Mamtamai Shri Radhe Maa is a spiritual leader in India. Her teachings revolve around the need for surrender to God, and regular bhakti in the form of ritualistic worship and devotional chanting of the names of the Hindu deities Shiva and Devi
Be there! Invite friends, family and loved ones at the 12th Maa Bagwati Jagran & Divya Darshan of Mamtamai Shri Radhe Guru Maa ,
On March 3, 2015 at BEC Ground, Goregaon (East), Mumbai - 63.
Share the good news, NOW!
Note :-
To know more about Guru Maa’s teachings you may follow her on her account on Twitter and Facebook or log on towww.radhemaa.com. These social pages are handled by her devoted sevadars. To experience her divine grace, Bhakti Sandhyas and Shri Radhe Guru Maa Ji’s darshans are conducted every 15 days at Shri Radhe Maa Bhavan in Borivali, Mumbai. The darshans are free and open to everyone.
One may also volunteer to Mamtamai Shri Radhe Guru Maa’s ongoing social initiatives that include book donation drives, blood donation drives, heart checkup campaigns and financial support for various surgical procedures. Contact Shri Radhe Maa’s sevadar on +91 98200 82849 or email onadmin@radhemaa.comto participate in these charitable activities.
(Photo Courtesy – google.com)
To get latest updates about ‘Shri Radhe Guru Maa’ visit -
Param Shradhey Pujya 'Shri Radhe Shakti Maa' ko haazir naazir maan kar, jo kahunga – sach ke siva kuch nahi kahunga – Saral Kavi
“Shri Radhe Maa’ bhavan mein Mamtamai daya ki murat Pujya Shri Radhe Shakti Maa ke darshan ke liye lagi katar mein, main dheere dheere paudi paudi chadta hoon dusri manzil tak pahunch chukka tha.
Ek kone mein khade tandurast acche kad kadhi wale vyakti ko dekhkar maine ek haath uthakar dheere se ‘Jai Mata Di’ kaha. Usne snehyukt muskaan ke saath meri ‘Jai Mata Di’ ka uttar dia.
Wah lagbhag 45 saal ke aaspaas ki umar ka chamakte chehre wala vyakti tha. Uske gale mein Pujya Shri Radhe Shakti Maa’ ka photo wala parichay patr latak raha tha.
“Aapka parichay jaan sakta hoon?” maine maîtrepurn swar mein poocha.
“Aap ‘Devi Maa’ ke darshan ke liye kabse aa rahe hai?”, maine utsuk swar mein poocha.
“Maine to ‘Devi Maa’ ka tab se pujari hoon……”Avinash garvit swar mein bola, “Jabse ‘Devi Maa’ ji Punjab, Mukerian ke aashram mein the. Waha ‘Devi Maa’ ka bahut hi alishan mandir hai. Mukerian hi kyun, desh ke anek sheher mein inke aashram hai. Delhi mein, bahut hi bhavya Mandir hai. Yahan… jab se Mumbai mein ‘Devi Maa’ ne apna aasan lagaya hai, tab se main lagataar bina naaga aa raha hoon.”
“Kai baar ‘Devi Maa’ ka vishesh aadesh hota hai hai aur main dauda chala ata hoon”
“Accha…….?” Maine harsh aur hairani bhare swar mein poocha, “‘Devi Maa’vishesh aadesh se bhi bulati hai?”
“Haan” Avinash ekdum bhavuk ho uthe, “ Ek baar ‘Devi Maa’ ka sandesh mila, fauran Mumbai pohcho. Halaki main bahut busy schedule mein tha, magar’Devi Maa’ka adesh milte hi fauran flight pakad kar yahan pahuncha” Maine atyant dilchaspi se unki aap-beeti sun raha tha.
“ Devi Maa’ ne bulakar saamne bithaliya….” Avinash ne baat aage badhai, “Unhone bataya ki aaj se Saat – aath saal pehle unka ek bhakt apne pariwar ke saath darshan ke liye aaya tha. Us bhakt ke saath ek bahut hi pyaari bholi si ladki thi jo unki beti thi. ‘Devi Maa’ ne us bhakt ko vachan dia ki is kanya ki shaadi ve swayam karegi. Wah bhakt apni rozi-roti ki talash mein Assam chala tha. Apne karobaar mein vyast rehne laga. Uski beti shaadi layak ho gayi. Us bhakt ne apni beti ki shaadi tay kar di. Tarikh bhi nishchit ho gayi. Magar wah bhakt ‘Devi Maa’ ki kahi baat ko bhool gaya. Magar ‘Devi Maa’ toh antaryami hai. Apne bhakton ki haar baat ko janti hai. Unhone kaha, Avinash, mere us bhakt ki beti ki issi hafte shaadi hai aur tumhe jaakar shaadi ka saara intejaam karna hai. Bhagat ji, ‘Devi Maa’ ne dulhan ke liye shaadi ka joda, dulhe ke vastra tatha anek saaman mujhe sope aur kaha ki shaadi ka pura intejaam acche se hona chahiye.”
“waah SSSS waah “, mera mooh hairani se khula reh gaya. Main awaak Avinash ki taraf taak raha tha.
“Bhagat ji……….” Avinash shradha bhare swar mein bola, “ Main ‘Devi Maa’ ka aadesh aur shaadi ka saara saaman lekar Assam pahuncha”
“Wah bhakt to hairani se paagal ho gaya. ‘Devi Maa’ ki kripa, daya dekhkar uska pura pariwaar khushi ke aasu bahane laga aur ‘Devi Maa’ ko laakhon duwaye dene laga. Main wahan Shaadi tak raha. ‘Devi Maa’ ki assim krupa se inti shaandaar shai hui ki pooch mat. Shaadi ki pure gaon mein charcha ho rahi thi.”
“Jai ho ‘Devi Maa’” Maine shradhaa se haath jode, “ Isse kehte hai Maa ki mamta”
“Shaadi ke baad us bhakt ka pura pariwar ..”, Avinash Verma bhauk swar mein bola, “Apne samdhiyon ke saath yahan ‘Devi Maa’ ke darshno ke liye aaya”
“Kisi ne sach hi kaha hai….” Main apna gyan badharne laga, “ Bacche aksar Maaon ko bhool jate hai, magar Maaye apne baccho ki har bhul-galti ko bhoolakar sada unpar Mamta ki barsaat karti hai”
Note -
Dear all, thanks for your overwhelming response, we will be sharing your experience with all the devotees of 'Shri Radhe Maa' very soon.
If you also wish to share your experience with all the devotees of 'Devi Maa' you can email us on sanjeev@globaladvertisers.in, we will get it published.
Note – Priya ‘Devi Maa’ ke bhakto ‘Maa ki leelaye hum nirantar shrunkhala badh prasarit kar rahe hai. Ismein humne ‘Devi Maa’ ke sanidya mein aane wale bhakto ke anubhav ko kalambadha kia hai. ‘Maa ki Leelaye’ aapko kaisi lag rahi hai, Iske bare mein apni rai, apni samiksha, apna sujhav, hame nimn email par bhej sakte hai..
Aap agar apne anubhav, ‘Devi Maa’ ke apne saath hue chamatkar ko sabke saath baatna chahte hai to hum aapke naam aur pate ke saath ise pesh karenge. Aap agar chahenge to naam pata jahir nahi karenge aapnki bahumulya pratikriya ke pratiksha mein…
Param Shradhey Pujya 'Shri Radhe Shakti Maa' ko haazir naazir maan kar, jo kahunga – sach ke siva kuch nahi kahunga – Saral Kavi
Main ek sidhi aur upar chad gaya. Jaise jaise main paanchvi manjhil
ke karib pahunch raha tha, mere mann mein ajib si khushi, vyagrata aur aanand
ki mili juli lehar daudne lagi thi. Sidhiyon mein ek chote se chakor sthan par
biche hare rang ke carpet par baithe ek vyakti ne fauran apni note-bookband ki aur furti se uthkar mere aage pankti
mein ghus gaya.
Uski umar lagbhag pachaas ke karib thi, lamba slat color ka
kurta, sir ke baal garden tak jhul rahe the. Chehre par kuch sochne ke bhav.
“Jai Mata Di” maine parichay janane ki ichha se vartalabh
shuru kia, “Aapka naam jaan sakta hoon mitravar?”
Usne tanik garden meri taraf ghumai. Uski khoi khoi si
aakhon mein kuch toh tha jisne mujhe uske prati sahanbhuti dikhane ko majboor
kia.
“Suniye mitravar” Usne meri tone mein uttar dia, “Aaya hoon
Ullasnagar se, Paanch bhaje nikala tha ghar se,Khub jor se pani barase,Bheeg
gaya niche-upar se,Phir bhi bina chinta fikr se, Ho gaya mera yahan tak aana,
maksad, ‘Devi Maa’ ke darshan pana, kam hai mera Fruit ka thela lagaana, shuak
hai mera likhana- gana, naam hai mera Vishwanath Mastana!”
“wah wah” Maine harshbharit halki hasi ke saath kaha, “kya
shayari bhare andaaz mein parichay dia hai! kya baat hai”
“Baat to sirf ‘Radhe Shakti Maa’ ki hai” wah darshnik andaaz
mein bola, “Hum to bhai, murkh insaan hai, buraiyon ki khan hai, sacchi baat se
anjaan hai, har jagah par baimaan hai, n hamara deen hai na imaan hai, apne
swaarth ki pahchan hai, isiliye pareshan hai. Ye toh ‘Shri Radhe Shakti Maa’
meherbaan hai, jo rakhti hamara dhyaan hai, de detivardaan hai, ye Vishwanath mangane aaya
charno mein sthaan hai”
“Bahut khub” main prashansatmak swar mein bola, “ kuch aur
batao apne bare mein, Mastana ji”
“Bachpan mera garibi mein beeta” Mastana Vishwanath phir
shuru ho gaya, “Likhai-padhai puri nahi ho paai, ek jhopdi mein umar bitaai,
budhe mere baap aur bhai, garibi aur aabhav mein aisi maar lagai, zindagi abhi
tak sambhal na paai, ek fruit ke dukaan par naukri karta tha, Raat- din marata
tha, phir bhi paapi pet pura nahi bharata tha, Apne nasib ko kossa karta tha,
Aankhon se pani bharta tha. Dar dar ki thoakron se kuch n kuch sikhane lagaa,
bas issi liye kavitaaye likhne laga”
“thik keh rahe ho”, maine garden hilayi, “Jab bhitaar bahut
kuch ekhatta hokar bahar nikalne ko machalta hai, tabhi aadmi shayari karta hai”
“Ekdum sahi farmaya bhai” Vishwanath Mastana ka swar bhari
ho gaya, “Mujhe Jahan bhi kisine bataya, Main jane laga, Mandir, Masjid,
Dargah, Peer fakir sabhi ko shish jhukaane laga, kabhi toh din firenge apne aap
ko samjhane laga, lekin apni mehnat se kabhi muh nahi toda, fruit ki dukaan par
naukri karna nahi choda, kyonki agar naukri nahi karta toh kaha jata? Kya peeta
kya khaata?”
Vishwanath Mastana apne dil ka dard jaise aaj hi sunane ko
betaab tha, “ Phir ek din kayamat hui, ek
‘Devi Maa’ ke bhakt se mulakaat hui
usse ‘Shri Radhe Maa’ bhavan mein ho rahi chowki ki baat hui, main yaha aane
laga toh ‘Devi Maa’ ki rehmat ki barsaat hui. Dukh ki raat gayi, sukh ki
prabhaat hui, mera mukadarr muskuraane laga, ‘Devi Maa’ ne daya drushti aisi
ki, maine naukri chod di, aur apna fruit ka thela lagaane laga”
“Majha aa gaya” Maine muskurate hue kaha,”Ismein Tumhari
Shraddha aur tumhara vishwaas, tumhari lagan bhi toh mili hui hai”
“Bhai Sahab, Shraddha, Vishwaas aur lagan ka hi toh saara
khel hai, varna har cheez fail hai” Mastana gambhir swar mein bole, “ Main
aatut vishwaas aur bhavana ke saath yahan aata hoon, apni baat ‘Devi Maa’ tak pahuchata hoon aur phir nishchint ho jata hoon. Yah bhi ‘Radhe
Shakti Maa’ ka hi toh pratap hai, aaj ekdum sukhi mere Maa-baap hai, tuti-futi jhoopadi
ko pakka bana liya hai, bijli aur jal lagwa lia hai, jo bhi chaha yahan se paya
hai, tangi aur musibaton se nijaat paai hai. Aaram se ghar gruhasthi chal rahi
hai, magar umar bhi dhal rahi hai”
Phir Vishwanath
Mastana ka swar dravit ho utha, “Ab toh bas ek hi ardaas lagaane aaya hoon!
Bitiya sayani ho gayi hai, uski kahin shaadi lagan ho jaaye, yah var pane aaya
hoon. ‘Devi Maa’ toh antaaryami hai. Meri muraad jaroor puri karne wali hai.
Meri jholi bharane wali hai. Main issi vishwaas aur yakin se keh sakta hoon ki ‘Radhe
Shakti Maa’ apna jalwa dikhlaayegi, meri haalat par taras khayegi, aur ismein
sanshay bhi nahi hai ki who ghadi shigrah hi aayegi. Meri beetiya ki shaadi
jaldi se jaldi ho jaayegi. Sabka banati bighade kaam hai, ‘Radhe Shakti Maa’ ko
pranaam hai"
Main nat mastak hokar uski ardaas jald puri hone ki
prarthana karne laga.
(To be continue..)
Note – Priya
‘Devi Maa’ ke bhakto ‘Maa ki leelaye hum nirantar shrunkhala badh
prasarit kar rahe hai. Ismein humne ‘Devi Maa’ ke sanidya mein aane
wale bhakto ke anubhav ko kalambadha kia hai. ‘Maa ki Leelaye’ aapko
kaisi lag rahi hai, Iske bare mein apni rai, apni samiksha, apna
sujhav, hame nimn email par bhej sakte hai..
Aap
agar apne anubhav, ‘Devi Maa’ ke apne saath hue chamatkar ko sabke
saath baatna chahte hai to hum aapke naam aur pate ke saath ise pesh
karenge. Aap agar chahenge to naam pata jahir nahi karenge aapnki
bahumulya pratikriya ke pratiksha mein…
Note - प्रिय
'देवी माँ' के भक्तो 'माँ की लीलाए' हम निरंतर शृंखलाबंध प्रस्तारित
कर रहे हैं | इसमें हमने 'देवी माँ' के सानिध्य में आने वाले भक्तों के
अनुभव को कलमबदध किया हैं | 'माँ की लीलाये' आप को कैसी लगी रही हैं
इस बारे मैं आप अपनी राय, अपनी समीक्षा, अपना सुझाव हमें निम्न इ-मेल
पर भेज सकते हैं |
आप
अगर अपने अनुभव, 'देवी माँ' के अपने साथ हुए चमत्कार को सबके साथ
बाटना चाहते हैं, तो हम आपके नाम और पते के साथ इसे पेश करेंगे | आप
चाहेंगे तो नाम पता जाहिर नहीं करेंगे आपकी बहुमूल्य प्रतिक्रिया की
प्रतीक्षा में -