Wednesday, September 28, 2011

'Shri Radhe Maa' ki Leelaye - Part 21



  Param Shradhey Pujya 'Shri Radhe Shakti Maa' ko haazir naazir maan kar, jo kahunga – sach ke siva kuch nahi kahunga – Saral Kavi
 
 
“Shri Radhe Maa’ bhavan mein Mamtamai daya ki murat Pujya Shri Radhe Shakti Maa ke darshan ke liye lagi katar mein, main dheere dheere paudi paudi chadta hoon dusri manzil tak pahunch chukka tha.

Ek kone mein khade tandurast acche kad kadhi wale vyakti ko dekhkar maine ek haath uthakar dheere se ‘Jai Mata Di’ kaha. Usne snehyukt muskaan ke saath meri ‘Jai Mata Di’ ka uttar dia.

Wah lagbhag 45 saal ke aaspaas ki umar ka chamakte chehre wala vyakti tha. Uske gale mein Pujya Shri Radhe Shakti Maa’ ka photo wala parichay patr latak raha tha.
“Aapka parichay jaan sakta hoon?” maine maîtrepurn swar mein poocha.

“Avinash…..”, waha Punjabi lahje mein bola, “Avinash Verma, Ludhiana se aaya hoon”
“Avinash Ji….” Maine haath aage badhaya, “Mera naam Bhagat hai. Aapka vyaktitva dekhkar mera mann kia ki main aapse koi baat karu”

“Zaroor karo….” Wah garm joshi se haath milate hue bola, “kya baat karenge?”

“Aap ‘Devi Maa’ ke darshan ke liye kabse aa rahe hai?”, maine utsuk swar mein poocha.
“Maine to ‘Devi Maa’ ka tab se pujari hoon……”Avinash garvit swar mein bola, “Jabse ‘Devi Maa’ ji Punjab, Mukerian ke aashram mein the. Waha ‘Devi Maa’ ka bahut hi alishan mandir hai. Mukerian hi kyun, desh ke anek sheher mein inke aashram hai. Delhi mein, bahut hi bhavya Mandir hai.  Yahan… jab se Mumbai mein ‘Devi Maa’ ne apna aasan lagaya hai, tab se main lagataar bina naaga aa raha hoon.”


“Kai baar ‘Devi Maa’ ka vishesh aadesh hota hai hai aur main dauda chala ata hoon”
“Accha…….?” Maine harsh aur hairani bhare swar mein poocha, “‘Devi Maa’vishesh aadesh se bhi bulati hai?”

“Haan” Avinash ekdum bhavuk ho uthe, “ Ek baar ‘Devi Maa’ ka sandesh mila, fauran Mumbai pohcho. Halaki main bahut busy schedule mein tha, magar’Devi Maa’  ka adesh milte hi fauran flight pakad kar yahan pahuncha” Maine atyant dilchaspi se unki aap-beeti sun raha tha.

“ Devi Maa’ ne bulakar saamne bithaliya….” Avinash ne baat aage badhai, “Unhone bataya ki aaj se Saat – aath saal pehle unka ek bhakt apne pariwar ke saath darshan ke liye aaya tha. Us bhakt ke saath ek bahut hi pyaari bholi si ladki thi jo unki beti thi. ‘Devi Maa’ ne us bhakt ko vachan dia ki is kanya ki shaadi ve swayam karegi. Wah bhakt apni rozi-roti ki talash mein Assam chala tha. Apne karobaar mein vyast rehne laga. Uski beti shaadi layak ho gayi. Us bhakt ne apni beti ki shaadi tay kar di. Tarikh bhi nishchit ho gayi. Magar wah bhakt ‘Devi Maa’  ki kahi baat ko bhool gaya. Magar ‘Devi Maa’ toh antaryami hai. Apne bhakton ki haar baat ko janti hai. Unhone kaha, Avinash, mere us bhakt ki beti ki issi hafte shaadi hai aur tumhe jaakar shaadi ka saara intejaam karna hai. Bhagat ji, ‘Devi Maa’ ne dulhan ke liye shaadi ka joda, dulhe ke vastra tatha anek saaman mujhe sope aur kaha ki shaadi ka pura intejaam acche se hona chahiye.”

“waah SSSS waah “, mera mooh hairani se khula reh gaya. Main awaak Avinash ki taraf taak raha tha.

“Bhagat ji……….” Avinash shradha bhare swar mein bola, “ Main ‘Devi Maa’ ka aadesh aur shaadi ka saara saaman lekar Assam pahuncha” 

“Wah bhakt to hairani se paagal ho gaya. ‘Devi Maa’ ki kripa, daya dekhkar uska pura pariwaar khushi ke aasu bahane laga aur ‘Devi Maa’ ko laakhon duwaye dene laga. Main wahan Shaadi tak raha. ‘Devi Maa’ ki assim krupa se inti shaandaar shai hui ki pooch mat. Shaadi ki pure gaon mein charcha ho rahi thi.”

“Jai ho ‘Devi Maa’” Maine shradhaa se haath jode, “ Isse kehte hai Maa ki mamta”
“Shaadi ke baad us bhakt ka pura pariwar ..”, Avinash Verma bhauk swar mein bola, “Apne samdhiyon ke saath yahan ‘Devi Maa’ ke darshno ke liye aaya”

“Kisi ne sach hi kaha hai….” Main apna gyan badharne laga, “ Bacche aksar Maaon ko bhool jate hai, magar Maaye apne baccho ki har bhul-galti ko bhoolakar sada unpar Mamta ki barsaat karti hai”



Note - 
Dear all, thanks for your overwhelming response, we will be sharing your experience with all the devotees of 'Shri Radhe Maa' very soon. 

If you also wish to share your experience with all the devotees of 'Devi Maa' you can email us on sanjeev@globaladvertisers.in, we will get it published.


Note – Priya ‘Devi Maa’ ke bhakto ‘Maa ki leelaye hum nirantar shrunkhala badh prasarit kar rahe hai. Ismein humne ‘Devi Maa’ ke sanidya mein aane wale bhakto ke anubhav ko kalambadha kia hai. ‘Maa ki Leelaye’ aapko kaisi lag rahi hai, Iske bare mein apni rai, apni samiksha, apna sujhav, hame nimn  email par bhej sakte hai..
Aap agar apne anubhav, ‘Devi Maa’ ke apne saath hue chamatkar ko sabke saath baatna chahte hai to hum aapke naam  aur pate ke saath ise pesh karenge. Aap agar chahenge to naam pata jahir nahi karenge aapnki bahumulya pratikriya ke pratiksha mein…
Sanjeev Gupta
Email – sanjeev@globaladvertisers.in





Thursday, September 22, 2011

'Shri Radhe Maa' ki Leelaye - Antara Jassu

 Param Shradhey Pujya 'Shri Radhe Shakti Maa' ko haazir naazir maan kar, jo kahunga – sach ke siva kuch nahi kahunga – Saral Kavi

Naam Antara Jessu
Umar ekkis varsh
Niwasi Charkop

June 2011 ko usne Jogeshwari west sthit H. K. Khan College of Commerce mein B. Pharma ka antim paper dia. Apne college mein acche padhne wale bacchon mein uska naam best of ten mein gina jata tha. Antara Jessune B. pharma complete karne ke liye raat din datt kar mehnat kit hi. B. Pharma ke baad usne M. Pharma karne ke liye US jane ki do saal pehle hi than lit hi. Apni padhai ke saath usne American University mein dakhale hetu do saal pehle se taiyaari shuru kar di thi. Is baabat wah internet par aur kai consultancy mein jankari hasil karti rahi.



America mein padhai ke liye kuch exams paas karne the, jinmein G. R. E aur top ten jaise kuch atyant kathin exam bhi dene hote hai. Antara Jessu ko chunki apne bhavishya ke sapne ko saakar karna tha, so usne apne marsak prayaas jari rakhe aur GRE mein acche ankon ki prapti hui. Top ten bhi badhiya raha. Jaise hi usne B. Pharma se fursat payi, wah anya prayaas mein jut gayi. Usne America sthit alag-alag university ke pravesh form bharne shuru kiye. Ek-ek college ka form bharane ke liye hazaaron rupeyonki jaroorat hoti thi. Iske liye usne borivali sthit ek consultancy ki maddat li jiske liye acche acchi khaasi rakkam ada karni padi. Alag-alag form bhare, unhe apne documents courier se bhejne tatha uske baad yaahan waahan se documents ekatte kanre unhe Xerox karwane adi ke liye bhi bharpur rakkam kharch karni padi. 

June aur aadhe July mahine ki bharpur mehnat ke baad ab Antara Jessu is intazaar mein baichen thi ki usse America ke kis area ki kis University mein se sanction letter ayega. Raat Din ki internet checking aur bhari interjaar ke baad akhir use ek, New York ki ‘Long Island University’ se sanction letter aa hi gaya.


Antara Jessu ne murjhaye chehre par ekaek  chamak dikhai dene lagi. ‘Long Island University’ New York ki ek highfy aur bahot vishal prachin university hai. Uski aupcharikata puri karne mein 15 din aur dher saare American dollar kharch hue. Lekin khair. Antara Jessu ka admission letter mein likhi do saal ke tamaam kharchon ko dekhkar Antara Jessu ke pariwar mein chinta ke badaal cha gaye.
Hakikat mein Antara Jessu ke abhibhawak ek sadharan income se apna pariwar chala rahe the. Ghar mein charcha shuru hui ki rakkam ka kya hoga. Phir education loan ke liye prayas chalu ho gaya. Ek bank se dusre bank mein bhagate-daudate thakaan shuru ho gayi, lekin, education loan dene wale bank mein baithe adhikari logo ki khaam kha ki khajjal khari se Antara Jessu ka pariwala pareshan aur hatash hone laga. Udhar ek September mein college shuru ho rahe the aur idhar bank wale kabhi kal aao toh kabhi parso aao ki goli dekaar samaya barbaad kar rahe the. Yah July ka antim saptah tha. Sirf ek mahine ka samay baki tha. Aur abhi tak loan ka kuch nahi bana tha jabki ek bahut badi samasya ka samna hona ho abhi baki tha. 

American embassy se visa lena koi assan kam nahi tha. Uske liye dher saare kaagjaat chahiye the. 

Maah July ki antim tarikh. Antara Jessu pareshan halat mein apne pariwar ke saath ‘Shri Radhe Maa Bhavan’ mein shaniwar ki raat ‘Shri Radhe Shakti Maa’ ki sharan pohoch gayi. ‘Radhe Maa’ ki gufa mein Antara Jessu  ne ‘Devi Maa ki taraf jhanka toh uski aankon mein aasu jaise abhi tapak jane wale the. ‘Shri Radhe Shakti Maa' ne bharpur daya ki drishti us par daali. Apne dahine haath mein pakada trishul unhone haule se Antara Jessu ke sir se chua dia. Aise laga jaise Antara Jessu ke din phir gaye.

Uske baad ekaek ghatnakram teji se ghumne laga. Agle din raviwar ki subah Long Iceland University se ek bada sa courier lifafa aaya. Is lifafe mein i-20 tha. Yani ki visa lagne ke liye jaroori patr. Shyam ko ek bank ke adhikari ka phone aaya jisne somwar ko bank mein bulaya tha. Apne tamam kaagjaat aur I20 leker Antara Jessu somwar yani August ki pehli saptah mein Bank adhikari se mili.

Budhwar ko Antara Jessu ko bank se ek patr mila jismein usse bataya gaya ki uska bank loan sweekrut kia ja chukka hai. Budhwaar ko hi usne H.D.F.C. bank se visa apply ki fees bhari. Gurwar ko usne online visa form bharkar ‘interview date' li. Agali shukrawar ko Antara Jessu American embassy mein visa interview ke liye upsathith thi. 
Antara Jessu ‘interview ke samaya itni nervous thi ki uske haath buri tarah se kaap rahe the aur wah apni file bhi badi mushkil se sambhal paa rahi thi. Uske mann mein unke sawal umar mit rahe the. Lekin Antara Jessu ko jaise eka-ek abhaas husa ki uske sir ko ‘Shri Radhe Shakti Maa’ wah trishul abhi bhi chu raha hai. ‘Devi Maa’ ki krupa. Antara Jessu ko visa milne mein teen minute ka waqt bhi nahi laga. Embassy se bahaar aate laga jaise Antara Jessu hawa mein ud rahi thi.
Dusare din bank adhikari ne suchit kia ki wah teen din baad kabhi bhi loan cheque le sakti hai.
Aap sabhi Mata ke bhakton ko Antara Jessu ki yah kahani isliye suna raha hoon, kyonki mein uske pariwar ka ek sadyas hoon. ‘Shri Radhe Shakti Maa’ se sirf 15 din mein kitne? Sirf 15 din mein university ke I20 ka letter ana, das din mein loan paas hokar mil jana barah din visa lagjana aur agle 15 din shaniwar ki chowki mein ab Antara Jessu ‘Devi Maa' ke charno mein gayi toh yah batane keliye ki wah 19 August ki raat ki flight pakad ka New York ja rahi hai. Aap ke ashirwad se. 

Bhaktjano. Antara Jessu 21 August ko New York pohoch gayi apni M. Pharma ki padhai complete karne ke liye.

Antara Jessu ka sandesh : Jaise ‘Shri Radhe Shakti Maa’ ne sirf pandrah mere tammam karya sidh kiye aap sabhi ke bhi sabhi spane saakar ho. Shart lekin yah hai ki aapka Vishwaas atut ho, aapki astha prabal ho apni bhavana shudh ho. JAI SHRI RADHE SHAKTI MAA.

Note - 
Dear all, thanks for your overwhelming response, we will be sharing your experience with all the devotees of 'Shri Radhe Maa' very soon. 

If you also wish to share your experience with all the devotees of 'Devi Maa' you can email us on sanjeev@globaladvertisers.in, we will get it published.


Note – Priya ‘Devi Maa’ ke bhakto ‘Maa ki leelaye hum nirantar shrunkhala badh prasarit kar rahe hai. Ismein humne ‘Devi Maa’ ke sanidya mein aane wale bhakto ke anubhav ko kalambadha kia hai. ‘Maa ki Leelaye’ aapko kaisi lag rahi hai, Iske bare mein apni rai, apni samiksha, apna sujhav, hame nimn  email par bhej sakte hai..
Aap agar apne anubhav, ‘Devi Maa’ ke apne saath hue chamatkar ko sabke saath baatna chahte hai to hum aapke naam  aur pate ke saath ise pesh karenge. Aap agar chahenge to naam pata jahir nahi karenge aapnki bahumulya pratikriya ke pratiksha mein…
Sanjeev Gupta
Email – sanjeev@globaladvertisers.in



Friday, September 9, 2011

'Radhe Shakti Maa' ki Leelaye - Part 20


 
 
 Param Shradhey Pujya 'Shri Radhe Shakti Maa' ko haazir naazir maan kar, jo kahunga – sach ke siva kuch nahi kahunga – Saral Kavi

Main ek sidhi aur upar chad gaya. Jaise jaise main paanchvi manjhil ke karib pahunch raha tha, mere mann mein ajib si khushi, vyagrata aur aanand ki mili juli lehar daudne lagi thi. Sidhiyon mein ek chote se chakor sthan par biche hare rang ke carpet par baithe ek vyakti ne fauran apni note-book  band ki aur furti se uthkar mere aage pankti mein ghus gaya. 

Uski umar lagbhag pachaas ke karib thi, lamba slat color ka kurta, sir ke baal garden tak jhul rahe the. Chehre par kuch sochne ke bhav.

“Jai Mata Di” maine parichay janane ki ichha se vartalabh shuru kia, “Aapka naam jaan sakta hoon mitravar?”

Usne tanik garden meri taraf ghumai. Uski khoi khoi si aakhon mein kuch toh tha jisne mujhe uske prati sahanbhuti dikhane ko majboor kia.

“Suniye mitravar” Usne meri tone mein uttar dia, “Aaya hoon Ullasnagar se, Paanch bhaje nikala tha ghar se,Khub jor se pani barase,Bheeg gaya niche-upar se,Phir bhi bina chinta fikr se, Ho gaya mera yahan tak aana, maksad, ‘Devi Maa’ ke darshan pana, kam hai mera Fruit ka thela lagaana, shuak hai mera likhana- gana, naam hai mera Vishwanath Mastana!”
“wah wah” Maine harshbharit halki hasi ke saath kaha, “kya shayari bhare andaaz mein parichay dia hai! kya baat hai”

“Baat to sirf ‘Radhe Shakti Maa’ ki hai” wah darshnik andaaz mein bola, “Hum to bhai, murkh insaan hai, buraiyon ki khan hai, sacchi baat se anjaan hai, har jagah par baimaan hai, n hamara deen hai na imaan hai, apne swaarth ki pahchan hai, isiliye pareshan hai. Ye toh ‘Shri Radhe Shakti Maa’ meherbaan hai, jo rakhti hamara dhyaan hai, de deti  vardaan hai, ye Vishwanath mangane aaya charno mein sthaan hai”



“Bahut khub” main prashansatmak swar mein bola, “ kuch aur batao apne bare mein, Mastana ji”

“Bachpan mera garibi mein beeta” Mastana Vishwanath phir shuru ho gaya, “Likhai-padhai puri nahi ho paai, ek jhopdi mein umar bitaai, budhe mere baap aur bhai, garibi aur aabhav mein aisi maar lagai, zindagi abhi tak sambhal na paai, ek fruit ke dukaan par naukri karta tha, Raat- din marata tha, phir bhi paapi pet pura nahi bharata tha, Apne nasib ko kossa karta tha, Aankhon se pani bharta tha. Dar dar ki thoakron se kuch n kuch sikhane lagaa, bas issi liye kavitaaye likhne laga”

“thik keh rahe ho”, maine garden hilayi, “Jab bhitaar bahut kuch ekhatta hokar bahar nikalne ko machalta hai, tabhi aadmi shayari karta hai”

“Ekdum sahi farmaya bhai” Vishwanath Mastana ka swar bhari ho gaya, “Mujhe Jahan bhi kisine bataya, Main jane laga, Mandir, Masjid, Dargah, Peer fakir sabhi ko shish jhukaane laga, kabhi toh din firenge apne aap ko samjhane laga, lekin apni mehnat se kabhi muh nahi toda, fruit ki dukaan par naukri karna nahi choda, kyonki agar naukri nahi karta toh kaha jata? Kya peeta kya khaata?”


Vishwanath Mastana apne dil ka dard jaise aaj hi sunane ko betaab tha, “ Phir ek din kayamat hui, ek
‘Devi Maa’ ke bhakt se mulakaat hui usse ‘Shri Radhe Maa’ bhavan mein ho rahi chowki ki baat hui, main yaha aane laga toh ‘Devi Maa’ ki rehmat ki barsaat hui. Dukh ki raat gayi, sukh ki prabhaat hui, mera mukadarr muskuraane laga, ‘Devi Maa’ ne daya drushti aisi ki, maine naukri chod di, aur apna fruit ka thela lagaane laga”

“Majha aa gaya” Maine muskurate hue kaha,”Ismein Tumhari Shraddha aur tumhara vishwaas, tumhari lagan bhi toh mili hui hai” 

“Bhai Sahab, Shraddha, Vishwaas aur lagan ka hi toh saara khel hai, varna har cheez fail hai” Mastana gambhir swar mein bole, “ Main aatut vishwaas aur bhavana ke saath yahan aata hoon, apni baat ‘Devi Maa’ tak pahuchata hoon aur phir nishchint ho jata hoon. Yah bhi ‘Radhe Shakti Maa’ ka hi toh pratap hai, aaj ekdum sukhi mere Maa-baap hai, tuti-futi jhoopadi ko pakka bana liya hai, bijli aur jal lagwa lia hai, jo bhi chaha yahan se paya hai, tangi aur musibaton se nijaat paai hai. Aaram se ghar gruhasthi chal rahi hai, magar umar bhi dhal rahi hai”

Phir  Vishwanath Mastana ka swar dravit ho utha, “Ab toh bas ek hi ardaas lagaane aaya hoon! Bitiya sayani ho gayi hai, uski kahin shaadi lagan ho jaaye, yah var pane aaya hoon. ‘Devi Maa’ toh antaaryami hai. Meri muraad jaroor puri karne wali hai. Meri jholi bharane wali hai. Main issi vishwaas aur yakin se keh sakta hoon ki ‘Radhe Shakti Maa’ apna jalwa dikhlaayegi, meri haalat par taras khayegi, aur ismein sanshay bhi nahi hai ki who ghadi shigrah hi aayegi. Meri beetiya ki shaadi jaldi se jaldi ho jaayegi. Sabka banati bighade kaam hai, ‘Radhe Shakti Maa’ ko pranaam hai"

Main nat mastak hokar uski ardaas jald puri hone ki prarthana karne laga.

(To be continue..)


Note – Priya ‘Devi Maa’ ke bhakto ‘Maa ki leelaye hum nirantar shrunkhala badh prasarit kar rahe hai. Ismein humne ‘Devi Maa’ ke sanidya mein aane wale bhakto ke anubhav ko kalambadha kia hai. ‘Maa ki Leelaye’ aapko kaisi lag rahi hai, Iske bare mein apni rai, apni samiksha, apna sujhav, hame nimn  email par bhej sakte hai..
Aap agar apne anubhav, ‘Devi Maa’ ke apne saath hue chamatkar ko sabke saath baatna chahte hai to hum aapke naam  aur pate ke saath ise pesh karenge. Aap agar chahenge to naam pata jahir nahi karenge aapnki bahumulya pratikriya ke pratiksha mein…
Sanjeev Gupta
Email – sanjeev@globaladvertisers.in



'Radhe Shakti Maa' ki Leelaye - Part 20





  परम श्रधेय श्री राधे शक्ति माँ को हाज़िर नाजिर मान कर कहता हूँ की जो कहूँगा सच कहूँगा, सच के सिवा कुछ न कहूँगा / - सरल कवी

मैं एक सीढ़ी और ऊपर चढ़ गया | जैसे जैसे मैं पांचवी मंझिल के करीब पहुँच रहा था, मेरे मन में अजीबसी ख़ुशी, व्यग्रता और आनंद की मिली जुली लेहर दौड़ने लगी थी | सीढियों में एक छोटे से चकोर स्थान पर बिछे हरे रंग के कारपेट पर बैठे एक व्यक्ति ने फ़ौरन अपनी नोट -बुक  बंद की और फुर्ती से उठकर मेरे आगे पंक्ति में घुस गया

उसकी उम्र लगभग पचास के करीब थी, लम्बा सलेटी कलर का कुर्ता, सर के बाल गर्दन तक झूल रहे थे | चेहरे पर कुछ सोचने के भाव |

जय माता दीमैंने परिचय जानने की इच्छा से वार्तालाभ शुरू किया , “आपका नाम जान सकता हूँ, मित्रवर?”

उसने तनिक गर्दन मेरी तरफ घुमाई | उसकी खोई खोईसी आखों में कुछ तो था, जिसने मुझे उसके प्रति सहानभूति दिखने  को मजबूर किया |

सुनिए मित्रवरउसने मेरी टोन में उत्तर दिया, “आया हूँ उल्लासनगर से , पांच बजे  निकला था घर से, खूब जोर से पानी बरसे, भीग गया निचे -ऊपर से ,फिर भी बिना चिंता फ़िक्र से, हो गया मेरा यहाँ तक आना , मकसद , ‘देवी माँके दर्शन पाना, कम है मेरा फ्रूट का ठेला लगाना, शौक मेरा लिखना - गाना , नाम है मेरा विश्वनाथ मस्ताना!”

वाह वाहमैंने हर्षभरित हलकी हसी के साथ कहा , “क्या शायरी भरे अंदाज़ में परिचय दिया है ! क्या बात है|”

बात तो सिर्फराधे शक्ति माँकी हैवह दर्शनिक अंदाज़ में बोला , “हम तो भाई, मुर्ख इंसान है, बुराइयों की खान है, सच्ची बात से अनजान है, हर जगह पर बैमान है, हमारा दीन है ईमान है, अपने स्वार्थ की पहचान है, इसीलिए परेशान है | ये तोश्री राधे शक्ति माँमेहरबान है, जो रखती हमारा ध्यान है, दे देती  वरदान है, ये विश्वनाथ मांगने आया चरणों में स्थान है |”

बहुत खूबमैं प्रशंसात्मक स्वर  में बोला , “ कुछ और बताओ अपने बारे में, मस्ताना जी |”



बचपन मेरा गरीबी में बीतामस्ताना विश्वनाथ फिर शुरू हो गया , “लिखी -पढाई पूरी नहीं हो पाई , एक झोपडी में उम्र बिताई, बूढ़े मेरे बाप और भाई, गरीबी और आभाव मैं ऐसी मार लगाई , ज़िन्दगी अभी तक संभल ना पाई , एक फ्रूट के दूकान पर नौकरी करता था, रात - दिन मरता था, फिर  भी पापी पेट पूरा नहीं भरता था, अपने नसिब को कोसा  करता था , आँखों से पानी भरता था | दर दर की ठोकरों से कुछ कुछ सिखाने लगा , बस इस्सी लिए कविताएं लिखने लगा |”

ठीक केह रहे हो ”, मैंने गर्दन हिलाई , “जब भीतर बहुत कुछ एखटा होकर बहार निकलने को मचलता है , तभी आदमी शायरी करता है |”

एकदम सही फ़रमाया भाईविश्वनाथ मस्ताना का स्वर भारी हो गया, “मुझे जहाँ भी किसीने बताया मैं जाने लगा, मंदिर , मस्जिद , दरगाह , पीर फकीर सभी को शीश झुकाने लगा, कभी तो दिन फिरेंगे अपने आप को समझाने लगा, लेकिन अपनी मेहनत से कभी मुह नहीं तोडा, फ्रूट की दूकान पर नौकरी करना नहीं छोड़ा, क्योंकि अगर नौकरी नहीं करता तो कहा जाता ? क्या पीता क्या खाता ?”

विश्वनाथ मस्ताना अपने दिल का दर्द जैसे आज ही सुनाने को बेताब था, “ फिर एक दिन क़यामत हुई , एकदेवी माँके भक्त से मुलाकात हुई उसेश्री राधे माँभवन में हो रही चौकी की बात हुई , मैं यहाँ आने लगा तो  देवी माँकी रहमत की बरसात हुई | दुःख की  रात गयी , सुख की प्रभात हुई , मेरा मुकदर मुस्कुराने लगा , ‘देवी माँने दया दृष्टी ऐसी की , मैंने नौकरी छोड़ दी और  अपना फ्रूट का ठेला लगाने लगा|

मज्जा गयामैंने मुस्कुराते हुए कहा ,”इसमें तुम्हारी श्रद्धा और तुम्हारा विश्वास, तुम्हारी लगन भी तो  मिली हुई है |” 

भाई साहब , श्रद्धा , विश्वास और लगन का ही तो सारा खेल है, वरना हर चीज़ फ़ैल हैमस्ताना गंभीर स्वर में बोले, “ मैं आतुट विश्वास और भावना के साथ यहाँ आता हूँ, अपनी बातदेवी  माँतक पहुंचता हूँ और  फिर निश्चिन्त हो जाता हूँ | यह भीराधे शक्ति माँका ही तो प्रताप है, आज एकदम सुखी मेरे माँ -बाप है, टूटी -फूटी झोपडी को पक्का बना लिया है, बिजली और जल लगवा लिया है, जो भी चाहा यहाँ से पाया है, तंगी और मुसीबतों से निजात पाई है | आराम से घर गृहस्थी चल रही है, मगर उमर भी ढल रही है |”

फिर  विश्वनाथ मस्ताना का स्वर द्रवित हो उठा, “अब तो बस एक ही अरदास लगाने आया हूँ ! बिटिया सायानी हो गयी है, उसकी कहीं शादी-लगन हो जाए, यह वर पाने आया हूँ | ‘देवी माँतो अन्तर्यामी है | मेरी मुराद जरूर पूरी करने वाली है | मेरी झोली भरने वाली है | मैं इसी  विश्वास और यकीं से केह सकता हूँ कीराधे शक्ति माँअपना जलवा दिखलाएगी, मेरी हालत पर तरस खाएगी और इसमें संशय भी नहीं है की वो घडी शीघ्र ही आएगी | मेरी बिटिया की शादी जल्दी से जल्दी हो जायेगी | सबका बनती बिघडे काम है , ‘राधे शक्ति माँको प्रणाम है ’|"

मैं नत मस्तक होकर उसकी अरदास जल्द पूरी होने की प्रार्थना करने लगा |

 (निरंतर ..)




Note - प्रिय 'देवी माँ' के भक्तो 'माँ की लीलाए' हम निरंतर शृंखलाबंध प्रस्तारित कर रहे हैं | इसमें हमने 'देवी माँ' के सानिध्य में आने वाले भक्तों के अनुभव को कलमबदध किया हैं | 'माँ की लीलाये' आप को कैसी लगी रही हैं इस बारे मैं आप अपनी राय, अपनी समीक्षा, अपना सुझाव हमें निम्न इ-मेल पर भेज सकते हैं |


आप अगर अपने अनुभव,  'देवी माँ' के अपने साथ हुए चमत्कार को सबके साथ बाटना चाहते हैं,  तो हम आपके नाम और पते के साथ इसे पेश करेंगे | आप चाहेंगे तो नाम पता जाहिर नहीं करेंगे आपकी बहुमूल्य प्रतिक्रिया की प्रतीक्षा में -
Sanjeev Gupta
Email - sanjeev@globaladvertisers.in