Monday, September 5, 2011

'Radhe Shakti Maa' ki Leelaye - Part 19



 Param Shradhey Pujya 'Shri Radhe Shakti Maa' ko haazir naazir maan kar, jo kahunga – sach ke siva kuch nahi kahunga – Saral Kavi

Ekaek mujhe joron se bhook satane lagi. Halaki main sidhe teen mala par jakar bhandara le sakta tha parantu maine nischit kia ki pehle ‘Shri Radhe Shakti Maa’ ke darshan kar unka ashirwad lunga, phir bhandare se prashad grahan karunga.

Main first floor pe sthit waiting hall se nikal kar sidhiyon ki taraf badha. Waha maujud darshno ki kataar mein khade bhakton ne jor se jaikara lagaya. Maine upar jane ke liye jaise hi sidhi ke taraf kadam badhaye, laal dress pehne ek mahila sevadaar ne haath jodkar vinamr swar mein kaha, “Jai Mata Di, Bhagat ji! Krupaya line se aaiye.

Line me khade ek darshnarthi ne tanik aage sarak kar mere liye jagah banai. Main swayam ko line mein adjust kia. Halaki mere piche khade adhe se vyakti ke chehre par kadwahat ke bhav prakat hue magar maine jaise hi kshama-yachana ki drishti se unki taraf dekha, usne mera kandha thapthapakar ‘jane do’ jaisi ada se haath jhatka.

“aap kahan se aaye hai, malik?” maine aage khade sajjan se poocha.

“Rajouri Garden …” usne meri taraf gardan ghumai.. “Delhi se… aur aap?”

“main yahi se hoon….” Maine haskar kaha, “aap kab aaye Delhi se?”

“aaj hi aaya hoon…” wah vyast swar mein bole, “aur subah jaldi ke flight se wapis jana hai ! ‘Devi Maa’ ke darshan karna hi mera khaas kam hai, jiske liye aaya hoon”

“Aap ka naam jaan sakta hoon?” maine sahaj bhav se poocha.

“ Rajiv Bansal !” usne ek sidhi upar chadhte hue kaha, “ Thekedari karta hoon ! sach poochoge toh main aaj jo bhi hoon, ‘Devi Maa’ ke badolat hi hoon”

Main bhi ek sidhi aage badha.

“aaj se das saal pehle main kuch bhi nahi tha. Maa-baap ne shaadi kar di. Ek kapde ki dukan par sirf terah sau (1300) mahine ke naukri karta tha. Ghar ka kharcha badi mushkil se chalta tha. Upar se kiraye ke makan mein rehte the.  Makan kya? Ek kamara keh lo, ussi mein kitchen, bathroom aur bedroom. Mere Maa-baap palang par sote the, hum niche gadda bichate the. Tangi aur abhav se ghire jaise taise jindagi ghisat rahe the. Phir mujhe ek banda Delhi mein sthit ‘Radhe Maa’ ke bhavan mein le gaya. Maine waha ‘Devi Maa’ se apni kangali se chutkara pane ki guhar ki. Teen – Chaar mahine tak main lagataar ‘Shri Radhe Maa’ bhavan jata raha.”

Rajiv Bansal bhavuk ho utha.

“Mera kiraye ka room bahut hi khasta haal mein tha. ? polyester  tut tut kar gir raha tha. Farsh mein jagah jagah gadde the. Maine makan malik se murammat karwane ke liye baarbaar minnat ki. Ek raat mein ‘Devi Maa’ bhavan mein jaakar rone laga. Maine ‘Devi Maa’ se ek hi prarthana ki, Maa mujhe raasta dikhao, Subah utha toh makan malik aaya. Usne kaha ki uske paas time nahi hai, main swayam hi room ki marammat karwa loon, jo kharcha ayega Makan malik mujhe de dega. Yahi turning point tha. ‘Devi Maa’ ne meri prarthana Kabul ki. Maine dukan se teen din ki chutti li. Ghar repairing ka material ekkata kia aur mistri bulakar le aaya. Labor ki jagah main khud hi kaam kar raha tha. Maine is prakar majduri ki dihadi bachane ki bhi sochi. Maine badi tabiyaat se room ki tut-fut thik ki. Mere padosi ne jab kaam dekha toh bola, ‘Yaar, mere room ki bhi muramat karni hai. Maine material, mistri ki dihadi aadi ka budget banaya aur fir apni bachat jodkar usse budget dia. Vah maan gaya. Uske baad galli mein paanch- saat makano ki maramat ka kaam mila. Mere kaam ki taarif hone lagi. Maine kapde ki dukaan wali naukri chod di. Main niyamit roop  se Dehli wale ‘Radhe Maa’ Bhavan mein jaakar haajri lagatha tha. ‘Devi Maa’ ki aasim – aapar krupa drishti hui. Maine thekedaar ban gaya. Pehle marammat ka kaam milta tha. Ab anye makaan aur kothi nirman ka kaam bhi milne laga. Main Pujya Shri Radhe Shakti Maa ka baar- baar dhanywad karta hoon. Unki meherbani hui. Aaj Delhi  mein jagah jagah projects chal rahe hai. Kabhi is site par toh kabhi us site par bhagna padta hai. Lekin phir bhi …..” Rajiv Bansal ne, “Phir bhi” par jor dia. “Phir bhi yahan niyamit roop se Maa ki haajri mein aata hoon. Kitna bhi busy schedule kyun na ho, dopehar ki flight pakadta hoon. Yaha aata hoon, ‘Devi Maa’ ke darshan prapt karta hoon, aur subah ki jaldi wali flight se wapis Delhi laut jata hoon. ‘Devi Maa’ ka abhari hoon, Bhaisahab, sab kuch mil gaya hai. Ab to ek hi tammana hai, Tute chahe saara jag tute, ‘Devi Maa’ ka dwar na tute”

Rajiv Bansal ekdum vibhor bhav se taali bajakar ‘Shri Radhe Maa’ ka naam jap raha tha. Uske dheeme dheeme gane ki awaaz mere kano mein mishri ghol rahi thi.

Ek – do karke hamari kataar nirantar sidhiya chadhte hue aage badh rahi thi. Hum Dusri Manjil pahunche…

(To Be continue…)

by Saral Kavi
Note – Priya ‘Devi Maa’ ke bhakto ‘Maa ki leelaye hum nirantar shrunkhala badh prasarit kar rahe hai. Ismein humne ‘Devi Maa’ ke sanidya mein aane wale bhakto ke anubhav ko kalambadha kia hai. ‘Maa ki Leelaye’ aapko kaisi lag rahi hai, Iske bare mein apni rai, apni samiksha, apna sujhav, hame nimn  email par bhej sakte hai..
Aap agar apne anubhav, ‘Devi Maa’ ke apne saath hue chamatkar ko sabke saath baatna chahte hai to hum aapke naam  aur pate ke saath ise pesh karenge. Aap agar chahenge to naam pata jahir nahi karenge aapnki bahumulya pratikriya ke pratiksha mein…
Sanjeev Gupta
Email – sanjeev@globaladvertisers.in


Saturday, September 3, 2011

'Radhe Shakti Maa' ki Leelaye - Part 18

 
 
‘Shri Radhe Maa Bhavan’ ke first floor sthit vishal waiting hall mein Shri. Manmohan Guptaji ke sang aaya tha. Unhone ladke ko mere liye coffee lane ka ishara kia aur swayam pasar kar halki zapki lene lage.  Tabhi Dubai se himaat bhai Airport se sidhe yahan chale aaye the. Coffee pine ke dauran unhone apni aap-beeti sunai. Apne bachpan ke langotia yaar aur business partner ke daga karne ke bavjud kaise we ‘Devi Maa’ ki kriup se apne mukam par pahunche. Wakai prernadayak prasang tha.

“Chalo…..” Himmat bhai ne tapaak se haat milate hue kaha, “Main ‘Devi Maa’ ki hajari lagane jaa raha hoon. Uske baad bhandara lunga. Bahut bhook lagi hai. Tum chal rahe ho?”



“Aap chalo Himmat Bhai….” Maine andaai lene ka upkram kia.. “Main thoda theharkar…”

Himmat bhai ne darwaje ke paas pahunch kar abhiwadan karte hue haath hilaya. Tabhi ek mahila ne waiting hall mein pravesh kia. Himmat Bhai ne tanik picche hatkar unhe rasta dia aur fir swayam darwaje se bahar nikal gaye .
 
Abhi abhi hall mein pravishth hui mahile ki goad mein lagbhag teen-sadhe teen saal ki bacchi thi, jo shayad sone ke liye kasgasaa rahi thi aur wah mahila usse haule haule se thapthapa rahi thi.

Shri. Manmohan Gupta ekaek uthe. Hateli ke pichale bhaag se muh pocha aur fir khed bhari muskaan ke saath meri taraf dekha. Maine unhe so jane ka ishara kia. Unhone inkaar mein sir hilate hue niche chal rahi ‘Mata ki Chowki’ mein jane ki iccha jatlaate hue ek haath paajame ki jeb mein dhoosa aur darwaje se nikal gaye.

Aaguntak mahila ne sofa mein bacchi ke litaya aur swayam paas baith gayi. Usse thapthapte hue meri taraf dekh kar boli, “Jai Mata Di”
 
“Jai Mata Di....”, meine bacchi par ek nigah dali, “Bahut pyari bacchi hai”

“Devi Maa ne di hai” wah purvavrat thapthapate hue shraddha bhare swar mein boli, “ Hamne iska naam bhi ‘Radhika’ rakha hai. Woh kya hai na, darasal iska sone ka time ho gaya hai. Bacchi hahi na .. Nind toh aayegi hi” Meine sir hilaya.

“Aapne darshan kiye…” usne bhave hilakar poocha. “Maine abhi darshan ke liye hi ja rahi thi. woh kya kya hai na, isi bacchi ki aashirward dilwana tha. Bhai sahib ! badi mannat karke, bahut maang-maang kar maine ‘Devi Maa’ se kanya li hai. Meri sasural wale toh bahut chillate the ki kya saara din bitiya –bitiya ki rat lagaye rehti ho. Par mein apni jidd par adi rahi. Yah meri pehli santan hai. woh kya hai na, har koi pehli santan ke roop mein beta hi mangta hai. Maine hamesha se yahi iccha rakhi ki mere yahan beti hi ho. Kyon bhai sahib? Betiyon mein kya burai hai?”

“Betiya hi nah hogi….” main apna gyan badharne laga, “Toh Maa kahase hogi, Bahen kahase hogi,. Biwi kaha se hogi. Mami kahase hogi. Beti toh shrushti ka aadhar hai”

“Woh kya hai na…” mahila ka swar utsaah se bhar gaya, “Log beta beta kar ke apne beton ko sar chadha lete hai aur phir wahi bête apne Maa-baap ki durgati karte dekhe gaye hai. Kanyaye toh bechari sada apne sasural mein bhi Maa-baap ki khair mangati rehti hai. Ab ‘Devi Maa’ ko hi dekh lo. Woh bhi toh kisi ki beti hai hi na. Kaise lakhon logoka kalyaan kar rahi hai. Na kuch chadhawa maangti hai .. Na kuch aur maangti hai. Bus hamesha deti hi rehti hai.”

Maine sehmati mein si hilaya.
 
"Woh kya hai na bhai sahib ?” Mahila ka swar thoda dheema kia. “Har kisi ko muh maanga toh milta nahi hai na. Mukadaar bhi toh aakhir koi cheez hai. Apni mukadaar mein likha hai Scooter aur aap Honda-city ke liye shikayat kare ki, ‘Devi Maa’ scooter kyon dia, Honda- city kyon nahi di? Yah koi baat hui? Zara yah bhi toh socho kuch logo ke paas toh scooter kya cycle tak bhi nahi hai. Phir? ‘Devi Maa’ se shikayat kyon? Dekho bhai sahib, woh kya hai na. ek school mein kisi class mein 80 bachhe hai. Un 80 bacchon mein se ek baccha first class la raha hai. 95% la raha hai. Aur usi class mein ek baccha fail ho gaya hai. Toh kya kahoge?  Teacher ne kuch gadbad kia? Agar teacher ne gadbad kia hai toh ek baccha first class kyon aaya? Woh kya hai na Bhai-Sahab, kabhiliyat bhi toh kuch hoti hai. Teacher ke padhane mein meen mekh mat nikalo, apni mehnat, apni lagan ko bhi dekho. ‘Devi Maa’ kya de rahi hai aur usko itna de rahi hai, mere ko kum kyon de rahi hai-yah mat dekho. Yah dekho ki ‘Shri Radhe Shakti Maa’ ke darbaar se kuch mil toh raha hai . Khali toh nahi ja raha na. Kyon? Mein thik keh rahi hoon na?”

Maine sehmati se sir hilaya.

Tabhi ekaek bacchi uthkar baith gayi.

Mahila ne ishare se bacchi ko so jane ko poocha. Bacchi ne inkaar mein daaye baaye sir hilaya.

“Darshan ke liye chale?” Mahila ne snehil bhaav mein poocha.

Bachi ne dono bahe uthakar Maa ki taraf dekha.

Mahila ne bacchi ko god mein uthaya, meri taraf dekhkar atyant dheeme swar mein “Jai Mata Di’ kaha aur tej kadmo se chalti hui darwaje se bahar nikal gayi….




(To be continue...)

by Saral Kavi
Note – Priya ‘Devi Maa’ ke bhakto ‘Maa ki leelaye hum nirantar shrunkhala badh prasarit kar rahe hai. Ismein humne ‘Devi Maa’ ke sanidya mein aane wale bhakto ke anubhav ko kalambadha kia hai. ‘Maa ki Leelaye’ aapko kaisi lag rahi hai, Iske bare mein apni rai, apni samiksha, apna sujhav, hame nimn  email par bhej sakte hai..
Aap agar apne anubhav, ‘Devi Maa’ ke apne saath hue chamatkar ko sabke saath baatna chahte hai to hum aapke naam  aur pate ke saath ise pesh karenge. Aap agar chahenge to naam pata jahir nahi karenge aapnki bahumulya pratikriya ke pratiksha mein…
Sanjeev Gupta
Email – sanjeev@globaladvertisers.in




http://shriradhemaa.blogspot.com/


Monday, August 29, 2011

'Radhe Shakti Maa' ki Leelaye - Part 17


 



   
Manmohan Gupta baat karte karte thoda aur pasar gaye. Thankan ke karan unki jhapki lag gayi lagti thi. 

Ek ladka Coffee ka cup de gaya.

Tabhi waiting hall mein ek vyakti pravishth hua, jiske haath mein bada sa traveling bag tha. Bag par lage sticker chugli kar rahe the ki wah kisi flight se aaya tha. Usne ek side mein bag ko rakha. Undh se rahe Manmohan Gupta ke pav chune ka upkram karne ke baad, meri bagal mein baithate hue unhone coffee dekar laut rahe ko ishare se bulaya.  

“beta…” aguntak sajjan ne bade thake swar mein kaha, “ek cup chai mujhe bhi milegi kya?”

“Chai nahi coffee hai…” maine unki baat ka uttar dia, “wah bhi bina shakkar ki … yahi le lo”

“Are…” unhone apnatv se mera haath piche thela, “Aap piyo… Beta.. Mujhe bhi coffee la do.. Aur suno, unki coffee ki bachi hui shakkar meri coffee mein daal dena, Main tej shakkar pita hoon bhai”

Ladka gate se bahar nikal gaya. Aguntak ne jeb se rumal kar chehra pocha.

“Kahi bahar se…”Maine yunhi baat shuru ki, “Sidhe sahi chale aa rahe ho?”

“haan” wah sofe ki pith par sir tikate hue thake swar mein bola, “Dubai se aa raha hoon. Ek to flight late upaar se Mumbai ka traffic … tauba ! Tauba!”

Maine sahanbhuti bhare bhav se sir hilaya, Niche hall mein koi naya bhajan gayak pure josh ke saath apna karekram prastut kar raha tha. Uske gnae ki dheemi dheemi aawaz acchi lag rahi thi.

“Mera naam Himaat bhai hai” wah sajjan meri taraf dekhte hue bole, “aapka parichay?”

“Mera naam bhagat hai…” main coffee ka ghut bharne ke baad tasalli ke saath sir hilakar bola, “Devi Maa ke darshno ke liye aaya hoon”

“Main bhi ‘Devi Maa’ ke darshan ke liye sidha Dubai se chala aa raha hoon..” Himmat bhai ne meri aankhon mein jhanka, “Devi Maa ki apar krupa hui, jo aaj fir se khada ho gaya hoon Bhagat ji, warna ek baar toh mein sadak par hi aa gaya tha.”

Ladka coffee de gaya. Himmat Bhai ne krutagyna bhav se ladke ko dhanyawad dia aur fir coffee ka ek bada sa ‘ghunt’ bhara.

“Mera Palghar mein steel ke bartan banane ka karkhana hai…” Himmat bhai swayam hi bolne lage, “Bahut bada business tha mera. Main export ka bhi dhanda karta hoon. Dubai.. Berlin .. Sharjah  mein mere steel ke bartan bahu export hote the. Mere ek bachpan ka padosi aur saath padha eek dost ‘Navin Arora’, jo mera bahut karibi tha.. aksaar mujhse dhande ke saath rakhne ke liye request kia karta tha. Maine dosti ka lihaj karte hue Dubai mein apna ek office kholkar, use waha ka incharge bana dia. Wah aur uska parivar toh jaise mere paav dhokaar pne ko raji the. Dubai mein pehle saal ‘Navin Arora’ ne kafi mehnat ki aur pehle se dugne order bhijwaye. Maine production badhane shuru ki. Main yaha raat din busy ho gaya aur ‘Navin Arora’ waha par. Main lagataar maal bhejta jar aha tha. Udhar ‘Navin Arora’ khub mehnat ka raha tha..”

 Himaat Bhai ne ek ghut mein puri coffee khatm ki aur cup rakh dia.

“Main production ke liye udhar mein Raw material uthata raha, maal bhejta raha”, Himmat bhai ka swar ekdum kadwa hone laga, “Lekin mein bawkoof ki aulad, pure teen saal tak is baat se laparwah raha ki waha se payment ki koi charcha tak nahi ki. Aur usne bhi nahi ki. Meri goodwill ke karan Raw Material udhari par dene wale dealerone jab payment ke tagaje shuru kiye toh maine Navin Arora ko payment bhejne ko kaha.”

Himmat bhai kuch kshan khali cup ko ghurte rahe, ekaek meri taraf dekhne ke baad wah gambhi swar mein bole, “Dubai  se Navin Arora ne haan bahi aaj bhejta hoon, kal bhejta hoon se kuch ndin nikale. Aur phir ekaek usne phone uthana band kar dia. 

Main awak muh bhaye uski taraf tak raha tha.

“Navin Arora ne mera phone lena band kar dia. ..” Himaat Bhai ek ek shabd chabate hue bole, “Balki mere se har prakar ka samparak hi band kar dia. Maine do mahine tak bahut koshish kia. Udhar lenedaron ke tagajo ne mera jina haram kar dia. Factory mein labor tankhwah maang rahe the. Bijli ka bill itna b adh gaya tha ki aaj connection kata ki kal kata. Maltab ye ‘Bhagat ji’ main paise paise ka mohtaj ho gaya. Aur udhar Navin Arora ne saal mein mujhe 33 crore ka  chuna laga dia. Kitne ka??”

“33 crore ….” Mere muh se bol nahi fut rahe the.

“33 crore “ Himmat bhai ne do-teen baar sir hilaya, “ Usne apne pariwar ko Dubai mein bula lila. Apna alag se office khol lia. Aur main sadak par aa gaya.”

Uski aankhen bhar aayi.

 “Mera Bungalow girwi, meri factory girwi.  Gadi office sab bik gayi. Pariwar mein halat yaha thi ki hum roti ko mohtaj ho gaye. ‘Bhagat Ji’ main paagalon jaisi sthiti mein pohoch gaya tha. N nahane ki sud na khane ka hosh. Kabhi kabar shokia ekadh peg lagane wala Himmat Bhai ab bewada Himaat bhai ke naam se mashhur ho gaya. Mere sabhi yaar dost – sagewale mujhse baat tak karne se katrane lage. Log mujhe dekhte hi durr bhagete ki udhar na maang le. Akela baitha apne aap se baat karta tha. Log samjhne lage ‘Himmat bhai ka dimag satak gaya hai. Yah halat ho gayi thi meri aur mere pariwar ki. Meri gharwali jo bina gadi ke chalti nahi thi… naukar chakron ki line lagti thi ghar mein… magar ab meri gharwali tiffin banakar logo ke gharon mein pahuchati thi aur pariwar ka gujara chala rahi thi.”

Main sahanbhuti bhare bhav se use tak raha tha, “Tabhi kisine mera uddhar karwaya.” Himaat Bhai ka swar komal hone laga, “ Mujhe idhar-udhar bhatakne se bachane ke liye ewah ‘Devi Maa’ ke darshan ke liye le aaya. Sach pooch toh mein time-pass bhav se yahan chala aaya. Line mein laga. Routine mein darshan kiye Bhandara liya aur wapis chala. Magar mere mann ke kisi kone mein se ek awaz aayi ki Himaat Bhai .. teri durgati dur hogi toh yahi hongi. Bhagat ji… Dusre din Sunday tha . Mein subah subah ‘ Shri Radhe Maa’ bhawan ke samne footpath par baith gaya. Aur mann hi mann prarthana karne laga. Mujhe nahi malum  main kya prathana kar raha tha. Magar kar raha tha. Ab mera routine ban gaya tha. Main yunhi tehelte hue aata,  ‘Radhe Maa’ ji ke bahar lage hoarding ko pranam karta aur kafi der tak footpath par hi baitha rehta”



Himaat Bhai ki aap beeti sunte sunte main drawit ho utha tha.

‘Phir kya hua?” maine vyagra swar mein poocha.

“Chamatkar “Himaat Bhai ne haath zatka, “ usi footpath par mera ek pura vyapari mil gaya. Ek waqt tha jab wah mujhse thoda thoda maal udahr lia karta tha. Usne mujhe pehchana, mujhe gale se lipta lia. Malum pada ki wah aaj bahut bada businessmen ban gaya tha. Usne meri kahani suni, huasala dia. Mujhe bina interest ke rakam de kar phir se factory shuru karne ko himmat di.  Bhagat ji, ‘Pujya Shri Radhe Shakti Maa’ ki anukampa se meri gadi fir se patari par aa gayi. Mera vyapar fir sambhala, Meri daru-varu sab chut gayi. Main niyamit roop se yaha ‘Devi Maa; ke darshan ko ane laga. Mera Bungalow jo girwai pada tha, use chudaya. Factory jo girwai padi thi, use chudaya. Maine Dubai mein fir se office khola. Mera business dheere dheere se usi position mein aa gaya jaise aajse saat saal pehle tha. Main Dubai se flight pakad kar pehle yahan aaya hoon. Pehle ‘Devi Maa’ ki daya drishti paunga, phir bhandara lekar ghar jaunga.”


Maine sahaj swar mein poocha, “ Aur…. Us Navin Arora … tumhare partner … uska kya hua?”
Himaat Bhai ne chat ki taraf dekhte hue kaha, “Devi Maa use sadbudhi de”

(To be continue….)

 For more details about 'Devi Maa' click on  - http://shriradhemaa.blogspot.com/

Note – Priya ‘Devi Maa’ ke bhakto ‘Maa ki leelaye hum nirantar shrunkhala badh prasarit kar rahe hai. Ismein humne ‘Devi Maa’ ke sanidya mein aane wale bhakto ke anubhav ko kalambadha kia hai. ‘Maa ki Leelaye’ aapko kaisi lag rahi hai, Iske bare mein apni rai, apni samiksha, apna sujhav, hame nimn  email par bhej sakte hai..
Aap agar apne anubhav, ‘Devi Maa’ ke apne saath hue chamatkar ko sabke saath baatna chahte hai to hum aapke naam  aur pate ke saath ise pesh karenge. Aap agar chahenge to naam pata jahir nahi karenge aapnki bahumulya pratikriya ke pratiksha mein…
Sanjeev Gupta
Email – sanjeev@globaladvertisers.in



Tuesday, August 23, 2011

'Radhe Shakti Maa' ki Leelaye - Part 16




Tabhi seedhiya chadhte hue ‘Manmohan Gupta’ dikhai diye. Safed kurta payjama pehne, 
tanik bhari bharkam sharir aur sir par safed chakachak Gandhi topi.

Mujhe dekhkar unke chehre par hairani ke bhav umare, “Are! Tum abhi tak idhar hi baithe 
ho? Kamar mein dard hone lag jayega, kya Samjhe? Chalo mere saath”


Main unke piche piche seedhiya chadhate hue first floor – waiting hall mein pravishth hua.
Ek Bade se Cinema Hall jitney unche aur bhayva sajawat se sajjit waiting hall mein lagbhag bees aadmi baithne layak aramdayak sofa lagaye gaye the. Samne ek Cinema hall jaisi badi white screen lagi thi.. Jiske aage ek bada sa LCD TV set bhi tha. Ek taraf ‘Param Shradhey Shri Radhe Shakti Maa’ ki bhavya photo susajjit thi. Chat par vishal golakar scenery thi jismein nile rang mein taro jaisi kuch chamak aasman mein ratri ka bhramh paida kar rahi thi.


“Baitho…?” Manmohan Gupta ek sofa mein lagbhag pasar se gaye, “Baitho Bhai.”

Main tanik sankuchte hue unse thoda fasla banate hue haule se baith gay. Ek ladka fauran pani lekar hazir hua. Maine turant pani ka glass lia. Main kafi der se iski awashyakta mehsus kar raha tha.

“Kya piyoge?” Manmohan Gupta ne alsaye swar mein poocha, “Chai? Coffee?”

“Coffee” maine pani peekar khali glass ladke ki taraf badhaya, “Bina Shakkar ki”

Unhone ladke ki taraf dekha. Ladke ne samjh jane wali mudra mein sir hilaya, aur bai taraf sthit darwaje se bahar nikal gaya.

Manmohan Gupta ne meri taraf dekha aur haule se muskuraye, “Kavitaon mein ruchi hai tumhari?”

“haan”, maine sir hilaya.

“Maine bahot si kavitaye likhi hai…” who tanik gambhir swar mein bole.

“ane kavi sammelomein mein shirakat kar chukka hoon. Mere kavitaon ke sangrah bhi prakashit ho chuke hai”

Maine prashansa aur hairani bhare nishchit bhav se unki taraf taka.

“Ab meri n ai kavita ke kuch ansh sonata hoon! Sunoge?”

“sure” main fauran bola, “Kyon nahi?”

Manmohan Gupta ne kuch kshan chat ki taraf taka aur phir vishith andaz mein bole, “Maa jo nahi to kuch bhi nahi, bas Maa se ghar hota hai”

‘Wah !” Maine do –teen baar dhodhi ko chati ki taraf jhukaya, “Maa se ghar hota hai”

“Sach Mano beta!” Manmohan Gupta ka swar bhari ho utha, “Jab jab darshan wala shaniwaar aata hai, hamara pure pariwar mein jaise utsaah, umang aur harsh ka samandar lehrane lagta hai. ‘Devi Maa’ ke charan jab se hamre ghar mein pade hai, hum to dhanya ho gaye hai. Hamara pura pariwar apne aapko bhagyashali samajhta hai. ‘Devi Maaji’ ki anant krupa h um par din raat barasti rehti hai. Har pal har ghadi jaise tyohaar ka sa mahol bana rehta hai Rojana dur daraj se anek Maa ke darshan ke pujari aate hi rehte hai. Ghar aaye atithiyon ki seva mein ghar ke baukar chaakar se lekar sabhi sadasya bhid se jate hai. Baahar se anewali sangat ke aalawa bhi yaaya ke bahit se pariwar ‘Devi Maa’ ke vishesh darshano ko ate rehte hai, har waqt mela sa laga rehta hai. Bahut aaccha lagata hai.”

Maine sir hilaya.

“Kai baar….” Manmohan Gupta samne ghurte hue bole, “Devi Maa ji bahar chale jate hai. Abhi kuch din pehle do mahine ke liye Punjab gaye the, Usse pehle London – Switzerland adi sthono par apne bhakton ko aashirwad dene gaye the. Jab ‘Devi Maa’ yaha nahi hote, toh yun lagta hai jaise saara sansaar suna suna hai. Halaki ghar mein pariwar ke sabhi sadasya hote hai. Naukar, Sevadaar, Chowkidaar, Watchmen, Rasoiye,… wais eke waise hi pure ke pure… Magar…”

Unhone ekdum khaye swar mein kaha, “Magar .. lagta hai. ghar sunsaan hai. Koi raunak nahi. Koi chehel pehal nahi . sabhi log ek machine ki taraf apni apni duty puri kar rahe hote hai.. Sach pooch to dil lagta hi nahi. Ek rukhi rukhi baichaini jaise har waqt ghere rehti hai. Koi dhanda sujhta hi nahi. Kuch karne ko hi nahi. Na khane mein mann lagta hai.. n kahi jane par… Aur toh aur Sona bhi dhang se nahi hota. Samjh sakoge mere feeling ko?”
Main kya bolta.

“Isliye…” Manmohan Gupta ne sir ko tanik nachate hue kaha, “Meri nai kavita ka shirshak hai… Maa se ghar banta hai”

“Bahot Sundar |” Maine taali bajane ka upkram kia, ‘Ab Samajh mein aata hai bhai sahib … Jab hruday mein koi uthal –puthal hoti hai toh nahi kavita ka srujan hota hai.. Kya baat kahi hai.. Maa se ghar banta hai”

“Maa jo nahi to kuch bhi nahi… "

Unhone haath andaaz se lehraya,.. “Maa jo nahi ….”

“Maa jo nahi toh kuch bhi nahi
Suna suna sab kuch lagata,
Ek khalilpan sa har waqt hi
Udas maan se ufanta hai…
Maa se ghar banta hai..”


(To Be continue…)

Note – Priya ‘Devi Maa’ ke bhakto ‘Maa ki leelaye hum nirantar shrunkhala badh prasarit kar rahe hai. Ismein humne ‘Devi Maa’ ke sanidya mein aane wale bhakto ke anubhav ko kalambadha kia hai. ‘Maa ki Leelaye’ aapko kaisi lag rahi hai, Iske bare mein apni rai, apni samiksha, apna sujhav, hame nimn  email par bhej sakte hai..
Aap agar apne anubhav, ‘Devi Maa’ ke apne saath hue chamatkar ko sabke saath baatna chahte hai to hum aapke naam  aur pate ke saath ise pesh karenge. Aap agar chahenge to naam pata jahir nahi karenge aapnki bahumulya pratikriya ke pratiksha mein…
Sanjeev Gupta
Email – sanjeev@globaladvertisers.in