Thursday, September 22, 2011

'Shri Radhe Maa' ki Leelaye - Antara Jassu

 Param Shradhey Pujya 'Shri Radhe Shakti Maa' ko haazir naazir maan kar, jo kahunga – sach ke siva kuch nahi kahunga – Saral Kavi

Naam Antara Jessu
Umar ekkis varsh
Niwasi Charkop

June 2011 ko usne Jogeshwari west sthit H. K. Khan College of Commerce mein B. Pharma ka antim paper dia. Apne college mein acche padhne wale bacchon mein uska naam best of ten mein gina jata tha. Antara Jessune B. pharma complete karne ke liye raat din datt kar mehnat kit hi. B. Pharma ke baad usne M. Pharma karne ke liye US jane ki do saal pehle hi than lit hi. Apni padhai ke saath usne American University mein dakhale hetu do saal pehle se taiyaari shuru kar di thi. Is baabat wah internet par aur kai consultancy mein jankari hasil karti rahi.



America mein padhai ke liye kuch exams paas karne the, jinmein G. R. E aur top ten jaise kuch atyant kathin exam bhi dene hote hai. Antara Jessu ko chunki apne bhavishya ke sapne ko saakar karna tha, so usne apne marsak prayaas jari rakhe aur GRE mein acche ankon ki prapti hui. Top ten bhi badhiya raha. Jaise hi usne B. Pharma se fursat payi, wah anya prayaas mein jut gayi. Usne America sthit alag-alag university ke pravesh form bharne shuru kiye. Ek-ek college ka form bharane ke liye hazaaron rupeyonki jaroorat hoti thi. Iske liye usne borivali sthit ek consultancy ki maddat li jiske liye acche acchi khaasi rakkam ada karni padi. Alag-alag form bhare, unhe apne documents courier se bhejne tatha uske baad yaahan waahan se documents ekatte kanre unhe Xerox karwane adi ke liye bhi bharpur rakkam kharch karni padi. 

June aur aadhe July mahine ki bharpur mehnat ke baad ab Antara Jessu is intazaar mein baichen thi ki usse America ke kis area ki kis University mein se sanction letter ayega. Raat Din ki internet checking aur bhari interjaar ke baad akhir use ek, New York ki ‘Long Island University’ se sanction letter aa hi gaya.


Antara Jessu ne murjhaye chehre par ekaek  chamak dikhai dene lagi. ‘Long Island University’ New York ki ek highfy aur bahot vishal prachin university hai. Uski aupcharikata puri karne mein 15 din aur dher saare American dollar kharch hue. Lekin khair. Antara Jessu ka admission letter mein likhi do saal ke tamaam kharchon ko dekhkar Antara Jessu ke pariwar mein chinta ke badaal cha gaye.
Hakikat mein Antara Jessu ke abhibhawak ek sadharan income se apna pariwar chala rahe the. Ghar mein charcha shuru hui ki rakkam ka kya hoga. Phir education loan ke liye prayas chalu ho gaya. Ek bank se dusre bank mein bhagate-daudate thakaan shuru ho gayi, lekin, education loan dene wale bank mein baithe adhikari logo ki khaam kha ki khajjal khari se Antara Jessu ka pariwala pareshan aur hatash hone laga. Udhar ek September mein college shuru ho rahe the aur idhar bank wale kabhi kal aao toh kabhi parso aao ki goli dekaar samaya barbaad kar rahe the. Yah July ka antim saptah tha. Sirf ek mahine ka samay baki tha. Aur abhi tak loan ka kuch nahi bana tha jabki ek bahut badi samasya ka samna hona ho abhi baki tha. 

American embassy se visa lena koi assan kam nahi tha. Uske liye dher saare kaagjaat chahiye the. 

Maah July ki antim tarikh. Antara Jessu pareshan halat mein apne pariwar ke saath ‘Shri Radhe Maa Bhavan’ mein shaniwar ki raat ‘Shri Radhe Shakti Maa’ ki sharan pohoch gayi. ‘Radhe Maa’ ki gufa mein Antara Jessu  ne ‘Devi Maa ki taraf jhanka toh uski aankon mein aasu jaise abhi tapak jane wale the. ‘Shri Radhe Shakti Maa' ne bharpur daya ki drishti us par daali. Apne dahine haath mein pakada trishul unhone haule se Antara Jessu ke sir se chua dia. Aise laga jaise Antara Jessu ke din phir gaye.

Uske baad ekaek ghatnakram teji se ghumne laga. Agle din raviwar ki subah Long Iceland University se ek bada sa courier lifafa aaya. Is lifafe mein i-20 tha. Yani ki visa lagne ke liye jaroori patr. Shyam ko ek bank ke adhikari ka phone aaya jisne somwar ko bank mein bulaya tha. Apne tamam kaagjaat aur I20 leker Antara Jessu somwar yani August ki pehli saptah mein Bank adhikari se mili.

Budhwar ko Antara Jessu ko bank se ek patr mila jismein usse bataya gaya ki uska bank loan sweekrut kia ja chukka hai. Budhwaar ko hi usne H.D.F.C. bank se visa apply ki fees bhari. Gurwar ko usne online visa form bharkar ‘interview date' li. Agali shukrawar ko Antara Jessu American embassy mein visa interview ke liye upsathith thi. 
Antara Jessu ‘interview ke samaya itni nervous thi ki uske haath buri tarah se kaap rahe the aur wah apni file bhi badi mushkil se sambhal paa rahi thi. Uske mann mein unke sawal umar mit rahe the. Lekin Antara Jessu ko jaise eka-ek abhaas husa ki uske sir ko ‘Shri Radhe Shakti Maa’ wah trishul abhi bhi chu raha hai. ‘Devi Maa’ ki krupa. Antara Jessu ko visa milne mein teen minute ka waqt bhi nahi laga. Embassy se bahaar aate laga jaise Antara Jessu hawa mein ud rahi thi.
Dusare din bank adhikari ne suchit kia ki wah teen din baad kabhi bhi loan cheque le sakti hai.
Aap sabhi Mata ke bhakton ko Antara Jessu ki yah kahani isliye suna raha hoon, kyonki mein uske pariwar ka ek sadyas hoon. ‘Shri Radhe Shakti Maa’ se sirf 15 din mein kitne? Sirf 15 din mein university ke I20 ka letter ana, das din mein loan paas hokar mil jana barah din visa lagjana aur agle 15 din shaniwar ki chowki mein ab Antara Jessu ‘Devi Maa' ke charno mein gayi toh yah batane keliye ki wah 19 August ki raat ki flight pakad ka New York ja rahi hai. Aap ke ashirwad se. 

Bhaktjano. Antara Jessu 21 August ko New York pohoch gayi apni M. Pharma ki padhai complete karne ke liye.

Antara Jessu ka sandesh : Jaise ‘Shri Radhe Shakti Maa’ ne sirf pandrah mere tammam karya sidh kiye aap sabhi ke bhi sabhi spane saakar ho. Shart lekin yah hai ki aapka Vishwaas atut ho, aapki astha prabal ho apni bhavana shudh ho. JAI SHRI RADHE SHAKTI MAA.

Note - 
Dear all, thanks for your overwhelming response, we will be sharing your experience with all the devotees of 'Shri Radhe Maa' very soon. 

If you also wish to share your experience with all the devotees of 'Devi Maa' you can email us on sanjeev@globaladvertisers.in, we will get it published.


Note – Priya ‘Devi Maa’ ke bhakto ‘Maa ki leelaye hum nirantar shrunkhala badh prasarit kar rahe hai. Ismein humne ‘Devi Maa’ ke sanidya mein aane wale bhakto ke anubhav ko kalambadha kia hai. ‘Maa ki Leelaye’ aapko kaisi lag rahi hai, Iske bare mein apni rai, apni samiksha, apna sujhav, hame nimn  email par bhej sakte hai..
Aap agar apne anubhav, ‘Devi Maa’ ke apne saath hue chamatkar ko sabke saath baatna chahte hai to hum aapke naam  aur pate ke saath ise pesh karenge. Aap agar chahenge to naam pata jahir nahi karenge aapnki bahumulya pratikriya ke pratiksha mein…
Sanjeev Gupta
Email – sanjeev@globaladvertisers.in



No comments:

Post a Comment