Wednesday, August 3, 2011

'Radhe Shakti Maa' ki Leelaye - Part 6- 7 - 8





Part 6

Borivali west mein Raiway station se agar aap paidal chale to mushkil se 10 minute lagenge aur aap ‘Pujya Shri Radhe Shakti Maa’ bhavan pahuch jayege Mein wahi par is samay ground floor sthit hall mein bade dhoom dhaam se ho rahi ‘Mata ki Chowki’ me upasthit tha, jaha suprashidh gayak ‘Sardool Sikandar’ badi tanmayta se ‘Meri Gudia jaisi Radhe Maa’ bhajan prastut kar rahe the.

Ek sevadar ne fir ek poster public mein lehraya jis par agale darshanartho ke number likhe the. Thodi hulchul hui. Jin logo ko poster mein likhe anko ki parchiya mili thi, badi shraddha aur ehsaas magar shanty ke saath sidhiyo ki taraf badhane lage.

Tabhi darsham karke laut rah eek sajjan ko dekhkar meine apni kohni Anil se satakar poocha, “who lamba sa aadmi mujhe kuch jana pehchana sa lag raha hai”

“Konsa?” Anil ne us taraf dekha, jidhar meri drishti thi ….. “woh… who yahake bahot bade doctor hai. ‘Devi Maa’ke ananya sevak hai.”

“kiski baat kar rahe ho?” meine anishchit swar mein kaha, “Woh chasme wale? Who nahi prabhu ji. Who lambi choti si wale….. jo darbaar ki taraf ja rahe hai”

“Accha woh !”… Anil ne bhavo ko nachaya, “Usko nahi pehchana? Woh Arvinder hai.. Arvinder Singh….. Sufi gayak … Unke bahot se album nikale hai .. AApne unko jaroor T. V. par dekha hoga.”

“Haan… Haan… Haan” meine sehmati mein teen baar sir hilaya…. “yaad aaya…. Bahoot baar dekha hai  T.V. par .. Yaha to bahot pahuchi hastiya ‘Devi Maa’ ke darshonko aate hai… Kya baat hai..”

“Chamatkar ko namaskar hai.. bhagat ji!” Anil shradhha aur vishwas bhare swar mein bola, “aaj science aur media ka jamana hai . Padhe likhe samajhdar log hai… kuch dekhte hai tabhi yaha aate hai.. kuch milta hai tabhi to yaha aate hai.. Har pandrah roz baad yaha hone wali  ‘Mata ki Chowki’ me hazaro bhakto ki bheed aur wah bhi aise bhakto ki bheed jo ek baar ‘Devi Maa’ ke darshan ho jane ke baad bhi baar-baar anek baar unke darshno ki chahat rakhte hai.. yah ‘Devi Maa’ Chamatkar hai”

Tabhi pravesh dwar se ek pandrah –solah sal ki ladki ne bhitar pravesh kia… Uske haath mein gulab ka phool tha … uske chehre par utsukta aur vyagrata bhare bhav the.. Aage rasta nahi hone ke karan wah meri bagal mein khadi ho gayi.

“Tumhara kya naam hai bitiya” meine sahaj swar mein poocha.

“Vaishali” wah ekdum baal sulabh swar mein boli, “Vaishali More.. Maharashtrian hoon”

“aap ‘Devi Maa’ ki darshno ke liye aaye hai?” meine tanik zuk kar poocha, “ Pehle kitni baar darshan hue?”
“Ek baar bhi nahi”, usne inkaar mein sir hilaya, “Mein to first time aayi hoon. Who bhi Maa ki krupa hui toh.”
“Very good, kya karte ho beta?” meine prashansatmak drishti se dekha.

“B.Com first year ke form bhare hai” wah meri taraf dekhkar boli, “uncle mere saath jo chamatkar hua, us par mujhe khud ko bhi yakin nahi ho raha hai .. Batau kya ha hua?”

“batao”meine vyagra swar mein poocha.

“Mein kal….” Usne kal swar pe jor dia, “Bandra west gayi thi, admission ke liye. Yahase tarain pakadi, bandra utar gayi aur do anya ladkiyon ke saath share riksha lia. College ke samne utar kar mein jaldi jaldi line mein lagne ki hadbadas mein apna cell phone riksha mein bhul gayi. … Uncle .. hum sadharan pariwar ke log hai.. Meine badi Kanjusi karke kai jagah choti moti service karke jaise taise paise jama karne ke baad apni pasand ka mobile kharida tha. Abhi das dine pehle to lia tha aur wah riksha mein choot gaya.”
Wah gambhir nigaho se meri taraf dekh rahi thi. Usne hoto par jibh firai aur fir boli, “Apna pasand ka mobile gum ho jane ke karan mein behad nirash thi. Mein ekdum kharab mood aur tension me wapis ghar laut rahi thi. Mein kal sham jab yaha se gujri to banner par Devi Radhe Shakti Maa ka photo dekha. Meine maan hi maan prathana ki, ‘He Devi Maa’ mera mobile wapis mil jaye to mein aapke darshano ko aayungi”

Wah saas lene ke liye ruki aur phir shraddha bhare swar mein boli, “Mujhe raat ko need mein bhi mobile ke sapne aate rahe. AAj subah jab mein borivali station par pahuch to uncle wohi rikshawala, socho, kaha Bandra kaha Borivali, Wohi riksha-wala mil gaya. Meine jaise hi uski taraf dekha, usne pocket se nikal kar mera mobile mere haath mein thama dia. Meine poocha bhi , ki aapko kaise malum yeh mera mobile hai? To wah muskurakar bola ki usne mujhe us mobile se baate karte dekha tha. Uncle! Mobile lautane ke baad bhada lekar turant rawana ho gaya. Mein uska acchi tarah se dhanyawad bhi nahi kar paai.”
Vaishali More ne apne phool wale haath ko tanik upar uthaya, “Mein ‘Devi Maa’ ka dhanyawad karne aayi hoon!”

Tabhi hall mein zor ka jaikara gunja, “Bol, Saanche Darbaar ki Jai!”


Part 7



 
Pujya 'Radhe Shakti Maa' bhavan ke ground floor sthit hall mein mata ki chowki ka karekram harshoullas aur purn bhakti ras se bara tha. Hall mein ‘Devi Maa’ ke shradhaluon ki bheed nirantar badhti ja rahi thi. Kai baar to hall mein maujud sewadro ko vyavasth nahye rakhene mein mushkil ho rahi thi. Mere khayal se jitni shradhaluon ki sankhya yaha maujud thi use kahi jyada hall ke bahar khursiyon par baithe line mein khade shradhalu hall mein bheetar aane ko aatur the. Magar shant bhav se.

Fir ek poster hawa mein lehrate hue ek sevadar shradhaluon mein ghum gaya. Thodi hulchal hui. Mata ke darshnarthi alag – alag jagaho se uth kar siddhiyon ki taraf badhe. Unke dwara khali ki gayi jagah fauran bhar gayi. Mukhya dwar se shradhaluion ne bhitar pravesh karna prarambh kia. Mein thoda aur deewar se sat gaya. 

Su-prashidh bhajan gayak Sardool Sikander ne apni nayi rachna shuru ki… “Mere bhole baba .. Radhe Maa ka roop kya saja dia….”

Darshanarthone jhomte hue taliya bajate hue unka saath dia.

Safed kurta-paijama pehne, sir pe Gandhi topi lagaye, ek tanik bhari se umraraj sajjane uth kar, apni jeb se ek note nikala, Sardool Sikander le sir ke upar se do-teen baar ghumakar unhone note niche baithe ek bhakt ko thama dia.

Sardool Sikander ne tanik zuk kar un sajjan ke pav chone ka upakram kia.

“Ye mahashay kon hai, Anil?” Meine kautuhal swar mein poocha.

“Ye Shri Manmohan Guptaji (Tauji) hai. Anil mantramudha swar me bola, “ye jitna bhi karekram yaha chal raha hai. Yah sab Gupta Pariwar ki Shraddha aur seva bhavna hai.  Manmohan Guptaji is pariwar ke mukhiya hai. Aapne MM Mithaiwala ka naam suna hai?”
“Kisne nahi suna bhai?” meine sir hilaha “Malad station ke bahar unki Mithai ki dukan par to apaar bheed lagi rehti hai. Meine bahut bar waha MM ki khas lassi ka aanand uthaya hai.”
“ Ussi MM Mithaiwala ki dukan ke malik hai ye Manmohan Guptaji. Anil ne baath aage badhai, “ Apna sarwaswa is Gupta pariwar ne Pujya Devi Maa ko samarpit kar dia hai. Jab se ‘Devi Maa; ne inke niwas tsthan par aasant lagaya hai, Gupta pariwar dhanya ho gaya hai. Is pariwar mein challis sadasya hai. Chote se Chota aur bade se bada sadasya ‘Devi Maa’ ke prati krutagya hai . 'Devi Maa' jab kisi par prasanna hoti hai to phir aisa najara hota hai. Bhagat ji. Har pandrah din ke baad yaha ‘Mata ki Chowki’ hoti hai. Hazaro ki sankya mein ‘'Devi Maa'ke bhakt darshno kel iye khiche chale ate hai. Zara uthar dekho”
Meine garden ghumai.

“ Who sanmatra mahila jo haath mein bhojan ka thal liye hai…” Anil tanik meri taraf zuka, “wo Shrimati Snehlata Guptaji hai ! Manmohan Gupta ji ki Dharmpatni”

Ek do purush aur mahila sevadar fauran aage pahuche. Ek chunari ka parda bapakar Shrimati Snehlata Gupta(Amma) me mata ka bhog lagaya.

“Ab bhandara shuru ho jayega.” Anil ne harsh ke swar mein kaha, “Upar teesre mala par bahut vishal terrace par Mata ke Prashad (Bhandara) ki vyavastha hai. Bhagat ji, Shaadi byah mein jo khana parosa jata hai, use bhi kahi badhkar is bhandare mein hazaro ki sankhya mein shradhalu ‘Mata ka Bhandara’ prapt karte hai. 

“Koi parchi varchi katani padti hai kya yaha?” meine utsuk swar mein poocha, “Ya koi tokan kharidana padata hai?”

“Aapka dimag kharab hai?” Anil tanik rusth swar mein bola, “Bhandare mein kabhi paise liye jate hai kya? Ek ekdum free hai janab ! Chahe jitney log aaye, chahe jitna bhi khaye, Pet bhar ke! ‘Mata ka prashad hai ye. Ek baat batau?”

Wah tanik dheeme swar mein bola, “Bahut se log to isi lalach mein ghuse chale aate hai ki chalo, badhiya bhojan to milega.”

“Satsang ki taraf dhyan do” Tabhi ek sundar sa yuvak mere nikat se ujarte hue bola, “Please ! baate mat karo”

Meine uski peeth ghurte hue Anil ko poocha, “Ye banda kon hai bhaiya?”
“Inka naam….” Anil ekdum dheeme swar mein bola, “Sanjeev Gupta hai! ‘Devi Maa’ ke charno ka sevadar”


Part 8

 


Sanjeev Gupta do teen kadam age badhne ke baad teke. Unhone tanik ghumkar mere taraf apna rukh kiya.  Unke dono haath kshama yaachana ke mudra me jude the. Vishetha muskan ke saath unhone metri purn nigaho se meri taraf dekha. Unke chehre ke bhavo se lag raha tha, jese we keh rahe ho, mere baat ka bura laga toh mafi mangta hun.
Sanjeev Gupta me mujhe veshesh akarshan aur vyaktitva nazar aha raha tha. Unke chehre se atmavishwwash aur netrutva ke baav jhalak rahe the. Kise ko bhi apne aur akarshit kar lene ke chabi ne mujhe unka ek hi nazar me prashanksak bana deya.
Me unke nikat pahuncha.

“Sorry, Sanjeev bhaiya. Maine kshama bhare swar me kaha, darasal main yaha ke vatavaran ki ek-ek baat se parichit hona chahta tha, isliye Anil se kuch jankari hasil karna chahta tha…”

Mere baat puri bhi nahi hui the ke mere bagal se ek mahila gujari. Use teen char vayakteo ne gher rakha tha. wah tej kadmo se chalti hui sede sidhiyon ke taraf badhte chale ja rahi thi.

“Ye Reena Roy hai.” Sanjeev Gupta ne ekdum fusfusathe swar me kaha, “Film Star”. Pahchana.

Are, Haan. Me jese kahi kho gaya tha, “Theek kaha apne. Me soch raha tha, es mahila ka chehra jana pehchna kui lag raha hai.”

“Suniye, Bhagat ji.” Sanjeev Gupta atyant vyast swar me bole, “Devi maa ke bare me yaha ke Mata ke chowki, yaha anewale Shradhalu aur Devi Maa ke chamatkar ke bare me agar aap ko agar kuch janana hai toh kal samay nikal kar mere office me aayiye. Aap ne chamunda circle dekha hai.?”

Maine sehmati me sir hilaya.

“Chamunda circle par aap kisi se bhi Global Advertisers ke building puchiye.” Sanjeev Gupta gambhir swar me bole, “bade se kaanch ki building hai. Bahar ‘Pujya Devi Radhe Maa’ ka bada sa hoarding laga hai.

‘Ji’. Me Krutangyna swar me bola, “Me samay nikal kar kal ata hu.”

‘Apka Naam’. Unhone mere anko me zanka.

‘Bhagat’. Main muskuraya, “Abhi toh naam Bhagat hai. Darshano ke baad Devi Maa ka Bhagat ho jaunga.”

 “Achaa Laga. “Sanjeev Gupta ne mera kandha thap thapaya, “apka yaha ana acha laga. Aap kal aye. Fir main  aapko Devi Maa ke anekanek chamatkaro se avgat karta hun.”

“Thanks, Sir” maine haath jod kar pucha, “Mera number kab ayeaga”.

“Jab aap par Devi Maa ke kripa hoge”. Sanjeev Gupta shraddha bhare swar me bole, “Jab apki astha, apka vishvas,  apki antar-atma sachi bhavna se pukarenge, aap Devi Maa ke samne khade hoge.”

Wah jhatke se mude. Lambe ug bharte hui sidhiyon ki taraf badhe. Kuch sevadaro ne andar se unhe namaste ki.

“Chaliye, Bhagat je.” Ek savedar ne mujhe toka, “Age badh  jayiye. woh pillar ke paas khali jagah hai. wahan badhiye. Please.”

Main bheed me jagah banata hua pillar ke paas pahuncha. Ek vyakti ne tanik khisak kar mere leye jagah banayi. Safed kurta payjama aur safed pagdi bade hui sikh sampraday ka yuvak sa lagne wale aadmi ne ek udti drishti mere taraf dali aur fir Saajendo ke taraf dekhne laga jo bade sang hatho se ek dum perfect dhang se gayak ke sangat kar rahe the.
Meri drishti us par jam gayi.

Seek yuvak ne mere taraf muh ghumaya.

‘Aap Surendra ho na’. Maine harshit swar me poocha, “Laughter Challenge…… comedy show …aur …bahut se TV serial walon me maine apko dekha hai.

Usene muskurakar, sahmati me sir hilaya.

Wah. Kya baath hai. Maine apne pith khud thap thapye, lucky ho, Bhagat. Itne sare celebrities ke ek saath darshan ho gaye.

Ab toh Devi Maa ke darshan baki hai. Mere mann ke kisi kone se awaaj ayi, Tab apne aap ko lucky kahna putar.

“Jai Kara Radhe Shakti Maa, Mere gudiya jaise Devi Maa ka.”

Maine atyanth  bulund swar me uttar diya, “Bole sache darbar ki jai”

  



1 comment: