Monday, August 8, 2011

'Param Shradhey Shri Radhe Maa' - Vaishnodevi Yatra Vishesh





‘Devi Maa’ ke bhakton ke liye vishesh.




‘Maa’ ke Ladalo. Aaj aapko ‘Maa ki Leelaye’ ki bajaye vishesh suchna mil rahi hai.
Param Shradhey Shri Radhe Maa sada aapne bhakto ko nihal karte rehte hai. Apne mauj mein weh kya kya khel dikhate hai, isse kon jaan sakta hai?

‘Pujya Shri Radhe Maa’ ke aadesh ke par samasth bhaktjan ‘Devi Maa’ ke sang ‘Aadhishakti Maa Vaishnodevi’ ke pawan gufa me Maa ki Puja – Archana karne ke liye Tirth yatra par nikal pade. Choti Maa, Vishesh sevadar Guarav Kumarji (Talli Babaji) aur Maa ke anynya bhakt Shri Manmohan Gupta ji, tatha sevadar aur bhakto ke saath ‘Devi Maa’ 3 August ko yanike Shravan shukla ke Teej ko katara mein pochoch gaye.

4 August ke subah apne samasth shradhaluon ke saath pavitra ‘Vaishnodevi Gufa’ mein vidhiwat puja archana ki. Hawan puja tatha kanya pujan aur daan aadi ka niyam nibhaya gaya. Tatpaschyat waha aaye anek shradhaluone ‘Aadhishakti Maa Vaishnodevi’ aur apni Devi Maa ‘ Param Shradhey Shri Radhe Maa’ ke aashirwad ka laabh uthaya.

Mobile dwara mile suchna ke anusaar 5 August ko ‘Pujya Shri Radhe Maa’ ne pawan gufa se lagbhag dedh kilometer upar sthit ‘Shri Bhairavnath’ ke pawan Mandir mein puja archana ki. Aisi Manyata hai ke ‘Maa Vaishnodevi’ ke darshano ke uprant sidha yogi ‘Shri Bhairavnath’ ke darshan karne par hi yatra safal mani jati hai.

Yah poochne par ki, ‘Devi Maa’ ka wapis Mumbai aagman kab hoga, Shri Sanjeev Gupta ka kehna tha, ‘Yah Devi Maa ki mauj par nirbhar karta hai. Unka aadesh kab kya hota hai we hi jaante hai. Jab unki iccha jagegi, tabhi Mumbai wapis aana sambhav hai.

Weh kab wapis Mumbai lotne wali hai. Yah nishchit to nahi hai. Lekin, 13 August ko ‘Shri Radhe Maa’ ke bhavya durlab darshan honge aur ‘Shri Radhe Maa bhavan’, mein Mata ki Vishal chowki hogi (Bhaktjano ko www.globaladvertisers.in par bhi live darshan ka labh milega) yah purnataya nishchit hai.

Shri Radhe Maa ki jai !!

1 comment:

  1. Wowwwwwwwww so Beautifull Our Radhe Maa

    ReplyDelete