Thursday, October 20, 2011

'Shri Radhe Maa' ki Leelaye - Part 24


  


Param Shradhey Pujya 'Shri Radhe Shakti Maa' ko haazir naazir maan kar, jo kahunga – sach ke siva kuch nahi kahunga – Saral Kavi

Delhi se lagbhag dedh ghante ke rail raste dwara Sonipat pahuncha ja sakta hai. Ek thik thak aabaadi wala kasba, jo desh ki rajdhani se sata hone ke kaaran dheere dheere unnati pragati par agrasar hai.

‘Jay Raheja’. Umar lagbhag 35 saal,  gora chitta hasmukh naujawan. 

Aaj se dus saal pehle.

Jayse taise B. A. ki padhai complete hui. Pita footpath par kele ka thaila lagakar parivar ka gujara chala rahe the. Paanch bhai – behno mein ‘Jay Raheja’ teesare number par tha. Badi do baheno ki shaadi ho chuki thi. Ek chota bhai aur ek behen abhi padhai kar rahe the.

B. A. paas karne ke baad bhi lagbhag 3 saal se ‘Jay Raheja’ ko koi acchi naukri nahi mil rahi thi. Agar koi naukri mili bhi , toh usmein mehnat bahot jyada aur aamdani naa ke barabaar. ‘Jay Raheja’ pareshan tha, toh uske pita usse jyada pareshan. Is Vishay par ki ‘Jay’ kuch kamata nahi, ghar mein klesh rehne laga. Maa bechari kya kare, pati ka  paksha le ya bĂȘte ke, isi ghutan mein bimar rehne lagi. Roj-roh ki ghich ghich se ‘Jay Raheja’ mein hin bhavana baithne lagi.




‘Jay Raheja’ din bhar naukri ki talaash mein bhatak kar, ek shyam bhooka, pyaasa ghar mein ghusa toh pita se takraar ho gayi. Jab kuch kamata hi nahi, toh phir khana kaha se aaye. Pita ne khub daat dilayi. ‘Jay Raheja’shubdh bhav se ghar se nikala.

Pados mein Mata ka Jagran ho raha tha. Ek taraf bhandara chal raha tha. Sach yah hai ki, ‘Jay Raheja’ sirf pet bharne ke liye bhandara mein ghus gaya. Bhuk shaant hui, toh kuch samay bhajan sun lene ki iccha se wah jagran pandal mein pohoch raha.

Mata ke darbaar mein ‘Jay Raheja’ne pehli baar, ‘Pujya Shri Radhe Shakti Maa’ ke divya darshan kiye. Jagran mein ek waqta ne  ‘Pujya Shri Radhe Shakti Maa’ ki mahima ka barwan karte hue, darshan matr se sabhi ka kalian hone ki baat kahi.

‘Jay Raheja’ ne mann hi mann hi prarthana ki, ‘He Devi Maa, bhuk, bekari aur muflisi se kab chutkara milega.?”

‘Jay Raheja’ ke bagal mein baithe ek vyakti ne poocha, wah kya kam dhanda karta hai? ‘Jay Raheja’ ne bataya. Us vyakti ne kaha ki agar ‘Jay Raheja’ kal subah Delhi se uska thoda saaman laakar de toh usse wah thodi rakkam de sakta hai.  ‘Jay Raheja’ fauran raji ho gaya.

‘Jay Raheja’ ke anusaar us aadmi ka electronics ka karobaar tha. ‘Jay Raheja’, uske liye Delhi se electronics parts ki delivery  lane laga. ‘Jay Raheja’ ko acchi income toh hui hi, is dauran wah electronics saaman ke baremein jaankar bhi ho gaya. Kuch electronics partswalon acchi pehchan bhi ho gayi. Kuch rakkam udhari se uthakar aur kuch saaman udhar par lekar ‘Jay Raheja’ ne apni ek electronics ki choti si dukkan khol di. Dhanda chal nikala.

Lagbhag paach saal mein hi ‘Jay Raheja’ sonipat mein ek shaandar electronics saaman ke showroom ka malik ban gaya.

‘Jay Raheja’ din-raat kaam mein itna busy ho gaya tha ki usse khane ki bhi fursaat nhi milti thi. Magar wah ‘Pujya Shri Radhe Shakti Maa’ ke  darbaar mein jane ki fursat nikal hi leta. Wah, ‘Devi Maa’ ji ka shishya ban gaya tha. Jahan bhi, jis sheher mein bhi, kis ke bhi ghar mein ‘Devi Maa’ ki chowki ho, wah, purn Shradha se wahan pahunchta hai.

Is Gurupoornima par ‘Jay Raheja’ Sonipat se Mumbai aaya. Apne ati busy schedule ke bavjud wah ek saptah yahan raha aur use Pujya Shri Radhe Maa bhavan mein seva ki agya bhi hui.

‘Jay Raheja’ ka manana hai ki, ek jagran mein kewal door se hi ‘Devi Maa’ ji darshan kiye aur sirf ek prarthana matr se hi uske sabhi dukh door ho gaye. Wah prati kshan ‘Radhe Shakti Maa’ ji ka gungaan karte nahi thakta.

‘Jay Raheja’ ki tarah sabhi bhakton ki manokamna purn ho.

Jai Shri Radhe Shakti Maa.

(To be continued…)

No comments:

Post a Comment