Wednesday, September 28, 2011

'Shri Radhe Maa' ki Leelaye - Part 21



  Param Shradhey Pujya 'Shri Radhe Shakti Maa' ko haazir naazir maan kar, jo kahunga – sach ke siva kuch nahi kahunga – Saral Kavi
 
 
“Shri Radhe Maa’ bhavan mein Mamtamai daya ki murat Pujya Shri Radhe Shakti Maa ke darshan ke liye lagi katar mein, main dheere dheere paudi paudi chadta hoon dusri manzil tak pahunch chukka tha.

Ek kone mein khade tandurast acche kad kadhi wale vyakti ko dekhkar maine ek haath uthakar dheere se ‘Jai Mata Di’ kaha. Usne snehyukt muskaan ke saath meri ‘Jai Mata Di’ ka uttar dia.

Wah lagbhag 45 saal ke aaspaas ki umar ka chamakte chehre wala vyakti tha. Uske gale mein Pujya Shri Radhe Shakti Maa’ ka photo wala parichay patr latak raha tha.
“Aapka parichay jaan sakta hoon?” maine maĆ®trepurn swar mein poocha.

“Avinash…..”, waha Punjabi lahje mein bola, “Avinash Verma, Ludhiana se aaya hoon”
“Avinash Ji….” Maine haath aage badhaya, “Mera naam Bhagat hai. Aapka vyaktitva dekhkar mera mann kia ki main aapse koi baat karu”

“Zaroor karo….” Wah garm joshi se haath milate hue bola, “kya baat karenge?”

“Aap ‘Devi Maa’ ke darshan ke liye kabse aa rahe hai?”, maine utsuk swar mein poocha.
“Maine to ‘Devi Maa’ ka tab se pujari hoon……”Avinash garvit swar mein bola, “Jabse ‘Devi Maa’ ji Punjab, Mukerian ke aashram mein the. Waha ‘Devi Maa’ ka bahut hi alishan mandir hai. Mukerian hi kyun, desh ke anek sheher mein inke aashram hai. Delhi mein, bahut hi bhavya Mandir hai.  Yahan… jab se Mumbai mein ‘Devi Maa’ ne apna aasan lagaya hai, tab se main lagataar bina naaga aa raha hoon.”


“Kai baar ‘Devi Maa’ ka vishesh aadesh hota hai hai aur main dauda chala ata hoon”
“Accha…….?” Maine harsh aur hairani bhare swar mein poocha, “‘Devi Maa’vishesh aadesh se bhi bulati hai?”

“Haan” Avinash ekdum bhavuk ho uthe, “ Ek baar ‘Devi Maa’ ka sandesh mila, fauran Mumbai pohcho. Halaki main bahut busy schedule mein tha, magar’Devi Maa’  ka adesh milte hi fauran flight pakad kar yahan pahuncha” Maine atyant dilchaspi se unki aap-beeti sun raha tha.

“ Devi Maa’ ne bulakar saamne bithaliya….” Avinash ne baat aage badhai, “Unhone bataya ki aaj se Saat – aath saal pehle unka ek bhakt apne pariwar ke saath darshan ke liye aaya tha. Us bhakt ke saath ek bahut hi pyaari bholi si ladki thi jo unki beti thi. ‘Devi Maa’ ne us bhakt ko vachan dia ki is kanya ki shaadi ve swayam karegi. Wah bhakt apni rozi-roti ki talash mein Assam chala tha. Apne karobaar mein vyast rehne laga. Uski beti shaadi layak ho gayi. Us bhakt ne apni beti ki shaadi tay kar di. Tarikh bhi nishchit ho gayi. Magar wah bhakt ‘Devi Maa’  ki kahi baat ko bhool gaya. Magar ‘Devi Maa’ toh antaryami hai. Apne bhakton ki haar baat ko janti hai. Unhone kaha, Avinash, mere us bhakt ki beti ki issi hafte shaadi hai aur tumhe jaakar shaadi ka saara intejaam karna hai. Bhagat ji, ‘Devi Maa’ ne dulhan ke liye shaadi ka joda, dulhe ke vastra tatha anek saaman mujhe sope aur kaha ki shaadi ka pura intejaam acche se hona chahiye.”

“waah SSSS waah “, mera mooh hairani se khula reh gaya. Main awaak Avinash ki taraf taak raha tha.

“Bhagat ji……….” Avinash shradha bhare swar mein bola, “ Main ‘Devi Maa’ ka aadesh aur shaadi ka saara saaman lekar Assam pahuncha” 

“Wah bhakt to hairani se paagal ho gaya. ‘Devi Maa’ ki kripa, daya dekhkar uska pura pariwaar khushi ke aasu bahane laga aur ‘Devi Maa’ ko laakhon duwaye dene laga. Main wahan Shaadi tak raha. ‘Devi Maa’ ki assim krupa se inti shaandaar shai hui ki pooch mat. Shaadi ki pure gaon mein charcha ho rahi thi.”

“Jai ho ‘Devi Maa’” Maine shradhaa se haath jode, “ Isse kehte hai Maa ki mamta”
“Shaadi ke baad us bhakt ka pura pariwar ..”, Avinash Verma bhauk swar mein bola, “Apne samdhiyon ke saath yahan ‘Devi Maa’ ke darshno ke liye aaya”

“Kisi ne sach hi kaha hai….” Main apna gyan badharne laga, “ Bacche aksar Maaon ko bhool jate hai, magar Maaye apne baccho ki har bhul-galti ko bhoolakar sada unpar Mamta ki barsaat karti hai”



Note - 
Dear all, thanks for your overwhelming response, we will be sharing your experience with all the devotees of 'Shri Radhe Maa' very soon. 

If you also wish to share your experience with all the devotees of 'Devi Maa' you can email us on sanjeev@globaladvertisers.in, we will get it published.


Note – Priya ‘Devi Maa’ ke bhakto ‘Maa ki leelaye hum nirantar shrunkhala badh prasarit kar rahe hai. Ismein humne ‘Devi Maa’ ke sanidya mein aane wale bhakto ke anubhav ko kalambadha kia hai. ‘Maa ki Leelaye’ aapko kaisi lag rahi hai, Iske bare mein apni rai, apni samiksha, apna sujhav, hame nimn  email par bhej sakte hai..
Aap agar apne anubhav, ‘Devi Maa’ ke apne saath hue chamatkar ko sabke saath baatna chahte hai to hum aapke naam  aur pate ke saath ise pesh karenge. Aap agar chahenge to naam pata jahir nahi karenge aapnki bahumulya pratikriya ke pratiksha mein…
Sanjeev Gupta
Email – sanjeev@globaladvertisers.in





No comments:

Post a Comment