Friday, October 14, 2011

'Shri Radhe Maa' ki Leelaye - Part 23




  Param Shradhey Pujya 'Shri Radhe Shakti Maa' ko haazir naazir maan kar, jo kahunga – sach ke siva kuch nahi kahunga – Saral Kavi
 
 
Sikhon ke pavitra Shri Guru Granth Sahib mein kaha hai – “Kalyug mein kirtan pardhana.” Gauswami Shri Tulsidas ji mahakavya Shri RamCharit Manas mein likhte hai, “Kalyug keval naam adhra.” Sabhi prachin grantho, rishi-muniyon tatha mahapurusho ne bhajan satsang ko maanav jivan mein kalyaan ka sarvshreshth sadhan mana hai. Yahi karan hai ki Mamtamai Pujya ‘Shri Radhe Shakti Maa’ ko bhajan-kirtan-satsang atipriya lagte hai. Bhajan sangeet mein magn ‘Pujya Shri Radhe Shakti Maa’  ko anek baar dekha gaya hai, ki we bhajan gaa rahe gayak se mike lekar swayam gane lagti hai.




‘Shri Radhe Maa’ bhavan ke paachve mala par sthit pawan gufa mein jo sangat ‘Devi Maa’ ke darshan hetu jati hai, unhe malum hai  ki Pujya ‘Devi Maa’ ki gufa mein nirantar bhajan prasarit hote rehte hai, jisko lay mein magn hokar ‘Shri Radhe Shakti Maa’ kayi baar dhyan mudra mein nayan band kar bhajan bhakti mein leen ho jaati hai. Toh kayi baar bhav-vibhor hokar nrutya mudra dharan kar apne bhakton ko adbhud leelaye dikhlati hai. Inhi bhajan prasaaran ke dauraan bhaktjano ko pujya ‘Devi Maa’ ki vibhinn chaviyon ke darshan hote hai.

Jaisa ki sabko malum hai, ‘Shri Radhe Shakti Maa’ bhavan mein har pandrah din baad Mata ki Chowki ka ayojan hota hai. Mata ki chowki mein hajaro ki sankhya mein sangat upasthit hoti hai. Yahan Hindustan hi nahi vishwabhar mein prasidh bhajan gayak apni bhakti sangeet ki kala se Pujya Devi Maa’ ki vandana kar chuke hai aur nirantar kar rahe hai. Pratyek bhajan gayak ‘Devi Maa’ ki haajri lagane ko lalayeet rehta hai. Jis din use yahan bhajan gane ka suawasar prapt hota hai. Wah apne aap ko bhagyashali manta hai. Yahan yah ulekh karna bhi chahunga ki ek karyakram mein lakhon ki parishramik prapti wale bhajan gayak yahan matr seva bhav se apni prastuti dete hai.

Pujya ‘Shri Radhe Shakti Maa’ ki seva mein kiye jane wale jagran aur Mata ki Chowki mein aane wale bhaktjan pratyek pandrah din baad dohra laabh uthate hai. Lagbhag ratri ke aath baje ‘Devi Maa’ ki divya darshan aarambh ho jate hai. Pratyek Mata ki Chowki mein anek kalakar upsthith rehte hai. Bahut baar aisa bhi dekha gaya hai ki, kalakaron ki sankhya adhik h oti hai aur samay seema seemit. Yahan ayojak vichitra paristhiti hote hai. Ek ek bhajan gayak jo do–adhai ghante nirantar gane ki kshamata rakhta hai use kewal matra do ya teen bhajan gane ko milte hai. Lekin bhajan gayak isse bhi apni khush-kismati manta hai ki chalo ‘Pujya Shri Radhe Shakti Maa’ ke charno mein apni aastha ke fool chadhane ka avsaar toh mila.



Lagbhag saat baje sayan se hi ‘Shri Radhe Maa’ bhavan ke ground floor sthit hall mein sangato ka pravesh shuru ho jata hai. Jaise hi bhajan kirtan aarambh hote hai, thasa-thas bhare hall mein  Mata ke bhakt bhakti bhav mein dub jate hai. Taaliya bajaate, masti mein jhoomte gayak ke sang-sang gate hue weh bhaktjan lambe samay tak bhakti sangeet ka anand lete hai. Jaise hi ‘Pujya Shri Radhe Shakti Maa’ ke darshano ka silsila aarambh hota hai, hall mein upasthit log sidhiyon ki taraf agrasar hote hai. Jabki hall mein bahar khadi sangat shighrata se hall mein pravesh kar, bhakti sangeet ras mein dub jati hai. Yah silsila der raat tak chalu rehta hai. Sangat ko ek se badhkar ek pratibhavan gayak ka hunaar dekhne sunane ko milta hai, jabki gayak kalakaar ko shrotayon ki kami mehsus nahi hoti. Bahut se kalakar apni aap beeti mein ‘Devi Maa’ dwara un par kiye upkaron ka varnan kar apne bhajno ke madhyam se krugyanata darshate hai. Bhajan gayako ke saath saath saaj bajane wale kalakar isliye bhi prashansa ke patr hai ki ek karyakram mein lagbhag aadha darjaan bhar gayak apna karyakram prastut karte hai, parantu ye vadya kalakaar ki nipunta ke liye bhati sabha mein unka gungaan bhi karte hai.

Aaj ke lekh ke ant mein pujya ‘Shri Devi Radhe Shakti Maa’ ke darshan ke liye aane wali sangat se nivedan karna chahunga ki Chowki mein baithkar sidhe paachwe mala par jane ki jaldbaji nahi kare. Sangat ke liye aayojeet kiye jane wale is karyakram mein bhakti sangeet ka purn aanand le. Magn hokar bhajan sune, bhakti raas mein gehre dub jaye aur phir aaram ke saath Pujya ‘Devi Maa’ ke darshan karne ke liye paachvi manjil par sthit gufa mein pahunche. Aapko ek adbhut aanad ki anubhuti hogi.


Jai ‘Shri Radhe Shakti Maa’

Note - 
Dear all, thanks for your overwhelming response, we will be sharing your experience with all the devotees of 'Shri Radhe Maa' very soon. 

If you also wish to share your experience with all the devotees of 'Devi Maa' you can email us on sanjeev@globaladvertisers.in, we will get it published.


Note – Priya ‘Devi Maa’ ke bhakto ‘Maa ki leelaye hum nirantar shrunkhala badh prasarit kar rahe hai. Ismein humne ‘Devi Maa’ ke sanidya mein aane wale bhakto ke anubhav ko kalambadha kia hai. ‘Maa ki Leelaye’ aapko kaisi lag rahi hai, Iske bare mein apni rai, apni samiksha, apna sujhav, hame nimn  email par bhej sakte hai..
Aap agar apne anubhav, ‘Devi Maa’ ke apne saath hue chamatkar ko sabke saath baatna chahte hai to hum aapke naam  aur pate ke saath ise pesh karenge. Aap agar chahenge to naam pata jahir nahi karenge aapnki bahumulya pratikriya ke pratiksha mein…
Sanjeev Gupta
Email – sanjeev@globaladvertisers.in




No comments:

Post a Comment