Monday, September 5, 2011

'Radhe Shakti Maa' ki Leelaye - Part 19



 Param Shradhey Pujya 'Shri Radhe Shakti Maa' ko haazir naazir maan kar, jo kahunga – sach ke siva kuch nahi kahunga – Saral Kavi

Ekaek mujhe joron se bhook satane lagi. Halaki main sidhe teen mala par jakar bhandara le sakta tha parantu maine nischit kia ki pehle ‘Shri Radhe Shakti Maa’ ke darshan kar unka ashirwad lunga, phir bhandare se prashad grahan karunga.

Main first floor pe sthit waiting hall se nikal kar sidhiyon ki taraf badha. Waha maujud darshno ki kataar mein khade bhakton ne jor se jaikara lagaya. Maine upar jane ke liye jaise hi sidhi ke taraf kadam badhaye, laal dress pehne ek mahila sevadaar ne haath jodkar vinamr swar mein kaha, “Jai Mata Di, Bhagat ji! Krupaya line se aaiye.

Line me khade ek darshnarthi ne tanik aage sarak kar mere liye jagah banai. Main swayam ko line mein adjust kia. Halaki mere piche khade adhe se vyakti ke chehre par kadwahat ke bhav prakat hue magar maine jaise hi kshama-yachana ki drishti se unki taraf dekha, usne mera kandha thapthapakar ‘jane do’ jaisi ada se haath jhatka.

“aap kahan se aaye hai, malik?” maine aage khade sajjan se poocha.

Rajouri Garden …” usne meri taraf gardan ghumai.. “Delhi se… aur aap?”

“main yahi se hoon….” Maine haskar kaha, “aap kab aaye Delhi se?”

“aaj hi aaya hoon…” wah vyast swar mein bole, “aur subah jaldi ke flight se wapis jana hai ! ‘Devi Maa’ ke darshan karna hi mera khaas kam hai, jiske liye aaya hoon”

“Aap ka naam jaan sakta hoon?” maine sahaj bhav se poocha.

“ Rajiv Bansal !” usne ek sidhi upar chadhte hue kaha, “ Thekedari karta hoon ! sach poochoge toh main aaj jo bhi hoon, ‘Devi Maa’ ke badolat hi hoon”

Main bhi ek sidhi aage badha.

“aaj se das saal pehle main kuch bhi nahi tha. Maa-baap ne shaadi kar di. Ek kapde ki dukan par sirf terah sau (1300) mahine ke naukri karta tha. Ghar ka kharcha badi mushkil se chalta tha. Upar se kiraye ke makan mein rehte the.  Makan kya? Ek kamara keh lo, ussi mein kitchen, bathroom aur bedroom. Mere Maa-baap palang par sote the, hum niche gadda bichate the. Tangi aur abhav se ghire jaise taise jindagi ghisat rahe the. Phir mujhe ek banda Delhi mein sthit ‘Radhe Maa’ ke bhavan mein le gaya. Maine waha ‘Devi Maa’ se apni kangali se chutkara pane ki guhar ki. Teen – Chaar mahine tak main lagataar ‘Shri Radhe Maa’ bhavan jata raha.”

Rajiv Bansal bhavuk ho utha.

“Mera kiraye ka room bahut hi khasta haal mein tha. ? polyester  tut tut kar gir raha tha. Farsh mein jagah jagah gadde the. Maine makan malik se murammat karwane ke liye baarbaar minnat ki. Ek raat mein ‘Devi Maa’ bhavan mein jaakar rone laga. Maine ‘Devi Maa’ se ek hi prarthana ki, Maa mujhe raasta dikhao, Subah utha toh makan malik aaya. Usne kaha ki uske paas time nahi hai, main swayam hi room ki marammat karwa loon, jo kharcha ayega Makan malik mujhe de dega. Yahi turning point tha. ‘Devi Maa’ ne meri prarthana Kabul ki. Maine dukan se teen din ki chutti li. Ghar repairing ka material ekkata kia aur mistri bulakar le aaya. Labor ki jagah main khud hi kaam kar raha tha. Maine is prakar majduri ki dihadi bachane ki bhi sochi. Maine badi tabiyaat se room ki tut-fut thik ki. Mere padosi ne jab kaam dekha toh bola, ‘Yaar, mere room ki bhi muramat karni hai. Maine material, mistri ki dihadi aadi ka budget banaya aur fir apni bachat jodkar usse budget dia. Vah maan gaya. Uske baad galli mein paanch- saat makano ki maramat ka kaam mila. Mere kaam ki taarif hone lagi. Maine kapde ki dukaan wali naukri chod di. Main niyamit roop  se Dehli wale ‘Radhe Maa’ Bhavan mein jaakar haajri lagatha tha. ‘Devi Maa’ ki aasim – aapar krupa drishti hui. Maine thekedaar ban gaya. Pehle marammat ka kaam milta tha. Ab anye makaan aur kothi nirman ka kaam bhi milne laga. Main Pujya Shri Radhe Shakti Maa ka baar- baar dhanywad karta hoon. Unki meherbani hui. Aaj Delhi  mein jagah jagah projects chal rahe hai. Kabhi is site par toh kabhi us site par bhagna padta hai. Lekin phir bhi …..” Rajiv Bansal ne, “Phir bhi” par jor dia. “Phir bhi yahan niyamit roop se Maa ki haajri mein aata hoon. Kitna bhi busy schedule kyun na ho, dopehar ki flight pakadta hoon. Yaha aata hoon, ‘Devi Maa’ ke darshan prapt karta hoon, aur subah ki jaldi wali flight se wapis Delhi laut jata hoon. ‘Devi Maa’ ka abhari hoon, Bhaisahab, sab kuch mil gaya hai. Ab to ek hi tammana hai, Tute chahe saara jag tute, ‘Devi Maa’ ka dwar na tute”

Rajiv Bansal ekdum vibhor bhav se taali bajakar ‘Shri Radhe Maa’ ka naam jap raha tha. Uske dheeme dheeme gane ki awaaz mere kano mein mishri ghol rahi thi.

Ek – do karke hamari kataar nirantar sidhiya chadhte hue aage badh rahi thi. Hum Dusri Manjil pahunche…

(To Be continue…)

by Saral Kavi
Note – Priya ‘Devi Maa’ ke bhakto ‘Maa ki leelaye hum nirantar shrunkhala badh prasarit kar rahe hai. Ismein humne ‘Devi Maa’ ke sanidya mein aane wale bhakto ke anubhav ko kalambadha kia hai. ‘Maa ki Leelaye’ aapko kaisi lag rahi hai, Iske bare mein apni rai, apni samiksha, apna sujhav, hame nimn  email par bhej sakte hai..
Aap agar apne anubhav, ‘Devi Maa’ ke apne saath hue chamatkar ko sabke saath baatna chahte hai to hum aapke naam  aur pate ke saath ise pesh karenge. Aap agar chahenge to naam pata jahir nahi karenge aapnki bahumulya pratikriya ke pratiksha mein…
Sanjeev Gupta
Email – sanjeev@globaladvertisers.in


No comments:

Post a Comment