya. Himmat Bhai ne krutagyna bhav se ladke ko dhanyawad dia aur fir coffee ka ek bada sa ‘ghunt’ bhara.

“Mera Palghar mein steel ke bartan banane ka karkhana hai…” Himmat bhai swayam hi bolne lage, “Bahut bada business tha mera. Main export ka bhi dhanda karta hoon. Dubai.. Berlin .. Sharjah  mein mere steel ke bartan bahu export hote the. Mere ek bachpan ka padosi aur saath padha eek dost ‘Navin Arora’, jo mera bahut karibi tha.. aksaar mujhse dhande ke saath rakhne ke liye request kia karta tha. Maine dosti ka lihaj karte hue Dubai mein apna ek office kholkar, use waha ka incharge bana dia. Wah aur uska parivar toh jaise mere paav dhokaar pne ko raji the. Dubai mein pehle saal ‘Navin Arora’ ne kafi mehnat ki aur pehle se dugne order bhijwaye. Maine production badhane shuru ki. Main yaha raat din busy ho gaya aur ‘Navin Arora’ waha par. Main lagataar maal bhejta jar aha tha. Udhar ‘Navin Arora’ khub mehnat ka raha tha..”

 Himaat Bhai ne ek ghut mein puri coffee khatm ki aur cup rakh dia.

“Main production ke liye udhar mein Raw material uthata raha, maal bhejta raha”, Himmat bhai ka swar ekdum kadwa hone laga, “Lekin mein bawkoof ki aulad, pure teen saal tak is baat se laparwah raha ki waha se payment ki koi charcha tak nahi ki. Aur usne bhi nahi ki. Meri goodwill ke karan Raw Material udhari par dene wale dealerone jab payment ke tagaje shuru kiye toh maine Navin Arora ko payment bhejne ko kaha.”

Himmat bhai kuch kshan khali cup ko ghurte rahe, ekaek meri taraf dekhne ke baad wah gambhi swar mein bole, “Dubai  se Navin Arora ne haan bahi aaj bhejta hoon, kal bhejta hoon se kuch ndin nikale. Aur phir ekaek usne phone uthana band kar dia. 

Main awak muh bhaye uski taraf tak raha tha.

Navin Arora ne mera phone lena band kar dia. ..” Himaat Bhai ek ek shabd chabate hue bole, “Balki mere se har prakar ka samparak hi band kar dia. Maine do mahine tak bahut koshish kia. Udhar lenedaron ke tagajo ne mera jina haram kar dia. Factory mein labor tankhwah maang rahe the. Bijli ka bill itna b adh gaya tha ki aaj connection kata ki kal kata. Maltab ye ‘Bhagat ji’ main paise paise ka mohtaj ho gaya. Aur udhar Navin Arora ne saal mein mujhe 33 crore ka  chuna laga dia. Kitne ka??”

“33 crore ….” Mere muh se bol nahi fut rahe the.

“33 crore “ Himmat bhai ne do-teen baar sir hilaya, “ Usne apne pariwar ko Dubai mein bula lila. Apna alag se office khol lia. Aur main sadak par aa gaya.”

Uski aankhen bhar aayi.

 “Mera Bungalow girwi, meri factory girwi.  Gadi office sab bik gayi. Pariwar mein halat yaha thi ki hum roti ko mohtaj ho gaye. ‘Bhagat Ji’ main paagalon jaisi sthiti mein pohoch gaya tha. N nahane ki sud na khane ka hosh. Kabhi kabar shokia ekadh peg lagane wala Himmat Bhai ab bewada Himaat bhai ke naam se mashhur ho gaya. Mere sabhi yaar dost – sagewale mujhse baat tak karne se katrane lage. Log mujhe dekhte hi durr bhagete ki udhar na maang le. Akela baitha apne aap se baat karta tha. Log samjhne lage ‘Himmat bhai ka dimag satak gaya hai. Yah halat ho gayi thi meri aur mere pariwar ki. Meri gharwali jo bina gadi ke chalti nahi thi… naukar chakron ki line lagti thi ghar mein… magar ab meri gharwali tiffin banakar logo ke gharon mein pahuchati thi aur pariwar ka gujara chala rahi thi.”

Main sahanbhuti bhare bhav se use tak raha tha, “Tabhi kisine mera uddhar karwaya.” Himaat Bhai ka swar komal hone laga, “ Mujhe idhar-udhar bhatakne se bachane ke liye ewah ‘Devi Maa’ ke darshan ke liye le aaya. Sach pooch toh mein time-pass bhav se yahan chala aaya. Line mein laga. Routine mein darshan kiye Bhandara liya aur wapis chala. Magar mere mann ke kisi kone mein se ek awaz aayi ki Himaat Bhai .. teri durgati dur hogi toh yahi hongi. Bhagat ji… Dusre din Sunday tha . Mein subah subah ‘ Shri Radhe Maa’ bhawan ke samne footpath par baith gaya. Aur mann hi mann prarthana karne laga. Mujhe nahi malum  main kya prathana kar raha tha. Magar kar raha tha. Ab mera routine ban gaya tha. Main yunhi tehelte hue aata,  ‘Radhe Maa’ ji ke bahar lage hoarding ko pranam karta aur kafi der tak footpath par hi baitha rehta”



Himaat Bhai ki aap beeti sunte sunte main drawit ho utha tha.

‘Phir kya hua?” maine vyagra swar mein poocha.

“Chamatkar “Himaat Bhai ne haath zatka, “ usi footpath par mera ek pura vyapari mil gaya. Ek waqt tha jab wah mujhse thoda thoda maal udahr lia karta tha. Usne mujhe pehchana, mujhe gale se lipta lia. Malum pada ki wah aaj bahut bada businessmen ban gaya tha. Usne meri kahani suni, huasala dia. Mujhe bina interest ke rakam de kar phir se factory shuru karne ko himmat di.  Bhagat ji, ‘Pujya Shri Radhe Shakti Maa’ ki anukampa se meri gadi fir se patari par aa gayi. Mera vyapar fir sambhala, Meri daru-varu sab chut gayi. Main niyamit roop se yaha ‘Devi Maa; ke darshan ko ane laga. Mera Bungalow jo girwai pada tha, use chudaya. Factory jo girwai padi thi, use chudaya. Maine Dubai mein fir se office khola. Mera business dheere dheere se usi position mein aa gaya jaise aajse saat saal pehle tha. Main Dubai se flight pakad kar pehle yahan aaya hoon. Pehle ‘Devi Maa’ ki daya drishti paunga, phir bhandara lekar ghar jaunga.”


Maine sahaj swar mein poocha, “ Aur…. Us Navin Arora … tumhare partner … uska kya hua?”
Himaat Bhai ne chat ki taraf dekhte hue kaha, “Devi Maa use sadbudhi de”

(To be continue….)

 For more details about 'Devi Maa' click on  - http://shriradhemaa.blogspot.com/

Note – Priya ‘Devi Maa’ ke bhakto ‘Maa ki leelaye hum nirantar shrunkhala badh prasarit kar rahe hai. Ismein humne ‘Devi Maa’ ke sanidya mein aane wale bhakto ke anubhav ko kalambadha kia hai. ‘Maa ki Leelaye’ aapko kaisi lag rahi hai, Iske bare mein apni rai, apni samiksha, apna sujhav, hame nimn  email par bhej sakte hai..
Aap agar apne anubhav, ‘Devi Maa’ ke apne saath hue chamatkar ko sabke saath baatna chahte hai to hum aapke naam  aur pate ke saath ise pesh karenge. Aap agar chahenge to naam pata jahir nahi karenge aapnki bahumulya pratikriya ke pratiksha mein…
Sanjeev Gupta
Email – sanjeev@globaladvertisers.in



No comments:

Post a Comment